Janiye Normal Delivery Ke Liye Kuch Raaz

Aaj ke modern jamane me jaha high-tech doctor mojud hai, vahi par kuch pregnant women Cesarean Delivery karwana pasand nahi karti, wo sirf Normal Delivery par believe karti hai. Cesarean delivery karwane par stretch marks jesi samasya to aati hi hai lekin iske alawa kai baato ka khayal bhi rakhna padta hai.

Cesarean delivery ke baad dekhbhal karna bahut jaruri ho jata hai aur agar sahi se dekhbhal na ki gayi to yeh aapke liye hi khatra hoga. Isliye yeh behtar hoga ki aap sirf aur sirf Normal Delivery ke liye hi jaye. Par iske liye aapko kya karna hoga janane ke liye padiye Tips for Normal Delivery.
 

Janiye Kaise Ho Normal Delivery

 
Normal Delivery
 

Swasth Rahe

Aapko yeh baat puri tarah se pakki kar leni hogi ki bacche ko janam dete vakt aapko bahut pida sahni padegi aur yeh aasan nahi hone wala hai. Agar aap komjor hai aur aap me blood ki kami hai to aapke liye yeh kadam bahut mushkil hoga.
 
You May also like:- Janiye Kuch Aasan Gharelu Nuskhe Pet Kam Karne ke Liye
 

Sahi Aahar Le

Aapne kai bar suna hoga ki khana kha kar keval bhuk ko shant kar lena hi kaafi nahi hota. Aapke doctor ne jo kuch bhi khane ko aapse kaha hai usse jarur khaye jisse aapme takat aur poshan bana rah. Pregnancy me Iron aur Calcium ki bahut jarurat padti hai isliye jitna bhi ho sake apne aahar me isse jarur shamil kare.  Normal Delivery me yadi do se teen chaar so M.L Blood Loss hota hai, tu Cesarean delivery me yeh nukhsan do se teen guna jayda hota hai.
 

Khub Pani Piye

Aap to janti hi hogi ki sishu ek taral padarth se bhi hui jhauli me rah kar bada hota hai. Isko hum Amniotic Fluid kehte hai, jisse bacche ko urja milti hai. Isliye aapke liye rojana 8 se 10 glass pani pina bahut jaruri hai.
 

Tahle (Ghume)

Purane  jamane me Pregnant Women ko ghar me rahkar pure 9 mahino tak aaram karne ki salah di jati thi par yeh baat samajni jaruri hai ki aap Pregnant hai bimar nahi. Aapko apne rojana ke kaam band nahi karne chaiye balki chalna firna chaiye, isse Normal Delivery hone me madad milti hai.
 

Tanva Na Le

Garbhavastha mai tanav ka asar hone wale bacche par padta hai. Tanav ko dur karne ke liye acchi kitabe padhe, music sune aapke kuch khas dosto ke sath acchi bate kare taki tenstion aapse dur ho jaye aur aap relax ho jaye. Iss samay mai aapko shant aur khush rehne ki jyada jarurat hoti hai.
 

Hamesha Apno Ke Aas Pas Rahe

Garbhavastha ke douran aap apne apno ke aas pas hi rahe khaskar jab aapki delivery ka samay najdik to tab to aapke pati , behan ya mummy kisi na kisi ko har samay apne sath rakhe. Kyonki koi bhi samay aapko labor pain hona shuru ho sakta hai.
 

Vyayam Kare

Agar aap shuru se hi rojana vyayama karti aa rahi hai to Normal Delivery ke jyada chance hai. Aapko koi aisa fitness center join kar lena chaiye jo aapki maspeshiya ko majbot banane me madadgar sabit ho sake bacche ko push karne me maspeshiya ka bahut bada role hota hai.
 

Doctor Ki Salah Le

Iss najuk samay mai doctor ka paramarsh lena bahut jaruri hota hai, taki aap normal delivery ke jariye swasth bacche ko janm de sake.
 


Kya Kare Kya Na Kare
Acchi Diet Le Papita Ka Sevan Na Kare
Khub Nind Nikale Tanav Na Le
Vyayam Kare Junk Fod Ka Sevan Na Kare
Docotor Ki Salah Le Bina Doctor Ke Ijazat Dard Ki Dawai Na Le
Khub Pani Piye Vajan Na Uthaye

 
See more details of Tips for Normal Delivery from Diet and Fitness.
 

Loading...

You may also like...