मन को शांत और चैतन्य बनाने के लिए मेडिटेशन का सहारा ले
Jab bhi vyakti akela hota hai aur uske aas pas koi nahi hota hai. Tab wah iss akelepan ko dur karne ke liye apne aapko kahi na kahi vyast karne mai lag jata hai. Aese mai log bahut jyada tv dekhte hai, akhbar padte hai aur kuch kam nahi milta to so jate hai.
Iss tarah ham sab apne akelepan ko bharne ki koshish karte hai. Lekin kya aap jante hai akelepan aur akant mai antar hai? akelapan aapko udasi ki taraf le jata hai aur akant aapko shanti ki taraf le jata hai. Jab aap akant mai rehte hai to aapke andar sakaratmak urja behti aur akelepan mai aap nakaratmak soch ki taraf badte hai.
Isi karanvash kai log kai tarah ki mansik bimari se ghire huye hai. Aur inn sab se ubharne mai dhyan aapki bahut madad kar sakta hai. Dhyan karke aap vartman ko samajhne lag jate hai aur past tatha bhavishya ki chinta nahi karte hai. Lekin kya aap jante hai ki dhyan ke bhi kai prakar hai. Aaj ham aapko iske ek prakar ke bare mai bata rahe hai. Aaiye jante hai Mindfulness Meditation in Hindi.
Mindfulness Meditation in Hindi: Dhyan Tanav Se Mukti Dilaye
Dhyan Se Jude Kuch Tathya
Dhyan Karne ka Accha Samay | Subah Suryoday Ke wakt |
Abhays Ka Samay | 45 minute |
Sharirik Fayda | Dard, raktchaap ko nitantrit kare |
Mansik fayda | Ekagrata badhaye, buddhi badaye |
Aatmik gyan | Daya bhav man mail aye, aatmik gyan laye |
Mindfulness Meditation Kya Hai?
Mindfulness mediation sabse prabhavkari vidhi hai jise ek bar karne mai hi aapko shanti ki anubhuti hogi. Iss meditation ko karne wala vyakti kai tarah ki mansik bimariyo se nijat pa leta hai. Jab aap isme puri tarah lin ho jate hai to yeh dhyan aapki chetna ko jagrat kar deta hai.
Iske sath aapki sharirik samvedna bhi jagruk hoti hai. Meditation kisi dharm se nahi juda hua hai lekin iski jade bhagvan bhuddh se judi hui hai. Doctor bhi man aur dimag ko shant karne ke liye mindfulness meditation ka sujhav dete hai. “Mindfulness mediation” meditation ka ek bhag hai.
Mindfulness Meditation Benefits: Jane Ise Karne Ke Fayde
Tanav Ko Dur Kare
- Yeh Meditation Technique tanav jaise vikaro se ladne mai madad karta hai.
- Avsad se pidit vyakti ko ise rojana karne se fayda milega.
- Mindfulness meditation ko karne se aapko chinta se mukti milegi.
Healthy Relationship Ke Liye Faydemand
- Isse karne se aapka dimag shant rehta hai aur apne sathi aur rishtedaro ke sath aapsi samjh badti hai .
- Jindagi mai aane wali pareshaniyo ko aapsi samajh se suljha sakte hai.
Aapko Aaram Dilaye
- Iss dhyan ko karne se man ko aaram milta hai.
- Jab aap iss meditaion ko karte hai bahari vichar nahi aate aur aap aaram se so jate hai.
Bimariyo Ko Dur Kare
- Jyada tanav lene se bimariya hoti hai aur yeh tanav ko dur karta hai.
- Kai bar jarurat se jyada tanav lene se dil ka doura bhi pad jata hai, yadi aap dhyan lagate hai to iss bimari ke hone ki sambhavna kam ho jati hai.
- Meditaion karne se suddha hawa sharir ke andar jati hai aur dushit hawa bahar nikalti hai, jisse bimari hone ka khatra kam hota hai.
Ucch Raktchaap Ko Bade Se Roke
- Jyada tanav lene se aapka rakt chaap badne lagta hai.
- Ucch raktchaap hone par aapko kai aur bimariya jaise gurde ki samasya aadi ho sakti hai.
- Jab meditaion karte hai to tanav dur hota hai aur ucch rakhtchaap ki samasya nahi hoti hai.
Mindfulness meditation Taknik
- Mindfulness mediation ek taknik hai jisme aapko kisi expert ki jarurat hoti hai.
- Iss mediation ko karne se dimag bilkul shant ho jata hai aap kai nai chij sochte hai.
- Iss taknik mai aapko saans lene wale vyayam par dhyan kendrit karna sikhaya jata hai.
- Kai bar aapko soft music ko sunkar bhi aap ise kar karte hai aisa karne par aapko sukhad ehsas ki anubhuti hogi.
Upar aapne jana Mindfulness Meditation in Hindi. Uprokt di hui jankari ke dwara aapko bataya gaya hai ki meditation karne se aap sukh ka anubhav kar sakte hai sath hi yeh aapko tanav tatha kai bimariyo se dur karne mai bhi sahayak hota hai.