Newborn Baby Care in Hindi: Navjaat Shishu ki Dekhbhaal
Kisi ghar me kilkari ki awaaj sabse madhur awaaj hoti hai aur maa ke liye sabse jyada uske bacche ki awaaj hoti hai. Maa aur shishu ka rishta anmol hota hai. Isse accha aur koi rishta nahi hota hai.
Lekin phir bhi bacche ki dekhbhal ke liye konsi baato ka khaas khayal rakhna bahut jaruri hota hai. To Aaiye aaj hum aapko How to Take Care of a Newborn Baby ke bare me batate hai.
Newborn Baby Care Tips: Navjaat Shishu ko Rakhe Surakshit
Maa ka Dudh
• New Born baby ke liye maa ka dudh amrat ke saman hota hai. Maa ka dudh hi bacche ka pahla aahar hota hai.
• Yeh bacche ko kai bimariyo se bachata hai.
• Har maa ko chahiye ki vo istanpaan karvaye. Jisse maa aur bacche dono ka swasth bana rahe.
• Maa ko apne bacche ko tab tak dudh pilana chahiye jab tak baccha santusth na ho jaye. 6 mahine ki age tak bacche ko maa ka dudh hi dena chahiye.
Itna Bura Nahi hai Shishu ka Rona
• Baccha jab tak rota hai to maa aksar yeh samajhti hai ki uska baccha kisi takleef me hai. Lekin har bar aisa nahi hota hai. Rona bacche ke liye ek accha lesson hota hai. Haa uske rone par use marna ya datna nahi chahiye, balki pyaar se chup karvana chahiye.
• Phir bhi agar aapko aisa lage ki aapka baccha adhik ro raha hai, to use doctor ke pass le jao.
• Vese aamtor par yahi mana jata hai ki bacche ko takleef hone par vo rote hai.
You may also like: Ultrasounds during Pregnancy: Garbhavastha ki Jankari
Malish Jarur Kare
• Newborn Baby Care Tips ki baat kare to malish iska sabsa mukhaya bhaag hai. Bacche ki malish savdhanipurna karni chahiye.
• Malish se bacche ka sharirik vikas hota hai aur uski haddiya majboot banti hai. Bacche ki malish karte samay jyada jor na lagaye.
• Bacche ki malish hamesha halke haath se karni chahiye.
• Jor lagakar malish karne se bacche ko nuksaan ho sakta hai.
• Malish ke liye jaitun ka tel, badam ka tel ya baby oil use kar sakte hai.
Vaccination
• Bacche ko sahi samay par vaccination de. Bacche ke janm ke samay hi vaccination ki puri jankari le lo. Is jankari me janm se le kar kab-kab konsa tika lagana hai yeh puri jankari hoti hai.
• Agar bacche ke janm ke samay aapko vaccination ke bare me sahi jankari nahi mili hai. To nikat ke swasth kendra me jakar apne bacche ka registration kar vale.
Bacche ko Gode me Lete Samay Dhyan Rakhe
• Bacche ko uthate samay uske sharir ke niche jarur hath rakhe.
• Bacche ki gardan bahut kamjor hoti hai aise me agar use uthate samay jara bhi asavdhani barti jaye to bacche ko nuksaan ho sakta hai.
• Pahle mana jata tha ki baache ko jyada der tak godi me pakdne se uski aadat kharab ho jati hai. Aise me maa apne bacche ko godi me pakad kar apne aapko doshi manane lagti thi.
• Lekin yeh sab sahi nahi hai, balki bacche ki jarurat samay par puri hone se vah aapse bahut kuch sikhte hai aur aapki respect karne lagte hai.
How to Take Care of a Newborn Baby: Navjaat Shishu ko Rakhe Swasth
Bacche ko Hilaye Nahi
• Apne bacche ko kabhi bhi jyada jor se hilaye na, phir chahe vo mazaak me hi kyo na ho.
• Baache ko jor se hilane se uske mashtishk me rakt ka istrav hota hai aur yeh uski mout ka karan bhi ban sakta hai.
• Agar aap bacche ko neend se jagana bhi chahte hai, to use jor se hilaye na balki uske pairo me gudgudi kare ya phir use halke se hilaye.
Unhe Infection se Bachaye
• Chhote bacche ki twacha bahut hi najuk hoti hai isliye unko infection se bachana chahiye kyoki bacche ko sankramnd ka khatra sabse jyada hota hai.
