Home Remedies for Pyria: Masudo Ki Samaysa Ka Upchar

Pyria danto ke masudo mai hone wali ek bimari hai, jo danto ki safa safai acche se nahi hone ki wajah se hoti hai. Iske hone ki mukhya wajah calcium ki kami, masude ka sadna aur danto ko ganda rakhna hai. Iss rog mai kai tarah ki samasyae hoti hai jaise ki sanso se badbu aana, masudo mai khun aana, danto ka pilapan, muh mai sujan aadi.

Pyria danto ke aaspas ki manspeshiyo ko sankramit karke unhe nuksaan pahuchati hai. Yadi kisi vyakti ko pyria ki samasya hoti hai to thandi ke dino mai unhe pani pine mai pareshani hoti hai. Iske atirikt kai bar to sirf hawa bhi danto mai sirhan uttpann kar deti hai.

Kuch log rojana brush to karte hai leki jibh ko saaf nahi karte hai aur use ese hi chhod dete hai. Iss wajah se muh mai bacteria ho jate hai jo pyria ka ek bada karan hai. Pyria ka yadi wakt par illja nahi kiya jaye to yeh gambhir rup le sakta hai.

Pyria se grasit bahut se logo ke wakt par illaj na karne se sare dant gir jate hai. Yadi muh ki sahi tarah se saaf safai ke sath kuch upacharo ko apnaya jaye to iska illaj sambhav hai. Aaiye jante hai Home Remedies for Pyria.

Home Remedies for Pyria: Janiye Saral Gharelu Upchar

Home Remedies for Pyria in Hindi

Kadwa Neem Faydemand

Neem ki pattiyo ko acche se dho kar chhav mai sukha lijiye aur fir use ek bartam mai lekar jala le. Jab pattiya puri tarah se jal jaye to uske upar bartan ko dhak de. Kuch der bad neem ki bani hui rakh mai senda namak dalkar churn bana kar rakh le. Iss churan se rojana din mai 3 se 4 bar manjan karke acche se kulla karle.

Saada Tambaku

Aapko padhkar aascharya lag raha hoga lekin sada tambaku bhi pyria dur karne mai madadgar hai. Iske prayog ke liye tambaku ko tave mai tab tak seke jab tak ki wo acche se bhun na jay. Ab bhuni hui tambaku ko kapde se chhan le aur tambaku ki matra se aadha sendha namak le aur tambaku ki barabar matra ke anusaar fitkari le.

Inn sabko milakar acche se pees Le, tatha isse teen bar chan le. Jisse pura churan ek sa mil jaye. Iss churan ko hatheli mai lekar nimbu ki kuch bunde dale aur halke halke hatho se massage kare, iss prakriya ko rojana din mai kam se kam do bar karne se Pyria ki pareshani se mukti milti hai.

Jo log tambaku ka istemal karte hai unke liye iss churan se massage karne se koi dikkat nahi hogi, parantu jo log tambaku ka sevan nahi karte hai unke liye iss churan ka massage karne se chakkar aane jaisi samasya ho sakti hai. Unhe iss manjan ko bahut kam matra mai lekar karna chahiye aur dhyan rakhe ki iss manjan ki lar pet mai bilkul na jaye. Baccho ka illaj iss churan se nahi karna chahiye.

You May Also Like:- Home Remedies for Toothache: Paiye Daant Dard Se Chutkara

 

Purana Upay Namak

Purane janame mai khana khane ke bad log namak se manjan karte the jisse dant majbut aur swasth rehte the. Pyria Gum Disease se chutkara pane ke liye bhi yeh faydemand hai. Iske liye sade namak mai kuch bund sarso ke tel ki dalkar halke halke hatho se kam se kam 20 minute tak danto par massage kare aur lark ko thukhte rahe. Fir gungune pani se kulla kar le.

Amrud De Danto Ko Majbuti

Amrud mai Vitamin C bharpur matra mai hota hai. Isliye kacche amrud mai thoda sa namak dalkar kar danto par ragde. Pyria  ki samasya se nijat mil jayega.

