Dry Skin Care Tips in Hindi, Rukhi Twacha Se Chutkara
Rukhi twacha oily twacha se jyada najuk hoti hai, isliye iski dekhbhal ki jyada jarurat padti hai. Rukhi twacha par dryness hone ki vajah se iss par jhuriya, barik line aur rashes jaldi ho jate hai.
Saath hi rukhi twacha valo ki umar bhi jaldi dikhai dene lagti hai. Isliye jin logo ki skin bahut oily hai. Unhe apani skin ko komal banana ke liye kuch ghrelu upay ka sahar lena chahiye.
Rukhi twacha mai apna koi oil nahi hota hai, isliye use bahar se poshan ki jarurat padti hai. To chaliye hum aapko baatate hai, Dry Skin Care Tips in Hindi.
Dry Skin Care Tips in Hindi, Rukhi Twacha Se Nijaat Pana Huya Aasan
Iss article mai jo tips aapko batane ja rahe hai. Unka koi side effect bhi nahi hota hai. In tariko se aap apni skin ke natural beauty ko nikhaar sakte hai.
Rukhi twacha se nijat pane ke liye log bajar mai uplabhad kai tarah ke product ka istemaal karte hai. Lekin vo lof yeh nahi jante hai ki, swasth aur nikhari twacha ke liye ghar ke bane face pack sabse acche rahte hai. Aaiye aur janiye Face Pack for Dry Skin.
You may also like:- Beauty Tips in Hindi for Glowing Skin: Paiye Twacha ka Nikhaar
Inn face pack ko aap ghar par hi aasani se banakar laga sakte hai. To fir padiye inn face ko banane ke baare mai jaruri tips aur iske fayde.
Face Pack for Dry Skin ke Jariye Paiye Sundar Twacha
Anda , Surajmukhi Tel aur Honey
Ek katori mai anda ki safedi, 2 chammach shahad, ek chammach surajmukhi ka tel ko acche milakar paste bana lijiye. Fir ise apne chehre par lagaiye aur 20 minutes ke liye chhod de. Face mask ke sukh jane par gram pani se apne chehre ko dho lijiye.
Kela, Dahi aur Shahad ka Face Pack
Ek pakka huya kela, dahi aur thoda sa shahad, isko acche se milakar paste bana lijiye. Fir ise apne chehre par lagaiye aur 15 minutes ke liye chhod de. Fir gungune pani se apne chehre ko dho lijiye. Ise lagane se aapki twacha mai nami aayegi.
Kheera aur Aloe Vera
Dry Skin Care Tips mai iss face pack ka naam sabse pahle aata hai. Rukhi twacha ke liye sabse accha upaye hai. Aloe vera kheera ko acche se pis le aur usme alove vera jel milaye. Ab iss paste ko apne chehre par lagaiye aur 25 minutes ke liye chhod de. Sukhne neke baad thande pani se apne chehre ko dho lijiye. Isse aapki skin ki nami bani rahegi.
Avocado aur Honey
Ek pakka huya avocado le aur use acche se pis le. Fir isme thoda sa shahad milaiye aur paste taiyar kare. Ab iss apne chehre par lagaiye aur 20 minutes ke liye chhod de. Avocado mai paya jane vala tel aapki twacha ko nami pradaan karta hai. Saath hi aapke chehre ki jhuriya ko bhi khatam karta hai.
Aloe Vera aur Avocado Face Mask
Avocado kop is kar usme aloe vera ka thoda sa jel milaiye. Isse apni twacha par 20 minutes ke liye lagaiye aur fir sade pani se apne chehre ko dho lijiye. Yeh bahut si asardar face pack hai aapki twacha ko natural tarike se nami pradaan karne ke liye. Aap chahe ti iss face pack ko week mai 2 bar laga sakte hai.
Kaccha Dudh, Shahad aur Aloe Vera
Thoda sa shahad ki kuch bunde alove vera jel aur 2 chammach milk powder ko mila lijiye aur acche se paste bana lijiye. Ab iss paste ko apne chehre par lagaiye tatha 15 minutes ke baad sade pani se apne chehre ko dho lijiye. Yeh ek bahut accha upaye hai.