• Unhe chune se pahle haath ko sabun se dhoye ya hand sanitizer ka use bhi kar sakte hai.
• Samnaya si galti bacche ko nuksaan pahucha sakti hai, isliye apne swasth ka khayl rakhe aur apne bacche ke bhi swasth ka khayal rakhe kyoki aapke swasth ka ghra asar aapke baache ke swasth par padta hai.
Botal se Dudh Na Pilaye
• How to Take Care of a Newborn Baby se jude tathyo me yeh bataya jata hai ki bacche ko bottle se dudh na pilaye. Kai baar dekha gaya hai ki, maa apne samay ko bachane ke chakar me sote samay bacche ke muh me bottle laga deti hai. Aise karne se kabhi bhi gale ki nali me dudh ki kuch matra rah jati hai.
• Jisse ki bacche ki saans lene me problem hoti hai. Iske saath ho bottel se dudh pine se bacche ko pet se judi bahut si pareshani ho jati hai.
Diaper Use
• Sote samay kai bar bacche peshab kar dete hai, jisse gilapan ke karan unki neend kai baar khul jati hai.
• Aise me aap bacche ko diaper pahna kar sulaiye jisse unki neend puri hi tatha vo aaram se so sake.
Nabhi Katne Ke Bad Dhyan De
Jab aap navjat shishu ki nabhi katte hai to uss jagah par petroleum jelly laga de. Ab nabhi ko acche se cover kar de taaki ghav diaper se chipke nahi aur jaldi se sukh jaye. Jab aap bacche ka diaper badle nabhi ko garam pani ki sahayata se acche se saaf kar le. Iss tarah nabhi ka ghav 2 se 3 hafte mai sukh jata hai, yadi yeh nahi sukhe to doctor se sampark kare warna isse bacche ko sankraman ho sakta hai.
Stan Pan Karvate Samay Dhyan Rakhe
Maa ka dudh bacche ke liye bahut jaruri hota hai tatha yeh bacche ko kai tarah ki bimariyo se bachane mai sahayk hota ha. Lekin jab baccha stan pan karta hai to maa ko kuch jaruri chijo ka dhyan rakhna chahiye jaise
stanpan karvane ke bad nahate samay satno ko acche se dhoye, iske alawa jab bhi aap bacche ko dudh pilana band kare to stano ko saaf kapade se saaf kare.
Jab aap stanpan karvaye to dhyaan rakhe ki bacche koi chini ghula pani ya aur koi vastu na de.
Bacche Ko Bharpur Neend De
Kuch log bacche ko bahut lambe samay tak jaga kar rakhte hai. Lekin bacche ko itni der nahi jagana chahiye. Bacche ko kitni der jagna chahiye yaha dekhe:-
Age | Jagne ka samay |
---|---|
0- 6 hafte | 45 -60 minute | 2 month | 1 hrs | 3 month | 1 – 1.5 hrs | 4 month | 1.25- .75 hrs | 5 month | 1.5 – 2.25 hrs |
Sangeet Gudgudata hai Bacchi ko
• Halke sangeet se bacche ko bahut aaram milta hai. Yaha tak ki rote huye bacche isse shant ho jate hai aur kai bar to bacche isko sunte- sunte so jate hai.
• Iske liye aapko bacche ke saath kuch gungunate rahna chahiye.
Sugandhit Cheezo se Dur
• Kuch sugandh aisi hoti hai, jiske istemaal se bacche ki twacha me allergies ya itching hoti hai.
• Isliye apne bacche ke liye bahut jyada sugandhit tel ya lotion ka use na kare.
Nahalne ke liye Gunguna Pani Le
• New Born Baby ko nahlane ke liye gungune pani ka use kare. Dhyaan rahe ki pani jyada garam na ho.
• Nahlane ke liye soft sabun ka use kare. Lekin thand ke dino me shishu ko rojan nahlane ki jarurat nahi hai. Lekin garmi ke dino me bacche ko roj nahlaye taki unko bhi aaram milega.
Saaf Safai ka Dhyan Rakhe
• Bacche ke aas paas saaf safai ka vishesh roop se dhyan rakhe, uske bistar ko saaf rakhe.
• Usko hamesha dhule hue kapde hi pahnaye. Samay-Samay par uske kapde ko badalte rahe.
Upar aapne jane Newborn Baby Care in Hindi ke bare me to bas der kis baat aaj hi in tips ko apna kar apne bacche swasth rakhiye.
Get more updates about Newborn Baby from Diet And Fitness.