Lung Cancer in Hindi – Dhumrapan Ke Sevan Ka Parinaam

Aaj ke samay mai har vyakti itna busy hai ki, uske pass apna dhyan rakhne ka samay hi nahi hai. Aaj hum choti-moti bimari ya rog ko to yuhi najarandaj kar dete hai, jo baad mai hume badi mushkil mai daal sakte hai aur hume sharirik hani pahucha sakte hai. Bahut se aise rog hai jinki shuruvati stage mai hum unke bare mai nahi jaan pate hai aur jinke bare mai tarah-tarah ke bhram hai.

Aisa hi ek rog hai cancer jiske bare mai logo ko kai bhram hote hai. Iska naam sunte hi log kaap uthte hai. Har vyakti ne kabhi na kabhi kisi na kisi vyakti ko iss khofnaak samjhi jane wali bimari se jujhte dekha hoga aur durbhagyavash adhiktar logo ka yah anubhav dukhad hi hoga.

Sharir ke kisi hisse par utako mai asamanya roop se gathan ka ubharna cancer ho sakta hai. Iss bimari ko alag-alag shreni mai rakha jata hai. Yah sharir ke bhaag ke anusar nirbhar karti hai. Yah kai prakar ka hota hai. Aaj hum aapko fefdo ke cancer ke bare mai jankari dene wale hai. Aaiye jante hai Lung Cancer in Hindi.
 

Lung Cancer in Hindi: Jane Iske Lakshan aur Upchar

 
Lung Cancer in Hindi
 
Samanya roop se Lung Cancer carcinose  kahe jane wale kuch bahari karako se utpann hota hai. Yah fefdo mai cancer yukt cells ki asamanya vradhi ko badate hai. Jab yah cells aniyantrit rup se badne lagti hai, tab yah milkar tumor ka nirmaan karti hai. Jaise-jaise cancer badta hai, yah fefde ke najdiki hisso ko nasht karta jata hai.

Jiske parinaam swaroop tumor ki badti hui asamanya cells gantho aur sharir ke ango jaise liver, haddi, adrenal glands ya dimag tak fel jate hai. Adhiktar logo mai iss tarah ke cancer ko badane wale carcinose chemical cigarette mai paye jate hai. Fefdo ke cancer ka mukhya karan smoking hai. Jo log bahut adhik ya bahut lambe samay se iska sevan kar rahe hai to bhavishya mai yah rog unhe bhi ho sakta hai.

Fefdo ka cancer maut ke karib le jane wala hota hai, lekin ise rokna bahut hi aasan hai. Lekin iske liye hume aapni aadato ko badalna hoga aur dhumrapan ko bilkul chodna hoga, kyoki 10 mai se 9 logo ko yah cancer isi wajah se hota hai.

Lung cancer ke marijo ki sankhya bahut teji se bad rahi hai. Dhumrapan ke alawa, agar TB ka ilaj thik tarah se nahi hota hai ya iski dawa ka sevan marij aadhe mai hi chod deta hai, tab bhi yah cancer hone ki sambhavna bad jati hai.
 

You May Also Like:- Cancer in Hindi – Iske Lakshano Ko Jane aur Rog se Bache

 

Types of Lung Cancer: Jane Iske Prakar      

Lung ke cancer ko do vargo mai bata ja sakta hai. Non-small cell lung cancer aur small cell lung cancer. Inn dono prakar ke cancer mai alag-alag tarah se ilaj kiya jata hai.
 
Non-Small Cell Lung Cancer  

Upchar ke samay small cell lung cancer ki apeksha non-small cell lung cancer ke nirdharan ki sambhavna bahut adhik hoti hai. Small cell cancer ki tulna mai surgery dwara upchar ki sambhavna bhi adhik hoti hai. Non-Small Cell Lung Cancer ko bhi kai upsamuho mai bata gaya hai.

