Holi Safety Tips in Hindi: Tyohar Banaye Suraksha Ke Sath

March mahine ke shuru hote hi ham Holi 2016 ka intejar kar rahe hai. Lekin ab intejar ke pal khatam hi huye samjho. 2 din ke baad aap apne pasandida tyohar holi ke rango ka maja utha payenge. Holi vasant ritu mai manaya jane wala ek mahatvapurn bhartiya tyohar hai. Yeh parva hindu panchag ke anusar phalgun maas ki purnima ke din manaya jata hai.

Holi ko rango ka tyohar kaha jata hai. Yeh parva paramparik roop se do din manaya jata hai. Pramukh roop se ise bharat aur nepal mai log jyada manate hai.

Iss tyohar par har jagah rango ki bochar hoti hai. Yeh din har kisi ke liye aanand dayak hota hai. Ham iss din rango ko khelne mai itne magan ho jate hai ki hame kisi bhi chiz ka dhyan nahi rehta hai. Kyoki us ek din ki khusi hame kai din ki pareshani de deti hai.

Darahsal holi ke douran ham jin chemicals ka prayog karte hai. Wo hamari twacha ko buri tarah shatigrast kar dete hai. Inse baalo ko bhi kaafi nuksan pahuchta hai. Isliye thodi surakhsha bartana bhi jaruri hai. Aaiye jante hai Holi Safety Tips in Hindi.
 

Holi Safety Tips in Hindi: Inn Baato Ka Rakhe Khayal

 
Holi Safety Tips in Hindi
 
Rango ka tyohar aa gaya hai. Iss din log gulal se khelte hai. Pani mai nachte hai. Bhang peekar jhumte hai. Yeh khusnuma din hame kai sari yade de jata hai. Yadi ham iss din thoda sambhal kar rehte hai to sab accha hota hai. Lekin thodi si laparwahi ke chalte yeh hamare liye kisi bure sapne se kam nahi hota hai.

Iss ke wajah se hame kai tarah ki samasya jaise aankho mai allergy, skin problems, baalo ka jhadna aadi samasyae hoti hai. Inn sabhi pareshaniyo se bachne ke liye aaiye jane kuch Tips for Holi.
 

Twacha Ko Rango Ke Dushprabhav Se Bachaye

Holi khelne ke ek din pehle raat ko hi twacha ki malish kar lijiye. Iske liye aap koi bhi tel jaise ki nariyal, badam ya jaitun ka tel prayog kar sakte hai. Iske atirikt yadi aap dusre din bhi holi khelne jate hai tab bhi twacha par tel lagakar hi jaye. Isse holi ke rang aapki twacha par jam nahi payenge.

Kuch logo ko tel lagana pasand nahi hota hai aur iss chakkar mai wo apni twacha ka nuksan hone dete hai. Yadi aapke sath bhi kuch yahi stithi hai to sunscreen ka istemal kare. Holi khelne jane se pehle ghar se 20 spf yukt sunscreen lagakar nikale. Isse aapki twacha par rango ka asar nahi hoga aur nahate wakt rang aasani se nikal jayega.
 
Khujli Hone Par: Holi ke din jo rang istemal kiye jate hai unme khatarnak chemicals aur oxyides hote hai. Yeh rang aapki twacha ke sath sath aapke swasthya par bhi viprit prabhav dalte hai. Holi khelne ke baad yadi aapki twacha par khujli aadi ki samasya ho rahi ho to ek mug mai pani lijiye aur usme 2 chammach sirka dale. Fir iss pani ko twacha par lagaye. Isse aapki khujli band ho jayegi. Yadi isse bhi koi asar nahi padhta hai to iska matlab aapko skin allergy hai aese mai bina der kiye doctor ko dikhana behtar hoga.
 
Twacha Ka Rang Kala Padne Par: Kuch logo ko holi khelne ke baad uska rang to utar jata hai lekin unka chehra kala pad jata hai. Aese mai apni twacha ka rang pehle ki tarah karne ke liye kacche dudh mai haldi aur besan milakar iska facepack lagaye. Ek hafte mai aapka rang theek ho jayega. Jin logo ko twacha teliya hai wo log dahi mai nimbu aur besan milakar facepack lagaye.

Holi khelne ke baad agar aapki twacha rukhi aur bejan ho gayi hai to Skin Care ke liye malai mai haldi milakar twacha par massage kare. Iske alawa aap dahi mai shahad aur haldi milakar bhi massage kar sakte hai iske bad twacha ko dho le.
 

You may also like:- Home Remedies for Rough Hair in Hindi – Rakhe Baalo ka Khayal

 

Aankho Ka Khayal Rakhe

Holi ke wakt aapke aankho ka khayal bhi rakhna jaruri hai. Yadi aapke aankho mai gulal, abir aadi chale jaye to use turant pani se dhoye. Kyoki inme moujud potassium dichromate namak hanikarak rasayan aankho ko kaafi nukasn pahucha sakta hai. Isliye aankho ko ragde nahi. Jyada jalan aur chumbhan hone par bina der kiye doctor ko dhikhae.
 

