Left Side Sone se Hone Wale Kuch Anmol Swasth Laabh

Sona humari dincharya ka ek bahut bahumulya ang mana gaya hai. Sote waqt hum jiss bhi position mqi letate hai uska bhi humare sharir par kafi gehra asar padta hai.

Insaan ko ek hi karwat mai raatbhar lete rehna namumkin hai, aap ko jiss bhi karwat mai aaram milta hai uss aur so sakte hai. Lekin kya aap jante hai ki left side karwat lene se aapko kai fayde ho sakte hai.

Left aur karwat le kar sone se kai bimariya jese dil ka rog, pet sambandhit kharabi, thakan, pet ka fulna aur anya sharirik samasyaye hal ho sakti hai. Wahi agar aap left ki jagah right karwat lekar sote hai to sharer se toxin thik prakar se glush nahi ho payegi, jiss vajah se pet ki bimari, dil par jyada load padna aur heart rate ka badhna ho sakta hai.

Jo log raat ko sidhe sote hai, unhe uss douran thik se saans lene mai dikkat mahsoos hoti hai. Yeh position unn logo ke liye acchi mani jati hai jinhe asthma ya sleep apenia ki bimari hai. Isliye aapko Left Side Sleeping Posture mai sone ki hi aadat dalni chahiye.

Left Side karwat Lekar Sone ke Behatrin Fayde

Aaiye jante hai ki left aur karwat lekar sona swasth ke liye accha kyu mana gaya hai:-

Left Side Sleeping Posture

  • Ghatak Bimari Dur Hoti Hai:

Left aur karwat lene se sharir mai jama toxin dhire-dhire lasika tantra dwara nikal jata hai. Isliye khana hajam ho jaye iske liye munasib yeh hai ki left karwat hi soya jaye taki lever aur hajme ke system par koi dabav na pade aur wah apna kaam aasani se karle.

  • Liver aur Kidney se Acche se Kaam Karti Hai:

Humare sharir se gandagi nikalne ka sabse jyada karya lever aur kidney ka hi hai. Isliye sote samay inn par jyada pressure nahi dalna chahiye. Liver ko swasth aur tandaroost banane ke liye aap Home Remedies for Liver ka istemaal karke swasth reh sakte hai.

  • Pachan Sudhare:

Left Sleep posture se pet aur agnashay apna kaam jo ki khana pachane ka karya hai, usko aaram se karne lagte hai. Agnashay se enzyme sahi samay par nikalna shuru hota hai. Khaya gaya bhojan bhi aaram se pet ke jariye niche pachuchta hai aur aaram se khana hajam ho jata ha. Jinn logo ka hajma gadbad rehta ha aur badhajmi ki shikayat rehti hai, unhe doctor left karwat letne ki salah dete hai.

  • Subah Pet Aaram se Saaf Hota Hai:

Left aur sone ki wajah se gravity, bhojan ko chhoti aant se badi aant tak aaram se pahuchne mai madad karti hai. Iss wajah se subah ke samay aapka pet aaram se saaf hoga.

  • Dil Par Jor Kam Padta Hai:

Left karwat sone se dil par jor kam padta hai kyuki uss samay dil tak khoon ki supply kaf acchi matra mai ho rahi hoti hai. Ab agar dil swasth rahega to khoon aur oxygen ki supply aasani se sharer aur dimaag tak bhi pahuchega.

  • Acidity aur Sine mai Jalan:

Iss position mai sone par jo pet ka acid hota hai, wah uppar ki jagah niche ki aur ho jata hai, jisse acidity aur sine mai jalan nahi hoti hai.

  • Vasa ka Pachan aur Fat Lever se Bachav:

Hum sabhi jante hai ki lever bile juice nikalta hai aur gall bladder acchi pachan kriya ke liye jimmedar hai. Left aur karwat lekar sone se yeh dono hi apne kaam thik prakar se karte hai. Isse jyada bile juice nikalta hai jisse vasa thik prakar se pachta hai. Saath hi lever mai fat jama nahi ho pata hai.

Upar jane ki left side sleep posture karne se kya-kya laabh hote hai aur aap kis tarah apne aap ko aisa karne se swasth rakh sakte hai.

Loading...

You may also like...