How to Lose Weight after Pregnancy – Pet Kam Karne Ke Upay

Ek navjat ko janm dena kisi bhi aurat ke liye bahut hi khusi ka pal hota hai. Jaha use ek aur maa banne ki bahut khusi hoti hai wahi dusri aur sharir ka badha hua vajan use chinta mai dal deta hai.

Baby hone ke bad har maa chahti hai ki wo maternity cloth ko chhdkar wapis apne purane kapdo mai aa jaye aur acchi dikhe. Kyoki badhe huye pet ke sath wo khud mai accha mehsus nahi karti.

Bahut si mao ke man mai khayal aata hai ki 9 mahine mai jo yeh unka vajan badha hai use kam kaise kiya jaye. Pregnancy ke douran badha hue vajan ko lambe samay tak rakhna sahi nahi hai. Yeh apne sath kai sari swasthya sambandhi samasyae jaise madhumeh aadi lekar aata hai.

Vajan ko kam karna mahila ke swasthya ke sath sath bacche ke liye bhi jaruri hai. Arthat yadi maa future mai ek baar aur bacche ke liye plan karti hai to badhe huye vajan ke sath use pregnancy mai kai saare complications aa sakte hai.

Wapis se apne purane kapdo mai fit baithna itna aasan nahi hai. Healthy life ke liye aapko bahut hi smart tarike se apna vajan ghatana hoga. Isliye aaj ke lekh mai ham aapko bata rahe hai How to Lose Weight after Pregnancy.

How to Lose Weight after Pregnancy:  Vajan Kam Kaise Kare?

How to Lose Weight after Pregnancy

Garbhavastha ke baad Vajan Kam Karna jaruri hai, lekin ham aapko salah denge ki baby ke hote hai vajan kam karne ki koshish na kare. Kyoki janm dene ke baad aapke sharir ko recover hone ki jarurat hoti hai. Isliye apna vajan kam karne se pehle aap yeh jarur dekh le ki aap puri tarah se swasth hai ya nahi?

Vyayam Ki Madad Le

  • Ek bar baby hone ke baad vyayam ke bare mai sochna thoda mushkil jarur ho sakta hai lekin na munkin nahi. Aap chota mota vyayam karke bhi vajan ko kam kar sakte ho.
  • Aap aasani se hone wale vyayam bhi kar sakti hai jaise tehalna, body stretching, pity aadi.
  • Yadi aap iss vyayam ko karne mai asamarth mehsus kar rahi hai to kam se kam 6 hafte intejar kare. Itne wakt mai aapke sharir ko recover hone ka wakt milega.
  • Aap apne nanhe se bacche ke sath bhi vyayam kar sakti hai. Jaise aap apne baby ko walker mai baithakar ghumne le ja sakti hai.
  • Apne sath kuch new moms ko bhi invite kar le. Jab aapke sath aur bhi log honge to aapko motivation milta rahega. Yeh Best Way to Lose Weight hai.
  • Aap chahe to vajan kam karne ke liye buggyfit classes laga sakte hai. Yaha aapko wapis se phele jaise shape mai aane mai madad ki jati hai. Aur apne sath aur bhi kai new moms ke sath milkar aapko accha bhi lagega.

Apne Khanpan Par Dhyan De

Jab aapko baby hone wala hota hai to uske growth ke liye aap apne khan pan mai kaafi badlav late hai. Lekin kya aap jante hai bacche ke hone ke bad bhi aapke sharir ko poshan ki jarurat hai.

Aur khaskar jab aapko apne bacche ko dudh pilana hai tab to aur bhi. Aap aesi chizo ka chunav kare jisse aapka vajan bhi na badhe aur aapka swasthya bhi accha rahe.

Junk Food Se Banale Duri – Apne aahar mai sehatmand chizo ko shamil kare. Yadi aap junk food ko dekhkar khud par control nahi kar sakti hai to behtar hoga ki ghar mai ise rakhe hi nahi.

Chote Chote Portion mai Le – Ek sath pet bharkar khana khan eke bajay chote chote portion mai khana khaye. Yeh aapke vajan ko kam karne mai madad karta hai. Sath hi apne aahar se phalo ko hatne na de nahi to aap kuch jaruri nutrients miss kar denge.

Phal aur Ankurit Anaj – Phalo mai fiber moujud hota hai, isliye din mai kam se kam do phal jarur khaye. Sath hi hari sabjiya, anaj ka sevan bhi aapki bhukh ko kam karta hai aur isse fat bhi nahi badhta.

StanPan Karana

Aapko jankar aascharya hoga lekin apne bacche ko stanpan karakar bhi aap kahi had tak apna vajan kam kar sakte hai. Kyoki jab aap stanpan karate hai to aapke sharir mai moujud fat cells aur aapki diet mai se kuch calorie milkar milk production karti hai.

Aapka Sharir Kitne Wakt mai Recover Hoga?

Vajan kam hone mai wakt lagta hai, isliye jadu ki tarah vajan kam hone ke sapne na dekhe. Bahut si aurte bacche ko janm den eke bad lagbhag sade 4 kilo tak vajan kam kar leti hai jisme ki bacche ka vajan, placenta aur amniotic fluid shamil hai. Lekin bacha hua fat apne aap nahi khatam hota hai.

Upar aapne jana How to Lose Weight after Pregnancy. Sehatmand diet aur vyayam ke madad se aap har hafte 0.5 kg tak ka vajan kam kar sakte hai. Aapko apne sharir ko wapis shape mai lane mai 6 mahine ya usse jyada bhi lag sakte hai. lekin ek baat ka khyal rakhe ki aapko keval vajan kam karne par hi nahi apne swasthya par bhi dhyan dena hai.

Loading...

You may also like...