Running to Lose Weight: Vajan Kam Karne Ke Liye Doude

Har insan chahta hai ki uska vajan niyantrit rahe aur uska body shape maintain rahe. Lekin busy lifestyle ke chalte bahut se log apne badhte vajan ko rok nahi pate. Iss badalti hui lifestyle mai kai log motape ka shikar hai.

Iss vajan ko kam karne ke liye kai tarah ki exercise aur diet plans hote hai. Lekin iss diet plans ko follow karna aur vajan kam karne ke liye alag alag vyayam karna har kisi ke bus ki baat nahi hai. Lekin kya aapne apne sharir se charbi ko kam karne ke liye doudne(running) ke bare mai socha hai?

Agar aapne ab tak aesa nahi kiya hai, to kal se hi doudna shuru kar de. Kyoki ham aapko batana chahte hai ki doud kar bhi aap apne vajan ko kam kar sakte hai. Khas baat to yeh hai ki ise karne ke liye naa hi jim mai jakar aapko paisa kharch karna padhta hai aur na hi anya vyayamo ki tarah yeh kathin hai. Ise karna behad aasan hai.

Doudne se vajan kam hota hai. Sharir mai sfurti aati hai aur sath hi sharir ke sare anga shape mai bhi aane lagte hai. Aaj iss lekh mai ham aapko Running to Lose Weight ke bare mai bata rahe hai.
 

Running to Lose Weight – Vajan Kam Karne Ka Aasan Tarika

 
Running to Lose Weight
 
Weight Loss karne ke liye doudna hi kaafi hai. Iski shuruwat kisi bhi umra mai ki jaa sakti hai. Agar aapko doudne ki aadat nahi hai to shuruwat aap kam samay se bhi kar sakte hai. Aap 10 minute se doudne ki shuruwat kar sakte hai. Doudne ke liye hamesha subah ka time chune. Subah ke wakt suddha vatavaran mai doudne se sharir ko oxygen milti hai aur rakt ka pravah sucharu roop se hota hai. Natijanat aapke body par fat nahi jamta.Kuch logo ko thand ke din mai bahar nikalne mai dikkat hoti hai. To aese log apne ghar mai hi doudne ke liye treadmill ka sahara le sakte hai.

Ab jab aapne doudne ka nishchay kar liya hai to aapko apna schedule banana hoga ki aap kis wakt running karenge aur kitne din karenge. Vajan kam karne ke liye yeh jaruri nahi hai ki aap saato din hi running kare. Aap 1-1 din ke antaral mai bhi doud sakte hai. Ho sakta hai ki iski aadat naa hone par aapko thakavat mehsus ho jiske chalte aapko office mai kaam karte wakt dikkat ho rahi ho to aap running karne ke liye shukravar aur shanivar ka din tay kar sakte hai. Isse aapko ravivar ke din aaram karne ke liye vakt bhi mil jayega.

  1. Doudte wakt kabhi bhi khali sadak ka istemal kare. Jyada traffic wali jagah par doudne se aapko chot lagne ki sambhavana ho sakti hai.
  2. Doudne ke liye aaramdayak jute aur aaramdayak kapdo ka chunav kare.
  3. Doudne ke liye ek sathi chun le. Isse aap bore nahi honge aur akele doudne ke mukabale jyada doudenge.
  4. Ek chart banaye. Usme aap yeh note kare ki aapne kis din kitni running ki. Apni progress ko track kare. Isse apne laksha ko prapt karne mai aapko madad milegi.
  5. Running karne ke liye sharir ko energy ki jarurat hoti hai. Isliye subah sham poshak tatvo se bharpur bhojan kare. Roj 1 gilas dudh piye aur do phal khaye.

 

You May Also Like:- Walking Benefits in Hindi – Acche Swasth Ke Liye Roj Chale

 

Running Se Pehle aur Bad Mai Stretching Kare

 
Running karne se pehle stretching karna bhi jaruri hota hai. Running karne se muscles tight ho jate hai aur injuries hone ka khatra hota hai. Isliye doudne se pehle aap stretching karke khud ko chot lagne se bacha sakte hai.

Leg Swings: Yeh Stretching exercise aapke pairo ki sabhi mashpesiya ko dhila karti hai. Ise karne ke liye kisi majboot chiz ko pakad le aur ek pair par khade hokar dusre pair ko aage piche hava mai swing(jhulaye) kare. Aesa kam se kam 20 baar kare. Fir isi pair ko side mai ek aur swing kare. Har Swing ke sath aapka pair apni adhiktam sima se stretch hona chahiye. Aesa bari bari se dono pairo se kare.

Doudne ke baad bhi stretching karne se pairo ki mashpesiyo mai lachilapan aata hai.

Standing Quad: Ise karne ke liye apne dono pair par khada ho jaye. Baye pair ko modkar piche le jaye aur takhne ko baye hath se pakad le. Ab hath se takhne ko upar khiche. Aapko baye pair ki jangh ke agle hisse par tanav mehsus hoga. Aese hi daye pair se bhi kare. Iss stretching ko kam se kam 40 sec tak kare.

Running karne se aapka vajan to kam hota hi hai. Lekin isse aapko aur bhi kai fayde milte hai.

  1. Doudne se mental health behtar hoti hai.
  2. Blood pressure normal hota hai.
  3. Immunity system strong hota hai aur choti moti bimariya dur hoti hai.
  4. Running se sugar ka level control rehta hai, aur diabetes ka khatra nahi rehta.

Vajan ko kam karne ke liye doudna Best Way to Lose Weight hai. Running se aap prati ghante 700 se 850 calorie burn kar sakte hai. Isse vajan control mai rehta hai.
 

Download our Health Tips in Hindi App to get easy access on Blogs

Loading...

You may also like...