Pregnancy Care in Hindi: Garbhavastha mai Kare Dekhbhal
Maa banna har mahila ka sapna hota hai. Chhote bacche ke aane ka intejar naa keval maa balki pura parivar karta hai. Chhote bacche hote hi itne pyare hai ki unki cute si smile aapko khusi se bhar deti hai. Yadi koi bhi mahila healthy bacche ki maa banna chahti hai to, garbhadhran karne ke pehle aur grabhvastha ke douran use apni care samanya dino se bahut adhik karni padegi. Tabhi wo ek swasthya bacche ko janm de payegi.
Aajkal kai mahilaye ghar sambhalne ke sath sath bahar job bhi karti hai. Aese mai unke khane pine ki dincharya ek saman nahi rehti hai. Aur unki jindgi tanav grast ho jati hai. Aesi stithi mai unhe garbhdharan karne mai bahut mushkil aati hai. Ya agar garbhdharan kar bhi le tab bhi garbhapaat jaisi samsya hone ka khattra bana rehta hai.
Yadi aap jald hi maa banne wali hai to khud ke liye aur apne hone wale bacche ke liye khud ka khyal rakhe. Darahsal 90 pratishat garbhadharab aniyojit hote hai, jisse aage jakar kai pareshaniyo ka samna karna padhta hai. Isliye behtar hoga ki maa banne ki planning se pehle aap stri visheshgya se mile. Wo hi aapko bata sakti he ki aapka sharir iss samay garbhadharan karne ke liye taiyar hai ya nahi.
Iske atirikt grabhadharan karne se pehle aur uske bad bahut jaruri hi ki mahilaye santulit aahar le. Aapke sharir ka swasth rehna jaruri hai. 9 mahine ek bacche ko apne khokh mai rakhna koi khel nahi hai. Iss bare mai aur vistar se janne ke liye padhe Pregnancy Care in Hindi.
Pregnancy Care in Hindi: Garbhavastha mai Rakhe Apna Khayal
Garbhadharan Ke Pehle Doctor Ka Paramarsh Le
Yeh bahut jaruri hai ki jab bhi aap maa banne ki planning kar rahi ho to sabse pehle doctor ki salah le. Aur behtar hoga yadib aap apne pati ko bhi apne sath le jaye. Doctor aapke kuch test lenge. Uss test ke dwara yeh pata chal paayega ki aapka sharir garbhadharan karne ke puri tarah se tyaar hai ya nahi.
Aapki sthti ke anusaar doctor aapko kuch medicine denge jo aapke sharir aur ghrbadharan karte samay aapke liye faydemand ho.
Dhumrapan Ka Sevan Na Kare
Yadi aapko cigarette aadi ka sevan karte ho to use turant chhod de. Kyonki dhumrapan karte samay jo dhuaa nikalta hai wo bahut hanikar hota hai. Isko karne se garbhadharan karne mai aapko kai mushkilo ka samana karna pad sakta hai.
Yadi ghrabhadharan karne se pehle aapne dhumrpan karna nahi chdoda to aapke bacche ke upar bahut bura asar padega. Kai bar bacche sharirik aur mansik rup se viklaang bhi pida hote hai. Dhumrapan karne se aapko grabhapaat, pre-term delivery jaisi pareshaniyo ka samna karna padh sakta hai. Iske atirikt aapka baccha motape ka shikar bhi ho sakta hai.
Dudh(Milk) Ka Niyamit Sevan Kare
Dudh pina sharir ke liye bahut accha hota hai. Isko pine se aapko calcium, protein milta hai. Jo aapke aur aapke hone wale bachho ke liye bahut faydemand hota hai. Lekin dhyaan rakhe ki jab aap garbhavati ho to garam dudh ka sevan na kare. Halke gungune dudh ka sevan kare. Aur personal care ke liye aap thande dudh ko chehre par bhi laga sakti hai.
Iodine Yukt Aahar
Garbhavati mahilao ke sharir ke liye iodine bahut jaruri hai. Iodin bacche ke mansik vikas mai sahayak hota hai. Sath hi iodine tantrika tantra ke vikas mai bhi madad karta hai. Iodin ki kami se bacche ko ghengha rog ho jata hai. Isliye jaruri hai ki garbhavati mahila iodine ko aapne aahar mai shamil kare.
Shrab Ka Sevan Chhod De
Sharab ka sevan to sabhi ke sharir par bura prabhav dalta hai. To fir soch lijiye ki grabhvati mahila ke upar iska prabhav kitna gehra hoga. Isliye garbhadharan karne ke 3 mahine pehle hi sharab ka sevan karna chhod de. Kyuki isse bacche ko kai bimariya ho jati hai. Bacche ke dil, phephde, aur dimag par bhi bura parabhav padhta hai.
You may also like:- Twin Pregnancy Symptoms in Hindi: Garbh Mai Judva Bacche
Bharpur Nind Le
Pregnant Lady Care ki baat kare to, Yadi aap garbhavati mahila hai to aapko kam se kam 8 ghante ki nind lena chahiye. Agar aap din mai bhi 1 ghanta aaram karegi to ye aap aur aapke bacche ke liye bahut accha hai. Nind puri hone par aap swasth aur refresh mehsus karenge.
Caffeine Ka Sevan Kam Kare
Maa banne ke liye agar aap tyari kar rahi hai to coffee pina band kar de. Caffeine aapke garbhavati hone ki sambhavanao ko kam kar deta hai. Ya fir grabhapaat hone ki sambhavana badha deta hai.
