Home Remedies for Eczema: Khujli Dur Karne Ke Gharelu Upay

Kai logo ko khaj khujli ki samasya hoti hai. Jisme yadi twacha mai sujan ya laal chakkate bhi padne lage to ise Eczema kehte hai. Yeh ek twacha sambandhi rog hai. Iss rog mai khujli, jalan aur dard hota hai. Eczema ki samasya hone par twacha apni puri nami kho deti hai aur rukhi pad jati hai. Natijanat bar bar khujli hoti hai.

Kabhi kabhi yeh samsya itna grasit roop le leti hai ki prabhavit jagah par fafole padh jate hai aur unme se pas aur rakt nikalne lagta hai. Agar iska illaj na kiya jaye to yeh pure sharir mai fail jata hai. Yeh kisi bhi umra ke vyakti ko ho sakta hai.

Iss samasya se grasit vyakti ko takleef hone se uski din charya par to asar padta hi hai sath hi iss rog ke chalte use kai baar sharminda bhi hona padta hai. Lagatar iss tarah ki situation face karne ke karan kuch log heen bhavna ke shikar bhi ho jate hai.

Isliye behtar hai ki wakt rehte iska illaj kar liya jaye. Gharelu upayo ki madad lekar iska illaj sambhav hai. Isse aapka jyada paisa bhi nahi kharch hoga. To aaiye jante hai Home Remedies for Eczema.
 

Inn Tariko Se Dur Kare Sharir Ki Khaj Khujli

 
Home Remedies for Eczema
 
Ham kisi bhi samasya ka upchar tabhi kar sakte hai jab hame iske piche ke karano ke bare mai pata ho. Yeh rog kai karano se ho sakta hai jaise ki

  1. Sharir mai kabj rehne se bhi eczema ki samasya aati hai.
  2. Dama ke upchar mai li gayi dwaiya ke karan bhi eczema ho sakta hai.
  3. Masik dharm ki anniyamitta bhi iska ek karan hai.
  4. Jo log rasanayik chizo ka jyada istemal karte hai jaise sabun ya detergent ka adhik istemal, unhe bhi iski sikayat rehti hai.


Gunkari Tulsi

Tulsi ka prayog prachin kal se aushdhiyo ke roop mai kiya ja raha hai. Tulsi mai paye jane wale tatva na twacha mai thandak pahuchkar, khujli ki samasya se rahat dilate hai. Eczema ki samasya ko dur karne ke liye tulsi ke kuch patton ko lekar unhe khujali wali jagah par lagaye, yaa fir tulsi ki chaye banakar khujli wale sthan par lagaye.

Aloe-Vera Bhi Faydemand

Jaisa ki ham sabhi jante hai ki aloe vera lagane se twacha ko kai fayde milte hai. Yaha tak ki iska upyog kai tarah ki dawai banane mai bhi kiya jata hai. Aloe vera mai paye jane wale moisturizing gun ke karan yeh eczema mai bhi bahut faydemand hai. Aloe vera ko khujli wale sthan par lagane se khujli jalan dono mai rahat milti hai.

Alsi

Alsi ke istemaal se bhi charm rog thik hota hai. Alsi mai mojud omega 3 acid pachan tantra ko majbut banata hai. Jisse charm rog mai aaram milta hai. Rojana alsi ke 2 chammach tel ka seban karne se aapko khud farak mehsus hoga.
 

You May Also Like:- Charm Rog se Bachne ke Liye Aasan Gharelu Upchar

 

Nimbu (Lemon)

Nimbu sasta hone ke sath sath aasani se mil jata hai. Yeh vitamin C se bharpur hota hai aur hamari twacha ko repair karne mai madad karta hai. Iske bleaching properties ke chalte twacha ka rang nikharne mai iska prayog hota hai. Agar nimbu mai gari ka tel milakar lagaya jaye to khaj khujli mai ki samasya se bhi nijad paya jaa sakta hai. Bus nimbu aur gari ka tel milakar prabhavit hisse par lagaye. Lagane ke bad khujalaye nahi, thodi der bad aaram mil jayega.

Seb Ka Sirka (Apple Vinegar)

Seb ka sirka bhi khujli dur karne mai sahayak hota hai. Isme antiseptic aur antifungal gun paye jate hai jo ki khujali ko dur karne ke alawa ise jad se khatam kar dete hai. Iske alawa sar par hone wali rusi ko bhi dur karne mai yeh sahayak hota hai.

Eczema Home Remedies: Anya Tarike Inhe Bhi Jane

 

  1. Sharir mai rukhepan se hone wali khujli ko dur karne ke liye nariyal ka tel ek behatar vikalp hai.
  2. Khire ke pani ko bhi khujli wale sthan par lagane se khujli ke samasya mai aaram milta hai.
  3. Pudina bhi khujli jaise rogo ke liye bahut faydemand hota hai. Iske sath hi yeh keede ke katne se hone wali khujali mai bhi aaram deta hai. Isko lagane ke baad twacha mai thandapan mehsus hota hai.
  4. Khujali se rahat dilane ke liye chandan ka paste bhi labhdayak hota hai. Ise lagane ke liye chandan aur gulab jal ka paste banaye aur fir khujali wale sthan par lagaye aisa karne se khujali hona band ho jati hai.
  5. Beking soda har rasoi mai paya jata hai. Isme anti-imflementry gun paye jate hai jo ki sharir mai prakratik acid neutralizer ke rup mai karya karta hai. Jisse sharir mai hone wali khujali dur ho jati hai.
  6. Dalchini ki pattiyon ka upyog ham khujli ko dur karne ke liye karte hai. Dalchini ka upyog karne ke liye iski pattiyon ko barik piskar ya paste banakar khujali wale sthan par lagane se eczema jaise rog jad se khatam ho jate hai.

 

Download our Health Tips in Hindi App to get easy access on Blogs

Loading...

You may also like...