Homoeopathic Treatment of Constipation: Kabj Se Mukti Dilaye
Kabj ki pareshani kisi ko bhi ho sakti hai aur iska asar pure sharir par padta hai. Vaise to yeh bahut samanya dikkat hai lekin fir bhi vyakti ko bahut pareshan kar deti hai.
Kabj ki pareshani hone ke kai karan hai jaise bhojan na karna, sharir mai pani ki kami aur fiber yukt aahar ko apne bhojan mai shamil na karne ke karan bhi yeh samasya ho jati hai.
Bhojan ke sahi tarike se pachan nahi hone par vyakti ko mal tyagne mai kaafi pareshani hoti hai. Vyakti ka mal kada ho jata hai, jiske karan vyakti jab mal ko bahar niklta hai to use kaafi bal dena padta hai. Iske alawa wo sahi se motion nahi ja pata aur use khatti dakare aati hai.
Kai bar vyakti ko iske karan kuch khane ka man bhi nahi karta aur matli aane jaisa mehsus hota hai. Kabj hone par pidit vyakti bahut pareshan rehta hai. Iske illaj ke bare mai janne ke liye padhe Homoeopathic Treatment of Constipation in Hindi.
Homoeopathic Treatment of Constipation in Hindi: Kabj Ka Illaj
Kai log kabj ki samasya ko dur karne ke liye kai dawaiyo ka sahara lete hai, lekin aese log yeh nahi jante ki unke khanpan ki aniyamitta aur fiber yukt bhojan karne se bhi iss samasya se chutkara paya ja sakta hai.
Constipation Relief ke liye Homeopathic illaj bhi kafi logo mai bahut lokpriya hai. Homeopathic illaj mai vyakti ke lakshan ko dekhkar dawai di jati hai. Kyonki isi ke dwara vyakti ke vikaro ko dur kar use jaldi swasth kiya ja sakta hai. Homoepathic illaj ka mukhya maksad bimari ko jad se khatam karna hota hai, halanki iske illaj mai thoda samay jarur lagta hai.
Nux Vomica
Nux vomica kabj mai dene wali sabse aam dawai hai aur yeh sasti bhi hoti hai. Aajkal ki jeevan sheli ke chalte khanpan mai bahut aniyamitta aa gai hai jiske karan kabj bahut aam ho gaya hai. Tatha kabj se nijat pane ke liye yeh sabse acchi dawai hai.
Jab vyakti ko chai, coffee, ya alcohol jaisi chijo ki bahut jyada aadat lag jati hai. to yeh chije mal tyagne mai thodi pareshai paida karne lag jati hai ya fir vyakti ko bar bar dast hone lagta hai. Jisse vyakti ahsahaj mehsus karne lagta hai. Iss dawai ke sevan se vyakti ko inn pareshaniyo se mukti mil jati hai.
Silicea
Silicea kabj ke liye ek acchi aushdhi hai. Yeh dawai mahilao ke liye sabse jyada prabhavkari hoti hai. Kyonki masik dhram ke samay mahilao mai kabj ki samasya jyada dekhi jati hai. Kuch aese mamle bhi hote hai jaha mal ko aanshik rup se bahar kiya jata hai parsntu pet puri tarike se saaf nahi ho pata hai. Aese mai silicea aushdhi ka sevan karna kafi faydemand hota hai.
Bryonia
Jab vyakti bahut bar pani piye aur uske bad bhi use pyas lage to bryonia aushdhi ka sevan karna chahiye. Kyonki kai bar itna pani pine ke bad bhi puri shleshma jhilli sukh jati hai aur iska asar pure sharir par padta hai to pura muh sukhne lagta hai tatha honth bhi rukhe ho jate hai. Yeh sab kabj ke karan hota hai aur iss wajah se mal sukh jata hai.
Graphites
Kai bar motape ke karan bhi kabj ki samasya ho jati hai. Iske karan jab vyakti ko kabj ki samasya hoti hai to mal aasani se bahar nahi nikal pata. Kyonki isme shleshma ke dhage ek dusre se kathor rup mai jude rehte hai. Kai baar iske karan vyakti ke guda mai sujan bhi aa jati hai aur kabj ke sath twacha mai bhi pareshani hone lagti hai. Constipation Cure karne ke liye Graphites aaushdhi ka sevan kare.
Alumina
Alumina aushdhi ko chhote bacche mai kabj ki pareshani hone par di jati hai. Chhote baccho mai bahut jaldi kabj ki samasya tab hoti jab wo maa ka dhudh pite hai ya bottle se dudh pite hai. Jab bacche ka mal sukhta hai to wah kada ho jata hai aur use bahar nikalne mai bahut mehnat karna padti hai. Alumina ka sevan se bacche ka mal vighatit hokar aasani se bahar nikal jata hai.
Upar aapne jana Homoeopathic Treatment of Constipation in Hindi. Uprokt di hui jankari ke dwara yadi aapko ya aapke bacche ko kabj ki samasya ho rahi hai to inn dawaiyo ka sevan kar aap kabj ki samsaya se nijat pa sakte hai.