Janiye Menopause Symptoms and Treatment in Hindi
Menopause kafi dikkat bhara phase hota hai, iss douran sharir kai prakriya se hokar gujarta hai aur aapke swasth par aur mood par kafi farq padta hai.
Lekin shayad bahut se mahilao ko iss bare mai theek tarike se jankari nahi hoti. Isliye chaliye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Menopause Symptoms and Treatment.
Menopause ke chrano ki baat karte hai to iss douran har mahilao ko apane upar kis prakaar dhyaan dena chahiye. Kai baar mahilao ko iss samay se bahar aane mai kafi dikkat hoti hai.
Aapke sharir ko lambe samay se period ki aadta ho jati hai. Aise mai menopause mai stop lagane shuru ho jata hai aur body mai fir hormonal changes hone lagte hai, jiske karan soch aur samjh par prabhav hone ek natural process hai.
Menopause Symptoms in Hindi, Iske Lakshano ko Pahchaniye
Jaruri nahi hai Menopause ke har lakshan aapko dikhai de. Lekin inme se kuch mile jule lakshan aapko aasani se dikhai de sakte hai. Jisko pahchan kar aap iss bimari se bach sakte hai.
Blood Imbalance
Khoon ke asantulan hone par bahut adhik garmi lagna, dil tezi se dhadkana, raat mai pasinaa aana. Neend puri na hona, subah jadi neend khul jana yeh sab pareshani aati hai.
Genitalia Changes
Janm path mai badlav ke karan urine mai sukhapan, urine se bahut pani niklna ya fir sex karne mai asuvidh hona aadi pareshani aati hai.
Urine mai Pareshani
Urine karte vakt pareshani hona, urine puri nahi nikal pana ya bar-bar urine aana yeh pareshani aati hai. Ye urine tract infection hone ka bhi karan hai.
Haddiyo mai Badlav
Menopause Symptoms mai haddiyo mai badlav iska sabse mukhaya karan hai. Haddiyo mai kamjor hona ya haddi tutne lagna ya fir jara si chhot lagne par fracture ho jana.
Skin ya Chram mai Badlav
Skin patli hona ya jarurat se jyada rukhi hona. Skin mai andar se jalan hona ya breast ka sukdna.
Psychological Changes
Jarurat se jyada thakan hona chidchidapan aana. Udasin rahna, kuch bhi yaad na rahna ya dhyan ka baar baar idhar udhar jana.
Menopause Treatment in Hindi, Iss Bimari se Bachane ke Upay
Menopause Treatment ki baate kare to hum bol sakte hai ki isme 3 cheeze mukhaya hai jese Diet plan, aapki lifestyle aur acupuncture therapy.
Menopause Diet Plan Ke Liye Kuch Special Tips
Fiber
Agar aapko menopause ke douran pet mai bahut dard rahta hai aur kabj ki shikayat bhi hai to apni khurak mai fiber ki matra bada dijiye. Salad ka jyada se jyada sevan kare. Paryapt matra mai pani pijiye. Saath hi bahut jyada dard hone par doctor se sampark kare.
You may also:- High Fiber Foods- You Should Include in Your Daily Diet
Pryapt Pani Pijiye
Din mai paryapt matra mai pani pijiyee. Isse pet mai hone vali samsya dur hogi. Sharab ka sevan kabhi na kare. Smoking se hamesha ke liye dur rahe. Aap chahe to din mai ek di bar coffee ya chai pee sakte hai isse jyada na le.
Khana na Chhode
Dard hone par khana na chhode. Kai bar badte vajan ki samasya aati hai, aise mai mahilao khana nahi khati hai. Unko lagta hai ki, jyada khane se unka weight badta rahta hai, balki uske peeche vajah dusri hoti hai. Isliye shahi samay par sahi khurak lo.
Calcium Se Bharpur Khurak
Menopause Diet Plan mai Calcium ka naam sabse pahle aata hai. Aap khurak mai calcium ki bharpur matra le. Isme aapko menopause ke douran hone vali samsya se njiaat milta hai.
Rozmraha Ki Dincharye Mai Badlav Laye
Tahale ya kaam Kare
Menopause ke douran ekdam na bethe rahe. Apna rozmarha ka kaam kare. Har din thoda sa tahle. Subah sham nikal kar ghumne jaye. Isse aapko bahut fayda milenga.
Dhyan Lagaye
Jin mahilao ko menopause ke douran neend nahi aati hai, ve dhyan lagaye aur saans sambandhi exercise kare. Isse unhe rahat muilengi. Sone se pahle coffe chai na piye. Dimag ko kabu mai rakhe na ki khud dimag ke kabu mai aaye. Positive soche parivaar ke saath samay bitaye. Khud ko jyada se jyada vakt de.
Menopause Treatment ka Sabse Mukhaya Bhaag Hai, Acupuncture
Hamare desh mai acupuncture ke bare bhaut kam log jante hai. Acupuncture dard se rahat dialane ya chikitsaka prayojan ke liye sharer par vibhinn binduo par siu chubhone ki prakiya hai. Par iss bare mai bahut hi kam log jante hai. Isse har bimari ka ilaj sambhav hai. Vo mahilaye jo menopause ke shikar hai unke liyeto yeh vardan hai. Yeh ek praktik ilaj hai.
Iss treatment mai sharir ke kai bhago mai sui chubai jati hai. Akyu ek Chinese language ka word hai, jiska matlab hai points, yani sharir ke kuch points par sui se chhed karke ilaj karna hi acupuncture kahlata hai. Janiye acupuncture ke laabh jo ki bachaye aapko iss bimari se. To hum bolsakte hai ki Menopause Treatment ki baat kare to acupuncture ek bahut aham bhimika nibhata hai.
Depression Khatam Kare
Is samay mahilao ka mood swing hona aam baat hai jo ki depression ka roop leleta hai. Acupuncture karvane se aapke sharer ke hormone balance hote hai aur mood swing se chutkara milta hai.
Sharir ka Dard
Yeh body pain back pain aadi ko kam karta hai. Isse aap iss samay hone vale khatrnak dard se aaram pa sakte hai.
Thakan se Rahat
Iss samay mahilao ko thoda sa hi kaam kar lene par thakan lagne lagti hai. Iske karan sharir ke badte aur ghatte hormone hai. Acupuncture se energy ka level bad jata hai. Saath hi thakan se rahat milne lagti hai.
Hot Flash ka Upchar
Research ke mutabik acupuncture se endorphins namak hormone sharir mai relies hota hai. Jo ki duniya bhar ki mahilao ko hot flash se mukti dilvane mai madad karta hai.
Mood Swing se Rahat
Hormonal system ke balance na hone ki vajah se mood mai parivartan hote hai. Magar acupuncture karvane se mahilao ka mood aur energy balance rahti hai.
Upar aapne jane Menopause Symptoms and Treatment se sambhandhit kuch jaruri tathaya. To bas der kis baat ki agar aap bhi iss bimari se grasit hai to aaj hi iske lakshnao ko pahchan kar iska ilaj shuru kar de tatha hamesha swasth rahe.
Menopause se sambhandhit adhik jankari ke liye dekhiye Diet and Fitness.