Small Cell Lung Cancer  

Iske nidan ke samay non small cell lung cancer ki apeksha small cell lung cancer, fefde ke bahar felne ki sambhavna adhik hoti hai. Ise oat-cell carcinoma bhi kaha jata hai. Dhumrapan ka sevan karne wale logo ko cancer ka yah prakar sabse adhik hota hai. Iska sidha sambandh dhumrapan se hai.
 

Lung Cancer Risk Factors:


Jis vyakti ko koi bhi pareshani na ho Cancer hone ka samanya khatra
Asbestos ke sampark mai aane par Samanya se 6 guna jyada khatra
Dhumrapan karne wale Samanya se 11 guna jyada khatra
Dhumrapan ke sath asbestos se sampark Samanya se 59 guna jyada khatra

 

Causes of Lung Cancer: Janiye Kise Ho Sakta Hai

Waise to rog ki koi sima nahi hoti hai, wah kisi bhi vyakti ko ho sakta hai. Lekin har rog ki koi na koi wajah jarur hoti hai. Aaiye jante hai Causes of Lung Cancer

  1. Fefde ke cancer ka sabse mukhya karan dhumrapan hai. Jo log dhumrapan karte hai. Phir wo chahe cigarette, pipe, cigar ya bidi se hi kyo na kiya jaye, inke sevan se fefdo ka cancer hone ki sambhavna bahut adhik rahti hai. Agar aap inke dhuye fefde tak nab hi le jaye, phir bhi aapko gale aur muh ka cancer hone ka khatra bad jata hai.
  2. Dhumrapan ke alawa dusra sabse bada karan hai tambakhu ka sevan.
  3. Radioactive gas radon ke sampark mai aane se bhi yah cancer ho sakta hai.
  4. Jo log asbestos, uranium, arsenic aur petrol ki refinery ya karkhano mai kaam karte hai wah bhi iss rog ke sampark mai aa sakte hai.
  5. Adhik vayu pradushan aur koyle ke sampark mai aane se bhi yah ho sakta hai.

 

Symptoms of Lung Cancer: Jane Iske Lakshan

Lung cancer ko samjhne ke liye iske lakshano ko janana bahut hi jaruri hai. Jinhe jankar aap iss rog ki shuruvaat se hi roktham kar sakte hai. Aaiye jante hai Symptoms of Lung Cancer

  1. Adhik samay tak khansi ya khuni khansi bane rahana.
  2. Cough (balgam) ka adhik banan aur uske sath khoon ka aana.
  3. Sine mai nirantar dard bana rahna.
  4. Sans ka adhik chalna, ghabrahat rahna.
  5. Gardan aur muh par sujan rahna.
  6. Brokites ya nimoniya ka jaldi thik na hona.
  7. Thakan rahna, bhook kam lagna aur vajan ka ghatna.
  8. Lung Cancer hone par pidit vyakti ki haddiyo mai dard bana rehta hai.
  9. Rogi ke nakhuno ke aasapas ki twacha badne lagti hai.
  10. Kai baar sar dard hone lagta hai aur doura bhi pad sakta hai.
  11. Sharir ki rasayanik sanrachana mai achanak parivartan hone lagta hai.
  12. Pidit vyakti ki aawaj fatne lagti hai tatha aawaj saaf nahi aati hai.
  13. Jab vyakti saans leta hai to to uski jor jor se awaj aane lagti hai.
  14. Kai baar vyakti ko saans lene samasya hone lagti hai.
  15. Iss cancer ke hone par bagal mai tatha hatho mai lagatar dard bana rehta hai.
  16. Fefde ka cancer hone par vyakti ko lagatar khansi bani rehti hai.
  17. Jab iska tumour failne lagta hai to marij ke dil mai aksar dard hota hai.
  18. Jab rogi iss bimari se grasit hota hai use khana khane aur nigalne mai kafi kathnai hoti hai.

