Home Remedies for Rosy Cheeks – Gulabi Gaal Pane Ke Upay

Jab bhi sundarta ki baat aati hai to hamare dimag mai ek nikhre gulabi chehre ki chavvi aati hai. Yahi wajah hai ki har ladki chahti hai ki uske gulabi gaal ho. Isliye bahut si ladkiya gulabi galo ke liye cosmetic ka sahara leti hai.

Iski madad se wo acchi to dikh jati hai, lekin bar bar cosmetic ka prayog aapke galo ko nuksan pahuchata hai, isliye roj roj ise lagana to na munkin hai. Lekin har koi har roj khubsurat dikhna chahta hai.

Kuch logo ke gaal par prakratik roop se gulabi nikhar hota hai. Har koi unhe dekhkar yahi sochta hai kash hamara chehra bhi aesa hota. Yadi aap bhi aesa sochte hai to ham aapke liye laye hai kuch gharelu upay jo aapke chehre ko gulabhi dikhane mai madad karenge. Aaiye jante hai Home Remedies for Rosy Cheeks.
 

Home Remedies for Rosy Cheeks: Gulabi Nikhar Pane Ke Liye

 
Home Remedies for Rosy Cheeks
 

Bharpur Pani Piye

Jaisa ki ham sabhi jante hai hamare shair ka 70% bhag pani se bana hai. Isliye chahte aap swasth sharir chahte ho ya swasth twacha aapko iske liye din mai 8-10 glass pani pina jaruri hai.

  • Aapko ek bar mai bahut sara pani nahi pee lena hai, thode thode antaral mai thoda thoda pani pite rahe.
  • Pani ki kami ki puri karne ke liye aap phalo ka ras bhi le sakte hai. Par bina shakkar wala juice aapke liye accha hai.

 

Poshan Yukt Aahar

Aap khud hi sochiye ki aap upar se kitne bhi upchar karle, lekin andar se aapki twacha ko poshan nahi milega to kya wo khili khili lagegi. Isliye yadi aap chahte hai ki aapka chehra gulabo sa dikhe to aapko poshan yukt aahar ka sevan karna hoga.

  • Bina gap kiye subah ka nashta, dophar ka khana aur ratri ka bhojan kare.
  • Apne aahar mai jyada se jyada phalo aur sabjiyo ko shamil kare.
  • Rojana raat mai sone se pehle dudh piye. Thand ke dino mai garam dudh le, wahi garmi ke dino mai thanda dudh le.

 

Niyamit Vyayam Kare

Ab aap soch rahe honge ki vyayam karne ka gulabi gaal pane se kya sambandh hai, to ham aapko bata de ki vyayam karne se aapka sharir swasth rehta hai, aur aapka chehre par chamak aati hai.

  • Jo log vyayam nahi karte hai unke sharir mai sfurti nahi dikhti hai. Iss wajah se unka chehra dal dikhai deta hai.
  • Swasth sharir aur twacha ke liye niyamit vyayam kare. Aap yoga bhi kar sakte hai.
  • Jald se jald asar dikhne ke liye, aap direct galo ka bhi vyayam kar sakte hai. Iske liye galo ki twacha ko golakar mudra mai ragde.

 

Twacha Ko Exfoliate Kare

Twacha par dead cells jamne ke karan twacha acche se saans nahi le pati hai. Yeh dead cells twacha par jami mrit koshikaye hoti hai, jisse twacha kali dikhti hai. Exfoliate karne ke liye scrub ka istemal kare.

  • Scrub banane ke liye chini mai nimbu ka ras milakar pure chehre par lagaye(aankho ki aaspas ki twacha chodkar). Halke hatho se ragde aur fir chhuta le.
  • Ghar par bane scrub aapki twacha ke liye acche hote hai.

 

Inn Facepack Ko Lagaye:


Twacha Rukhi Malai+ Shahad Ka Mishran
Twacha Teliya Haldi+ Nimbu Ka Ras+Besan
Samanya Twacha Multani Mitti+ Gulabjal
Sanvedanasheel Twacha Kaccha Dudh + Gulab Ka Paste

 

Anya Upay Inhe Bhi Janiye:-

  1. Ek katori mai seb ka sirka le aur rui ko usme dubokar apne galo par sirka lagaye. Isse aapke gaal gulabi hote hai.
  2. Khire ke gude ko chehre par lagane se kale dhabbe gayab hote hai aur gulabi rangat aati hai.
  3. Chehre ko dudh aur nimbu ke ras se massage kare. Isse raktsanchar badhta hai tatha galo par gulabi rangat bhi aati hai.
  4. Niyamit khali pet do seb khane se aapke gaal gulabi ho jate hai. Aur isse aapko doctor ke pass bhi nahi jana padhta hai.

 
Upar aapne jana Home Remedies for Rosy Cheeks. Inn upcharo ko apnakar aap aasani se gulabi gaal pa sakte hai. Isme aapko mehenge cosmetic kharidne ki tarah kharcha nahi aata hai.

Loading...

You may also like...