Home Remedies for Liver: Jigar Rog ke Liye Aasan Upchar

Liver sugar, fat aur iron ke metabolism mai ek mahatvapurna bhumika nibhata hai. Saath hi yeh piitras utpann karke sharir mai charbi ko ghatata hai. Liver protein tatha rakt ke kattho ke utpadan mai bhi madad karta hai. Isliye liver ka swasth hona bahut jaruri hota hai. Aaiye jante hai jigar ko swasth banana ke liye kuch aasan Home Remedies for Liver.

Manav pachan tantra mai liver ek mahatvapurna hissa hai. Vibhinn ango ke karyo jisme bhojan metabolism, urja bhandaran, toxic padartho ko bahar nikalna, detoxification, pratiraksha pranali ka samarthan aur rasayano ka utpadan shamil hai.

Lekin kai chize jese virus, medicine, anuvanshik rog aur sharab liver ko nuksaan pahuchahne lagti hai. Lekin yaha diye upayo ko apnakar aap apne liver ko majboot aur bimariyo se dur rakh sakte hai.

Home Remedies for Liver in Hindi

Home Remedies for Liver: Janiye Jigar Rog ke Gharelu Upchar

  • Haldi:

    Haldi Liver ke swasth mai sudhar karne ke liye atyant upyogi hoti hai. Isme anti septic gun moujud hote hai aur anti oxidants ke roop mai karya karti hai. Haldi ki rog nirodhak kshamta Hepatitis B aur C ka karan banana wale virus ko badne se rokti hai. Isliye haldi ko apne khane mai shamil kare ya raat ko sone se pahale ek gilas dudh mai thodi si haldi milakar piye. Isse aapko bahut fayda hoga.

  • Seb ka Sirka:

    Seb ka sirka, liver mai moujud vishele padartho ko bahar nikalne mai madad karta hai. Bhojan se pahale seb ke sirke ko pine se sharir ki charbi ghatati hai. Seb ke sirke ko aap kai tarike se istemaal kar sakten hai. Ek gilas pani mai ek chamacch seb ka sirka milaye ya iss mishran mai erk chamacch mai shahad milaye. Iss mishran ko din mai 2 se 3 baar piye aur paiye anokha fayda.

  • Papita:

    Papita liver ki bimariyo ke liye sabse surakshit upchar mai se ek hai. Vishesh roop se liver cirrhosis ke liye hai. Har roj 2 chamacch papite ke ras mai aadha chamacch nimbu ka ras milakar piye. Iss bimari se puri tarah nijaat pane ke liye iss mishran ka sevan 3 se 4 weeks ke liye kare.

You may also like:- Green Papaya Benefits: Papita Swasth ke Liye Faydemand

  • Sinh-Parni Jad ki Chai:

    Sinh-Parni jad ki chai liver ke swasth ko badawa dene wale upcharo mai se ek hai. Ye sabse accha Home Remedies for Liver hai. Adhik laabh pane ke liye iss chai ko din mai 2 baar piye. Aap chahe to jad ko pani mai ubal kar, pani ko chhan kar bhi pi sakte hai. Sinh-Parni ki jad ka powder badi aasani se mil jata hai. To aaj se hi iska sevan jarur kare.

  • Amla:

    Amla Vitamin C ke sabse sampan source mai se ek hai aur iska sevan liver ki karyashalta ko banaye rakhne mai madad karta hai. Adhyayano ne sabit kiya hai ki amla mai liver ko surakshit rakhne wale sabhi tatva moujud hai. Liver ke swasth ke liye aapko din mai 4-5 kacche amla khana chahiye.

  • Mulethi:

    Liver ki bimariyo ke ilaj ke liye mulethi ka istemaal kai ayurvedic aushadhiyo mai kiya jata hai. Iske istemaal ke liye mulethi ki jad ka powder banakar ise ubalte pani mai dale. Phir thanda hone par chhan le. Iss chai roopi pani ko din mai 1 ya 2 baar piye. Isse aapko bahut fayda hoga.

Home Remedies for Liver

  • Alsi ke Beej:

    Fhit Constitute ki upastithi ke karan, alsi ke beej hormone ko blood mai ghumne se rokta hai aur liver ke tanav ko kam karta hai. Toast par, salad mai ya anaj ke saath alsi ke beej ko piskar istemaal karne se liver ke rogo ko dur rakhne mai madad karta hai.

  • Palak aur Gajar ka Ras:

    Palak aur gajar ka ras ka mishran liver cirrhosis ke liye kafi laabhdayak gharelu upay hai. Palak ka ras aur gajar k eras ko barabar bhaag mai milakar piye. Liver ki marammt ke liye iss prakritik ras ko rozana kam se kam ek baar jarur piye.

  • Avocado aur Akhrot:

    Avocado aur akhrot ke apne aahar mai shamil kar aap liver ki bimariyo se bach sakte hai. Avocado aur akhrot mai moujud glut shayan, liver mai jama toxic tadartho ko bahar nikalkar iski safai karta hai.

  • Seb Tatha Pattedar Sabjiya:

    Seb tatha pattedar sabjiyo mai moujud pactine pachan tantra mai upasthit vishakt padartho ko bahar nikal kar liver ki raksha karta hai. Iske alawa, hari sabjiya pitt ke pravah ko badati hai.

Dekhiye Video aur Paiye Liver se Sambandhit Adhik Jankari

Upar aapne jane Home Remedies for Liver ke behatrin upay. To agar aap liver se sambandhit kisi bhi pareshani se grasit hai to apnaiye humare diye gaye upay aur rahiye swasth.

Liver se sambhandhit adhik jankari ke liye yaha jaye Home Remedies.

Loading...

You may also like...