Jaundice Treatment in Hindi: Piliya ke Gharelu Upchar

Mausam badalne ke sath hi piliya ka prakop bahot bad jata hai. Jaundice me ayurveda ka sabse accha ilaj hai. Aap iska ilaj ghar par hi kar sakte hai. Adhik jankari ke liye try kijiye Jaundice Treatment in Hindi aur rahiye swasth.

Ayurveda ke anusar yadi mccoy ki pattityo ko garam pani me ubalakar uska sevan kare to Jaundice se jaldi rahat milti hai. Mccoy piliya ki achuk dawa hai aur iska sevan kisi bhi roop main kiya jaye swasth ke liye laabhdayak hi hota hai.

Jaundice ke physicians kahte hai ki jab bhi patient ko yah lage ki unka sharir pila ho raha hai thatha use piliya ho sakta hai ,to wah pani ki matra bada de kyuki pani ki matra kam hone par sharir se utsarjit hone wale tatva rakt main mil jate hai. Isse vyakti ki halat kharab hone lagti hai. Physicians batate hai ki yadi kaccha papita salad ke roop main liya jaye to bhi piliya ka asar kam hota hai.

Kai log yeh mante hai ki piliya ke rogi ko mitha nahi khana chaiye jabki ayurveda physicians aisa nahi mante, unka kehna hai ki jaundice ke rogi cow ke dudh se bana paneer aur rasgulla aaram se kha sakte hai, yeh rogi ko koi nuksaan nahi pahuchata balki labhdayak hota hai. Janiye Home Remedies for Jaundice aur rakhiye apne aap ko iss bimari se dur.
 

Home Remedies for Jaundice: Piliya ko Rokne ke Upchar

 
Jaundice Treatment in Hindi
 

Radish (Muli) ka Ras

Muli ke ras main itni takat hoti hai ki wah khoon aur lever se atyadhik bilirubin ko nikal sake. Rogi ko din main 2 se 3 glass muli ka ras jarur pina cahiye.
 
You may also like: Malaria Symptoms in Hindi: Machhar se Hone Wali Bimari
 

Tomato (Tamatar)

Tamatar main Vitamin C hota hai, isliye yeh lycopene main rich hota hai, jo ki ek prabhavshali antioxidant hota hai. Isliye tamatar ka ras lever ko swasth banane main labhdayak hai.
 

Basil (Tulsi)

Ye ek prakratik upay hai jiss se lever saaf hota hai. Subah subah khali pet tulsi ki patatiya khani chaiye jisse aap Jaundice se bach sakte hai.
 

Coriander (Dhaniya)

Home Remedies for Jaundice me dhaniya sabse accha gharelu upay hai. Dhaniya ke seeds ko raat bhar pani me gala dijiye aur use subah pi lijiye. Dhaniye ke beej wale pani ko pine se lever se gandagi saaf hoti hai aur aap swasth reh sakte hai.
 

Lemon

Nimboo ke ras ko pani main nichood kar pine se pet saaf hota hai. Isse roj khali pet pina sahi hota hai.
 

Sugarcane

Piliya se jab aap tadap rahe ho to aapko ganne ka ras jarur pina chaiye. Isse piliya ko thik hone main turant sahayta milti hai.
 

Pineapple

Pineapple ek dusre type ka phal hota hai. Jo andar ke system ko saaf rakhta hai.
 

Yogurt (Dahi)

Dahi aasani se digest ho jata hai. Aur yeh pet ko probiotic pradan karta hai. Yeh ek accha bacteria hota hai jo Jaundice main ladne me madad karta hai.
 

Pudina Ka Sevan Kare

15 se 20 patte pudina ke le aur unka paste bana le. Iss bane huye paste ko pni mai dalkar din mai 2 bar piye, ise pine se piliya rog thik ho jata hai aur liver bhi swasth banta hai.
 

Kele Ka Sevan Kare

Piliya ki bimari mai khana khane ke bad phal mai kele ka sevan kare, iske alawa din mai 3 se 4 bar, 1 se 2 chhoti chammach shahad  ke ras ko piye, aapka jaundice jaldi thik ho jayega.
 

Amla Aapke Liye Faydemand

Amla mai bahut adhik matra mai vitmin C hota hai, aap inhe kaccha ya sukhakar bhi kha sakte hai. Iske sevan se piliya rog khatam ho jayega aur iske ras ko pine se liver bhi saaf hota hai.
 

Jane Jaundice Ke Prakar

Type Pre Hepatic Hepatic Post hepatic
Urine Color Normal Dark Dark
Stool Color Normal Normal Acholic
Pruritus No No Yes

 
Aaj aapne jane Jaundice Treatment in Hindi, jisse aap niyamit roop se apnakar iss bimari ko dur kar sakte hai.
 
Get more details about Jaundice Treatment from Diet and Fitness.

Loading...

You may also like...