Janiye Leptospirosis Symptoms, Causes aur Iske Treatment

Aajkal khabro mai aaye din Leptospirosis aur iske karan hone wali mratyu ke bare mai padhne ko mil raha hai. Har din koi na koi iss karan apni jaan gawa raha hai aur phir ascharya ki baat hai ki iss rog ke bare mai bahut kam logo ko jankari hai. To aaiye iss rog ki puri jankari ke liye dekhiye Leptospirosis Symptoms, Causes aur Treatment.

Leptospirosis yeh ek sankramak rog hai jo ki Leptospiro namak jivanu se hota hai. Yeh rog sankramit chuha, ek kala safed americi janwar skunk, lomadi, cow, horse, pig, dog ityadi praniyo ke mal mutra se failta hai. Barish ke mousam mai jab tez bairsh aati hai tab praniyo ke mal mutra mai upasthit yeh jivanu barish ke pani ke saath kichad aur mitti mai ghul jata hai.

Yeh jivanu manav sharir mai pravesh kisi chhot dwara, sankramit khana khane se, sankramit pani pine se aura ankh, naak, muh aur sinus ke twacha ka sankramit jal ya mitti ke sampark mai aane se ho sakta hai.

Paschuchikitsak, paltu pashu ke vikreta, safai karmachari aur kheto mai kaam karne wale kisaan aur majduro mai yeh rog hone ki aschanka jyada hone se barish ke mousam mai vishesh dhyan rakhna chahiye. To aaiye jante hai Leptospirosis Symptoms.

Leptospirosis Symptoms Causes and Treatment

Leptospirosis Symptoms: Janiye Iss Rog ke Mukhya Lakshan

Leptospirosis rog sankraman hone  ke 2 se 25 dino ke bhitar sharir mai failta hai. Iss rog ke mukhya 2 avstha hoti hai:-

First Phase:- First avastha mai flu saman lakshan dikhai dete hai. Jese ki:-

  • Sar dard
  • Snayu mai dard khaskar pairo mai
  • Aankho mai dard
  • Aankhe laal hona
  • Thandi lag kar tez bukhar aana
  • Naak aura ankh mai se pani aana

Yeh sabhi lakshan 5 ya 9 din se thik ho jate hai.

Second Phase:- First avastha ke lakshan thik ho jane ke kuch dino baad dusri avastha ke lakshan dikhai dete hai. Jese ki:-

  • Tez bukhar
  • Gardan mai dard aur jakdan
  • Pet ke daayi aur upari hisse mai tez dard
  • Julab
  • Ulti
  • Sharir ki naso mai dard aur jakdan

Iss bimari ka asar jab liver aur kidney par hota hai tab aankho mai pilapan dikhna shuru ho jata hai , ise Weil’s Syndrome bhi kaha jata hai.

You may also like:- Monsoon Mai Fit Rahane ke Kuch Aasan Healthy Tips in Hindi

Iss Tarah Kare Leptospirosis ka Nidaan?

Leptospirosis ke lakshan dikhne wale vyaktiyo mai nidaan hetu nimanlikhit test ki jati hai. Jese ki:-

  • Blood Test- Leptospira Antibody Levels
  • Leptospira jivanu ka sankramit khoon, Spinal Fluid ya mutra ka kratim utpann (Culture) parikshan karana chahiye

Leptospirosis Treatment: Janiye Sahi Dhang se Kiya Jaye Upchar

Doctor iss rog mai antibiotic aur rogi ke lakshan anusar dawa dete hai. Leptospirosis Treatment shuruaati dour mai aasani se ho sakta hai. Jese-jese rog sharir mai failta hai ise thik karna aur kathin ho jata hai.

Iss bimari ko dur karne ke liye inn savdhaniyo ko jarur batarna chahiye. Taki aap swasth reh sake:-

  • Pani se bhare huye kichad mai pair na rakhe. Uss jagah par barish ka pani aur mitti ke saath kachre aur ganda pani bhi ho sakta hai. Jisme Leptospira jivanu moujud ho sakta hai.
  • Agar aapko uss raste se jana anivarya hai to ghar pahuch kar apne jute-chappal aur pairo ko acche se swaccha pani se saaf kare. Pairo ki ungliyo ke bich bhi acche se saaf kare.
  • Jyada samay tak kichad mai ya tahre pani main a khade rahe.
  • Acche juto ko istemaal kare. Pairo ke saath juto ki safai bhi kare. Bina juto ke sirf pairo ki safai karne ka koi laabh nahi hoga.
  • Sardi, khansi aur bukhar ko halke mai na le. Leptospirosis Symptoms dikhne par apne doctor se turant sampark kare.
  • Apne haato ko acche se dhona chahiye.
  • Hatth dhote samay sabun se accha jhaag banagar 15 second tak bahate pani mai haath ko acchi tarah se dhoye aur baad mai swacch kapde se haath ko acchi tarah se saaf kare.
  • Nal band karne ke liye usi saaf kapde ka istemaal kare jisse haath ko dubara contamination na ho.
  • Agar aapko koi chhot ya kharoch lagi ho to use swaccha kar acche se dressing karwa de. Barish ke pani se gila hone par turant badal kar jakham ko saaf kare aur nayi malam patti kare.
  • Agar aapne pairo ki safai karai hai to barish se dur rahe.

Upar aapne jane Leptospirosis Treatment, Causes, Symtpoms. To agar aap aisi kisi taklif se grasit hai to aaj hi apne doctor se sampark kare. Iss rog ko halke mai na le, nahi to yeh ek gambhir samasya ban jayega.

Get more details about Leptospirosis from Diet And Fitness.

Loading...

You may also like...