Pyaj Bhi Faydemand

Pyaj ke chhote tukde ko tave par garam kar le aur use danto ke niche daba le aur kam se kam 10 se 15 minute tak rakha rehne de. Jab muh mai lar ikhtti ho jaye iss lar ko pure muh mai ghumaye aur thuk de. Aesa din mai kam se kam 4-5 bar aur 8 se 10 din tak lagatar kare. Pyria puri tarah khatam ho jayega aur muh ke sare kitanu mar jayenge.

Treatment of Pyria in Hindi

Jadi Butiyo Se Nirmit Manjan

Pyria se mukti dialne ke liye jadi butiyo se nirmit manjan ka istemal karna chahiye. Iss mishran ko banane ke liye jaruri samagri iss prakar hai.

Gandhak Rasayan 5gm, Arogyavardhini vati 5gm, kasis bhasma 5gm, fitkari bhasma 5gm, sonageru 10gm, triphala churna 2gm. Inn sabhi ka churan banakar ek saath mila le aur iss pure churan ki barabar barabar matra mai lekar 21 packet bana le. Roj tino time arthat subah, dophar, sham ko ek glass pani mai ek pudi ko milaye aur uss pani ko jitni der ho sake muh mai rakhe fir uss pani ko pi lijiye. Pyria puri tarah jad se mit jayega.

Arandi Ke Tel

200ml arandi ka tel, kapur 5gm, 100ml shahad inn sabko milakar misharan taiyar kar le.  Iss mishran ko thoda sa katori mai lekar neem ki datun ko bhigo kar neem se dantun kare. Kuch dino tak aisa karne se pyria  ki preshani se puri tarah se nijat mil jayega.

You May Also Like:- Teeth Whitening Home Remedies: Danto Ka Pilapan Dur Kare

 

Sukhe Masalo Ka Mishran

Sukhe masale jaise jeera, sendha namak, harad, dal chini, dakshin supari, sabhi ko barbar matra mai lekar unhe pees kar churan bana le. Aur iss manjan ko rojana aapke danto par ragde.

Amla Kare Upchar

Pyria Treatment ke liye awala ek accha vikalp hai waise to amle ke kai gun hote hai, aur yeh bajar mai aasani se mil jata hai. Amla ka upyog karne ke liye isse aag ki aanch mai bhun le aur usme thoda sa sendha namak milakar pees le. Iss churan ko kapde se chhan le aapka majan taiyar ho gaya hai. Iss churan se rojana subah uthkar manjan karne se aapko bahut fayda milega.

Lahsun aur Sarso Ka Tel

20 lahsun ki kali aur usme 150ml sarso ka tel dalkar use acche se garam kar le. Jab yeh bana hua mishran thanda ho jaye to ise ek kapde se chhankar rakh de. Ab 3gm ajwain ko lekar tave par sek le aur isme 15gm senda namak dalakar pis kar rakh le. Jab bhi aap manjan kare usme kapde se chhane huye mishran mai thoda sa ajwaine aur sendha namak ka mishran dal de aur manjan kare. Bahut jaldi pyria ki samasya samapt ho jayegi.

Anya Upchar Inhe Bhi Janiye:- 

  1. Kali mirch ke powder mai thoda sa namak milakar manjan taiyar kar le aur isse roj danto par ragde. Pyria ke rog se chutkara mil jata hai.
  2. Dashna sanskar churn pyria ko dur karne ke sabse purana aur pukhta illaj hai jisse pyria puri tarah khatam ho jata hai. Dashna sanskar ka churan masude se niklne wale khun ko rokta hai aur muh ki badbu ko bhi khatam karta hai.
  3. Ghee aur kapur har ghar mai aasani se mil jata hai. Isliye iss prayog ko karne ke liye aapko jyada mehnat nahi karni padegi. Sirf ghee aur kapur ko ek sath acche se mila le aur danto par halke hake hatho se massage kare. Pyria rog dur karne mai madad milti hai.
  4. Chutki bhar haldi aur chutki bhar namak ko hatheli mai lekar usme 4 se 5 bund sarso ke tel ki dale tatha ise rojana ungli se danto par lagakar 20 minute tak rakhe. Fir muh dho le.

Upar aapne jana Home Remedies for Pyria. Upar di gayi sari vidhiyo ka upypg karke aap dant ki iss samasya se chhutkara paa sakte hai.

Loading...

You may also like...