 
symptoms of lung cancer
 

Lung Cancer Treatment: Jane Iske Upchar

Fefde ke cancer ke ilaj mai kai baar rogiyo ko sans lene mai pareshani hoti hai ya san hi nahi le pate hai. Isme sans ki nail jo fefdo ko oxygen pahunchati hai, wah bhi jam ho jati hai. Iske samasya se bachne ke liye marij ko alag se naak ke dwara oxygen diya jata hai, tab jakar marij ko aaram milta hai. Lekin yah upay humesha ke liye nahi hai. Lung Cancer Stages

Lung Cancer ka ilaj chemotherapy ya surgery hi hai, magar lungs cancer ke baad bhi agar marij apne khan-paan mai badlav laye aur nashe ki aadat ko chod de to kafi had tak marij ek behtar zindgi ji sakta hai. Hum aapko yaha fefde ke cancer ke gharelu ilaj bata rahe hai. Aaiye jante hai Lung Cancer Treatment
 

Apne Khaan-Paan Ka Khayal Rakhe

Waise to healthy food sabhi ke liye accha hota hai, lekin khaskat tab yah aur bhi jaruri hai, jab aap kisi rog se pidit ho. Fefde ke cancer ske rogiyo ko bhi sehatmand bhojan jaise kacci sabji, kacche phal, sabut anaj aadi ka sevan karna chahiye. Salad ka adhik se adhik sevan karna behad faydemand sabit hota hai. Aise marijo ko saaf aur swacha pani pina chahiye. Iss prakar ke cancer ke rogiyo ko badam ka sevan nahi karna chahiye. Sath hi aap yah bhi dhyan rakhe ki sugar aur red meat ka upyog bilkul bhi na kare, kyoki inke sevan se cancer ki koshikao mai vradhi hoti hai.
 

You May Also Like:- Healthy Food Benefits in Hindi: Poshtik Aahar Ke Fayde

 

Vitamin D

Fefde ke cancer ke rogiyo ke liye Vitamin D ka sevan karna bahut hi avashyak hai. Isse fefde ki manspeshiyo ko majbuti milti hai. Surya ki roshani lena bhi vitamin d ka bahut sccha strot hai.
 

Green Tea

Green Tea mai antioxidant gun hota hai, jo fefdo ke rogiyo ke laiye bhaut labhkari hota hai. Niyamit rup se din mai 2 cup ise lena sehat ke liye accha hota hai aur agar isme thoda shahad mila de to aur bhi behtar rahega.
 

Cheese fruit (Noni)

Yah ek prakar ka phal hai, jiska upyog khane ya juice banakar pine mai kiya jata hai. Yah fefde ke cancer wale rogio ko bahut labh pahunchata hai.
 

Seaweed  

Yah ek samudri sabji hai jisme sharir ke ghav ko bharne ki adbhud shamta hai. Neuropathy mai ise aajmakar yah baat sabit ho chuki hai ki cancer ke ilaj mai yah bahut hi kaargar aur asardar hai. Isme bahut adhik matra mai minerals aur tress aliment bhi paye jate hai.
 

Alsi Beej Ka Tel

Alsi ke beejo ka upyog to kai bimariyo mai kiya jata hai, lekin iske beej se bana tel ka sevan fefde ke cancer mai labhdayak hota hai. Niyamit rup se thodi-thodi matra mai iska sevan jarur karna chahiye.
 

Samudri aur Desi Machliya

Pokhar ya talab mai payi jane wali choti-choti machliya jaise rewa, chechda, tengda, Sinhi-kabbe aur mangur ke sath-sath samudri machali jaise prawn aadi ko niyamit khana chahiye. Inn machliyo mai kafi adhik matra mai protein aur cod oil paya jata hai. Jo cancer ke rogiyo ke liye faydemand hota hai.
 
Aaj aapne jana Lung Cancer in Hindi, se sambandhit bahut hi mahatvpurn jankari, jiske bare mai shayad hi aap jante honge. Yaha humne aapko iske dushprabhav, lakshan aur kuch gharelu upchar bataye hai. Jinhe jankar aur samjh kar aap iski roktham kar sakte hai.

Loading...

You may also like...