Home Remedies For Pink Lips: Gulabi Hontho Ke Liye Upay

Hansta, muskurata hua chehra har kisi ko pasand aata hai. Aur agar hamare honth gulabi ho to hamare chehre ki khubsoorti aur bhi badh jati hai. Lekin dhoop mai bhahar jana, dhrumpan karna, hontho ki uchit dekhbal na karne se hamare honth kaale pad jate hai.

Kai mahilaye lipstick ke jariye iss kalepan ko chupa leti hai. Par yeh sahi nahi hai. Hamare chehre ki twacha ki tarah hontho ko bhi dekhbhal ki jarurat hoti hai, jisse ye prakratik tarike se sundar dikh sake.

Aajakal bajar mai hontho ko komal aur gulabi banane ke liye kai products milte hai. Lekin bahut baar aesa hota hai ki inn chizo ke istemal se aapke honth gulabi to dikhte hai lekin isme mojud hanikarak rasayan ke karan vastvikta mai aapke honth aur kale ho jate hai. Isliye hontho ki dekhbal ke liye ham aapko prakratik upayo ka sahara lene ki hi salah denge. To aaiye jante hai Home Remedies For Pink Lips, hontho ko gharelu nuskho ki madad se gulabi banane ke upay.

Inn Gharelu Nuskho se Paye Sundar Gulabi Honth

Home Remedies For Pink Lips

Gulabi Hontho ke Liye Strawberry

Hontho ka rang nikharne ke liye Strawberry bhi bahut accha vikalp hai. Aap ise lip balm ki tarah bhi istemal kar sakti hai. Bus crush kari hui strawbeery mai petrolium jelly milaye aur iss mishran ko apne hontho par roj raat ko sone se pehle lagaye. Kuch dino mai aap dekhenge ki aapke hontho ka rang gulabi hone lagega.

Shahad Se Paye Nami

Agar honth rukhe ho jate hai to aur kale dikhai padhte hai. Isliye sabse pehle jaruri hai ki hontho mai nami ho. Iske liye aap shahad ka istemal kar sakte hai. Shahad hontho ke rang ko bhi halka karta hai aur unhe gulabi bhi banata hai. Jaldi labh pane ke liye ise roj sone se pehle raat mai lagaye.

Nimbu Bhi Faydemand

Nimbu ke ras ka upyog bhi hamari hontho ko gulabi banane mai sahayak hota hai. Iske liye aap nimbu ke ras ko inn diye gaye taiko ke dwara bhi hontho par laga sakte hai.

  1. Hontho ko gulabi banane ke liye nimbu mai ghee milakar lagana behad karagar hai. Yeh hontho ko nami aur gulabhi rang dono deta hai. Ise lagane ke liye nimbu aur ghee ke paste ko raat mai apne hontho par laga lijiye aur fir subah dho lijiye. Par ek baat ka khyal rahe yadi ise lagane se aapko jalan hoti hai, to turant hi dho lijiye.
  2. Nimbu ke sath glycerine milakar lagane se honth komal ho jate hai. Darahsal nimbu mai acidic acid hota hai jise yadi aap ise sidhe hontho par lagayenge to aapke honth fat sakte hai. Isliye isme glycerine milana naa bhule.
  3. Nimbu aur gulab jal ko rojana hontho par lagane se bhi honth gulabi ho jate hai.

 

You May Also Like: Home Remedies for Toothache: Paiye Daant Dard Se Chutkara

 

Vyayam ke Dwara

Aapko jankar shayad aashcharya ho raha hoga. Lekin hontho ka vyatam karke bhi ise gulabi banaya ja sakta hai.

  1. Rat ko sone se pehle Vitamin E se bharpur jelly ya cream se rojana hontho ki malish karna Lip Care ke liye faydemand hai.
  2. Iske liye hath ki ungaliyo se upper ki aur malish kare.
  3. Ab viprit disha mai halki halki malish kare.
  4. Fir ek bar ungali ko hontho ke side par rakhkar andar ki tarf malish kare.
  5. Lekin haan iske alawa aapko rojana bharpur matra matra mai pani pina hai. Pani pine se bhi hontho ko naram, komal aur chamakdar banaya ja sakta hai.

 

Anya Tarike Inhe Bhi Apnaye

  1. Gulabi honth pane ke liye shahad, badam ka tel aur chini ka mishran roj 10 minute tak lagane se hontho ka color pinkish ho jata hai.
  2.  Castor oil ka upyog hontho ko na keval mulayam banata hai balki inhi gulabi bhi banata hai.
  3. Pudine ka ras lagane se bhi honth gulabi bante hai.
  4. Kishmish ke dane khane par bhi gulabi honth paye ja sakte hai. Iske liye kishmish ke kuchh dano ko ek din pehle rat mai bhigokar rakh dijiye aur fir subah khali pet kha lijiye.
  5. Sukhe honth fate huye aur rukhe dikhayi dete hai isliye honto mai name hamesha nami bani rehni chahiye.
  6. Aksar ladkiya roj lipstick lagane ki shoukin hoti hai. Lekin aapko bata den ki jyada der lipstick lagane se bhi hontho ka rang kala padne lagta hai isliye kisi special moke par hi lipstick lagaye.
  7. Honth suraj ki dhoop ki wajeh se bhi kale pad jate hai, isse bachne ke liye kisi prakratik jelly ko honto par hamesha lagakar rakhna chahiye.
  8. Hontho ko gulabi banane ka aasan aur achha tarika yeh hai ki ice-cube ka upyog kare. Ice-cube se hontho ki malish karne se hontho mai name bhi bani rehti hai aur honth gulabi rag ke aur mulayam ho jate hai.
  9. Rasbhari ko Aloe-Vera ke sath milakar rojana rat ko lagane se hontho ka rang gulabi ho jata hai.

 

Download our Health Tips in Hindi App to get easy access on Blogs

 

Loading...

You may also like...