Kapdo Ka Chunav

Holi ke dino mai log ham par bahut sara pani dalte hai. Aese mai yadi aapne halke rang ke ya fir safed rang ke kapde pehne ho to usse kapde pardarshi dikhne lagta hai. Jisse aapko sabke samne sharmindagi ka shamna karna padh sakta hai. Isliye thode mote aur gehre rang ke kapdo ka hi istemal kare.

Iske atirikt apne baccho ka bhi khayal rakhe. Aese dino mai kuch logo ki gandi najar aapke baccho par bhi rehti hai. Bahut se log rang lagane ke bahane aapke baccho ko galat tarike se chhute hai. Isliye maa apne baccho ka iss din specially yadi aapki ladki ho to uska khayal rakhe. Unhe pehle se hi samjhade ki aapke aaspas hi rahe. Aur behatar hoga ki yadi aap aapke baccho ko galat tarike se chhune ke bare mai siksha dede. Isse wo apni aatma raksha swayam kar sakenge.
 

Baalo Ki Dekhbhal

Holi wale din baalo se rango ko dur karne ke liye yadi aap shampoo ka istemal karte hai to itni aasani se aapke balo ka rang nahi utrega. Isliye baalo mai shampoo lagane se pehle behtar hoga ki aap pehle gungune pani se baalo ko dho le. Isse aapke baalo ko nuksan kam hoga. Iske alawa holi ki subah 4 chammach methi ke beej bhigone ke baad dahi aur ande ki jardi milakar apne baalo ke lye pack taiyar kar le.

Holi ke din jab aap nahane lage tab iss pack ko 30 minute tak apne baalo mai lagakar rakhe. Uske bad shampoo se dho le. Yeh pack holi wale din aapke baalo ko kaafi had tak nuksan se bacha sakta hai. Aap apne conditioning ko aur accha banane le liye shahad aur jaitun ka tel bhi prayog kar sakte hai.
 
Holi 2016
 

Prakratik Rango Ka Istemal Kare

Jab Holi Color ke hanikarark dushprabhavo ka hame pata chal gaya hai To kyo na ham bahar milne wale rasayanik prakratik rango ka hi istemal kare. Aap aese rango ka chunav kare jisse sehat ko kisi tarah ki samasya naa ho. Aaiye jane prakratik rang kaise banaye ja sakte hai.
 

  • Hara rang banane ke liye mehndi ke patto ko sukha lijiye. Fir inn patto ko peeskar gila kar le. Aapka hara rang taiyar hai. Dhyan rahe yaha ham hatho par lagane wali hari mehndi ki baat kar rahe hai.
  • Laal rang ko banana to behad hi aasan hai. Bas chukundar ke chhote chhote tukde kar lijiye. Aur raat bhar in tukdo ko pani mai bhiga dijiye. Fir subah paani ko chhan le. Ek chukundar se aap bahut sara laal rang bana sakte hai. Laal rang ke liye aap laal chandan powder bhi istemal kar sakti hai.
  • Haldi mai besan daal de. Fir iss mishran ko gende ke phulo se pani mila le aur iss misharan ko ubal kar chhan le. Aapka peele color ka gila rang taiyar hai.

 

You may also like:- Skin Care Tips in Hindi – Inn Tariko Se Paye Swasth Twacha

 

Prakratik Rango Se Milne Wale Fayde

  1. Prakratik rango ko istemal karne ka fayda yeh hai ki aap holi ka maja bhi le payenge aur aapko kisi tarah ka koi nuksan nahi hoga.
  2. Rasaynik rango se baalo ka girna aur dandruff aadi ki samasya hoti hai. Jabki herbal rango se aesa kuch nahi hota hai.
  3. Bahar milne wale synthetic rango se holi khelne par aapko allergy ho sakti hai. Jiske wajah se twacha par jalan, khujli aadi ho sakti hai. Lekin prakratik rango ke istemal se aesa kuch nahi hota hai.

 
Upar aapne jana Holi Safety Tips in Hindi. To iss holi mai jee bhar ke maje lijiye. Bus savdhani ka prayog karte huye. Holi khelne se pehle apne baalo mai tel se massage kare. Baalo ko bandh kar rakhe. Aur ho sake to baalo ko dhak kar rakhe. Iske atirikt rang khelte wakt kisi bhi tarah ki jwelary nahi pehne. Kyoki holi ki masti mai aapke gehne khone ka bhi dar rehta hai aur isse aapko chhot bhi lag sakti hai.
 

Loading...

You may also like...