Hypertension Symptoms in Hindi: Ucch Raktchap Se Paye Nijad

Aaj ke samay mai logo mai ucch raktchap ki samasya bahutayat dekhne ko mil rahi hai. Ucch Raktchap ko hypertention ya fir high blood pressure ke naam se bhi jana hai. Iss bimari ke hone ke kai karan hote hai jaise motapa, tanav, madhumeh, namak ka atyadhik sevan aadi.

Vyaktiyo mai ucch raktchap ki samasya tab hoti hai jab sharir ki dhamaniyo mai khun ka pravah asamanya rup se behane lagta hai. Sharir mai uchh raktchap ke badhne se bahut si anya pareshaniya bhi hoti hai jaise dil ki bimari, stroke aur gurde ki bimari aadi. Iss bimari ke lakshan janne ke liye yaha padhe Hypertension Symptoms in Hindi.

Hypertension se bachne ke kai tarike hote hai jaise sahi prakar ke aahar, yoga aur sahi chikitsa. Uchh raktchap ko mukhytah do vargo mai banta gaya hai pehla mukhya raktchap aur dusra madhayamik raktchap.

High blood pressure ke karan, lakshan aur uchit upcharo ke bare mai janne ke liye yaha padhiye high blood pressure symptoms, causes aur treatment. Aur rakhe apne aap ko swasth.

Hypertension Symptoms in Hindi: Jane Iske Karan, Lakshan aur Upchar

Hypertension Symptoms in Hindi

Uchh raktchap se pidit vyaktiyo mai se lagbhag 90 se 95 pratishat log primary hypertension hota hai. Yeh samasya vyaktiyo ke galat khan-pan aur umra badhne ke sath aati hai.

Garbhvati mahilao ko bhi ucch raktchap ki samasya ho sakti hai. Iss samasya se bachne ke kiye Iski niyamit jaanch, sahi khan-pan aur savdhaniyo ki jarurat hoti hai. Shodho ke mutabik 8 se 10 pratishat garbhvati mahilao mai yeh samasya dekhne ko milti hai jinme se 4 se 5 pratishat ki to ucch raktchap ki wajeh se mritu ho jati hai.

Dusra madhyamik prakar ka ucch raktchap vyaktiyo mai anya koi bimariyo aur kai prakar ki dawaiyo jaise pain killer aadi ke khane ke bad hota hai. Iske hone par kai lakshan dekhne ko milte hai. Hypertension Symptoms mai aaiye jane iske lakshan.

You May Also Like:- Importance of Amniotic Fluid: Shishu Ke Sahi Vikas Ke Liye

 

Uchh Raktchap Ke Lakshan

  1. Sar dard hona
  2. Gurde mai rakt sanchar karne wali dhamaniyo mai samasya
  3. Gurde mai chal rahi bahut purani bimari
  4. Hyper-parathyroid’s
  5. Sine mai dard bane rehna
  6. Saans lene mai pareshani hona
  7. Matli yaa ulti aana
  8. Sahi tarah se dikhayi na dena aur chakkar aana

 

Jane Ucch Raktchap hone ke karan

sharir mai ucch raktchap ke kai karan hote hai jaise sharir mai namak ki adhik matra hona, gurde mai kharabi hona aadi. To aaiye yaha padhe Causes of Hypertension.

  1. Mahilao ke harmones mai parivartan hona
  2. Motapa ya madhumeh se grasit hona
  3. Vyaktiyo ka bahut adhik tanav mai rehna
  4. Parivar mai pehale se hi kisi ko uchh raktchap ka hona
  5. Iske alava dhumrapan aur sharab ke sevan se bhi manushyo mai ucch raktchap ki samasya ho sakti hai.

Blood pressure ka hona kai aam samasya nahi hai isliye uchit chikitsak aur uchit dawaiyo ke dwara isse jald se jald thik karna chahiye. Pehle yeh samasya 60 saal se jyada umra ke logo mai dekhi jati thi lekin aaj kariban 70 billion log iss bimari se pidit hai.

Jyada tanav aur chinta ka asar jab dil par padta hai to yeh hypertension ka karan banta hai. Kabhi kabhi iss tention ki wajeh se logo ko dil ka dora bhi padta hai jisse logo ki mout bhi ho jati hai. Isliye sahi samay par uchit hypertension treatment ke dwara iss pareshani ko thik karna chahiye.

Uchh Raktchap Ke Upchar.

Kuch gharelu tariko ko apnakar bhi iss samasya se nijad paya ja sakta hai. To aaiye jane Home Remedies For High Blood Pressure.

  1. Roj subah bina namak aur bina chini ke nimbu pani ka sevan kare. Isse Ucch raktchap ko niyantrit kiya ja sakta hai.
  2. Tulsi ke 10 patto ko neem ke 3 patto ke sath rojana 7 dino tak sevan kare.
  3. Rojana subah nariyal ka pani ya fir ek chammach aamle ke ras mai shahad milakar le.
  4. Iss bimari se pidit vyaktiyo ke liye karela aur sehjan ki fali ka sevan karne se bahut laabh milta hai.
  5. Ubla hua aalu ucch raktchap ko ghatane mai madad karta hai. Isliye iska sevan karna chahiye.
  6. Ucch raktchap ka sabse bada karan tanav hai isliye isse dur rehne ka prayas karna chahiye.
  7. Fiber, potassium aur iron se yukt bhojan ka sevan karna chahiye. Iske alava din bhar mai pani ki kaafi matra pina chahiye.
  8. Dhumrapan aur sharab se duri bana leni chahiye.
  9. Pyaj ka ras khun mai cholesterol ki matra ko kam karta hai aur nervous system ko bhi majbut banata hai. Isliye uchh raktchap ko niyantrit karne ke liye pyaj ke ras mai shahad ki barabar matra lekar rojana  2 chammach iska sevan kare. Isse khun bhi saaf hota hai aur sath hi yeh dil ka dora padne ke khatre se bhi bachata hai.
  10. Pyaj, lehsun aur adrak ka paste banakar khane ke sath upyog karna chahiye. Darahsal sharir mai mojud bura cholesterol sharir ki dhamaniyo ki diwaro mai calcium yukt ganda padarth jama kar deta hai jisse dhamniyo mai rakt ka pravah ruk jata hai. Aese mai adarak mai mojud ant-oxidant bure cholesterol ko khatam kar rakt sanchar mai madad karta hai. Jisse dhamaniyo ke aaspas ki maspeshiyo ko bhi kaafi aaram milta hai.

Aaj aapne jana Hypertension Symptoms in Hindi. Yadi aap bhi iss bimari se pidit hai to samay rehate uchit upchar aur doctor ki salah le aur swasth rahe.

Loading...

You may also like...