Tanav Lene Se Bache
Jindgi mai har kisi ko kisi na kisi wajah se tanav jarur hota hai. Parantu yeh tanav aapke liye sahi nahi hota hai. Agar aap garbhavati mahila hai to aap koshish kare ki jyada se jyada khush rahe. Tanav lena, aapke sharir aur bacche ke liye bilkul bhi accha nahi hai. Aap chahe to meditation ka sahara bhi le sakti hai. Isse aap tanav ko to kam karegi hi sath mai sakaratmak urja apne andar mehsus karegi.
Garbhavati mahila ka swasth rehna bahut jaruri hai. Yeh isliye jaruri hai taki aap dimagi aur sharirik dono tarah se swasth rahe. Tanav ko apne aap se dur rakhne ke sath sath apne vajan par bhi dhyan de. Garbhdharan karne ke bad vajan aur sharir bahut badhta hai. Yadi aap iske pehle se hi moti hongi to aapko bahut problems hogi.
Faydemand Hai Kesar
Aapne aksar suna hoga ki garbhavati maa ko agar kesar khilaya jaye to baccha gora paida hota hai. Parantu doctor ki mani jaye to yeh such nahi hai. Kesar aapke liye kis tarah fayemand hai niche diya gaya hai.
- Garbhavati mahila ko aankho mai tanava mehsus hota hai. Kesar ka sevan karne se iss samasya se baccha ja skta hai.
- Garbhavati mahila ko pachan sambhandhi kai samasya hoti hai. Kyuki sharir mai rakt ka sanchar samanya avshtha mai nahi ho pata. Agar aap kesar ka sevan karenge to pet accha rahega.
- 5 mahine bad maa ko bacche ke ghumne ka ehsaas hone lagta hai. Kesar ka sevan karne se bacche ke ghumne ka ehsaas aur bhi acche se hota hai.
- Garbhavati mahila ko din mai kesar ke 4 reshe dudh mai milakar pina chahiye. Isse blood pressure santulit rehta hai.
Hari Bhari Sabjiyo Ka Sevan
Garbhavati mahila ko jayda se jyada hari sabjiyo ka sevan karna chahiye. Kyuki hari sabjiyo mai folic acid hota hai. Garbhavastha mai folet bahut jaruri tatva hai jo hari sabjiyo ke dwara sharir mai pahuchta hai.
Man Se Koi Dawai Na Le
Rojmara ki jindagi mai ham kai bar sar dard ya badan dard hone par kuch dawaiya lete hai. Kai dawiya aesi bhi hoti hai, jo aapke garabh par sidha asar karti hai. Yaha tak isse aapka garbhapaat bhi ho sakta hai.
Ya fir dobara garbhadharab karne mai mushkil bhi aa sakti hai. Isliye kabhi bhi bina doctor ke paramarsh ke dawai na le. Aur iske atirikt aap kisi bhi tarah ki dawai ka sevan kar rahe he to uske bare mai chikitsak se paramarsh kar le.
You may also like:- Pregnancy First Week in Hindi: Rakhe Khud ko Swasth
Garbhavastha Ke Douran Dhyan Rakhne
- Grabhavshta ke douran aapna acche se khyaal rakhe. Kyoki aap swasth rahenge tabhi aap ek swasth bacche ko janm de payengi. Pregnancy Care ke bare mai kitabe padhna bhi faydemand hai.
- Garbhavastha ke douran aapke chehre par dane ya muhase hone lagte hai. Iss wakt aap kisi bhi cream ka istemal naa kare. Aur dermatologist se sampark kare.
- Kai bar aapki twacha rukhi aur bejan ho jati hai. Iske liye acche moisturizer ka istemal kare. Isse aapki twcha khili rahegi aur aap fresh mehsus karenge.
- Makke ke aate mai shahad ko milaye. Fir iss mishran ko scrub ki tarah lagaye.
- Grabhavstha mai balo ke jhadne ki samsya bahut hoti hai. Agar aye samsya shuru ho jaye to aap apne balo ko katva lijiye taki ye samsya kam ho jaye.
Garbhavastha Ke Douran Pati Bhi Rakhe Apni Patni Ka Khayal
- Jab mahila garbhavati hoti hai. To usme bahut sare parivatan hote hai. Jaise kabhi khushi to kabhi chidchidahat. Aese dour mai pati unke sath rahe aur unhe khush rakhne mai madad kare.
- Patiyo ko garbhavati mahila ke routine chekup ka bhi dhayan rakha chahiye. Jaise unhe kab konsa injection lagna hai ya konsi dawai kab khilna hai.
- Kai bar garbhavati mahila ko aisa lagta hai ki wo acchi nahi dkih rahi hai. Aapko chahiye ki aap unhe duniya ki sabse khubsurat mahila hone ka ehsaas karvaye.
Video: Symptoms of Pregnancy and Test: जानिए प्रेगनेंसी के लक्षण व् घर बैठे जांचने का तरीका
Upar aapne jana Pregnancy Care in Hindi. Jo bhi koi mahilaye garbhdharan karne ka plan kar rahi hai wo upar di gayi bato ko khyal rakhe. Unke pariwar bhi mahila ka acche se dhyan rakhe taki mahila ek swasth bacche ko janm de sake.