Oatmeal, Dahi aur Olive Oil
2 Chammach oatmeal, 2 chammach dahi aur ek chammach jaitun ka tel aur thoda shahad ko milkar paste bana lijiye. Iss paste ko apne chehre par lagaiye aur 15 minutes ke liye chhod dijiye. Yeh aapki twacha ko nami pradaan karta hai aur rukhi twacha se nijaat bhi pradaan karta hai.
Kela, Shahad aur Oatmeal
Pakke huye kele mai thoda sa shahad aur ek chammcah oatmeal milakar paste bana le. Fir Isse apne chehre par lagaye aur 15 minutes ke liye chhod dijiye. Fir iss mask ko halke haatho se ragad kar saaf kare, baad mai sade pani apne chehre ko dho lijiye.
Gajar , Avocado, Shahad aur Egg
Gajar ko ubal le, fir ise mixi mai pis le. Ab iss mai shahad, anda aur pise huye avocado ko milaiye aur acche se paste bana lijiye. Ab iss paste ko apne chehre par lagaiye aur 15 minutes ke liye chhod dijiye. Yeh pack aapki skin ke liye bahut faydemand hai kyoki gajar rukhi twacha ke liye kisi amrat se kam nahi hai.
Chini aur Jaitun Ka Tel
Ek chammcah chini, ek chammach jaitun ka tel ko accahe se mix kijiye. Fir iss paste ko halke haatho se 15 minuutes ke liye apne chehre par ragdiye. Fir baad mai thande pani se apne chehre ko dho lijiye.
Dry Skin Care Tips in Hindi, Rukhi Twacha Ke Liye Aahar
Nariyal Ka Tel
Nariyal tel mai jo fats hota hai yeh aapki skin ko andar se nami pradaan karta hai. Isliye aapko apne bhojan mai iss oil ka use karan chahiye.
Kheera
Kheere mai silica hota hai, jo twacha mai flexibility lata hai aur use nam rakhane mai bhi madad karta hai. Isliye aap apne aahar mai shamil kijiye.
Hara Dhaniya
Iss mai bhi silica hota hai, jo aapko sardiyo mai jarur khana chahiye. Isse aapki dry skin mai nami aati hai. Jise ki aapko bahut jaldi dry skin se aaram mil jayega.
Alsi ke Beej
Food for Dry Skin mai alsi ka naam sabse pahle aata hai. Yeh sahrir ke andar nami ko banaye rakhne mai madad karte hai. Isse omega, 3 fatty acid milta hai.
Akhrot
Aapki twacha ko nami ki jarurat hoti hai aur yeh aapko akhrot khane se hi milengi. Twacha ke alawa yeh dimag ke liye bhi bahut accha mana jata hai.
Olive Oil
Yeh jaitun ka tel hai, jisme vitamin E aur swasth vasa mojud hota hai. Vitamin E se twacha mai nami aati hai.
Palak
Isme bahut sare poshak tatav mojud hote hai jo ki, twacha ko swasth rakhne ke saath use nami bhi pradaan karte hai. To fir aaj se apni skin ko khubsoorta banane ke liye iska sevan start kar do.
Nuts
Dry skin se bachne ke liye aap rozana bahut sare nuts ka sevan kare. Niyamit tor se nuts ka sevan karne se aapki skin ko natural tarike se oil milta hai.
Gajar
Isme vitamin A bhari matra mai mojud hota hai. To agar skin bilkul sukh jai hai, to aapko apne aahar mai gajar ka prayog shuru kar dena chahiye.
Upar apane jana Dry Skin Care Tips. To bas der kis baat ki aaj se inn tips ke dwara apni twacha ko komal banaiye aur hamesha sundar dikhiye.
Apni twacha ko chamkane ke liye Beauty Tips in Hindi ko dekhe aur khubsoorat dikhiye.