Relationship Problems in Hindi: Rishto mai aane wali Samasyae
Hum sab ek dusre se kisi na kisi rishte mai bandhe hai. Jab aap kisi ke sath rishte mai hote to unke sath aapka accha aur bura dono samay gujarta hai. Rishta chahe koi bhi ho, chahe wo pati patni ka ho ya do pyar karne walo ka, har rishte mai samasyae to aati hi hai.
Rishte mai hamesha sukh bana rahe yeh jaruri nahi, kai bar rishto mai matbhed bhi hote hai. Kyoki jaha din hota hai waha raat bhi aati hai. Usi tarah rishte bhi hote hai. Lekin inn samasyao ko samajh kar inse nipatkar hi rishto mai aage bada ja sakta hai.
Rishte sirf kuch ghante ya fir dino ke liye nahi hote yeh to jindagi bhar ke liye aapke sathi ka sath nibhane ke liye hote hai. Sath nibhate samay aapke aur samne wale ke vicharo mai kai antar aayenge, lekin kai bar rishto ko nibhane ke liye samjhota karna padta hai. Tabhi rishte kamyab bante hai.
Kai bar yeh samjhota aapko karna padta hai aur kai baar aapke sathi ko. Agar dono mai se koi bhi jhukne ko taiyar nahi hai to isse kai pareshaniya aa sakti hai. Aaj hum aapko rishto mai aane wali samasyao ke bare mai batane ja rahe hai. Aaiye jante hai Relationship Problems in Hindi.
Relationship Problems in Hindi: Jane Rishto Ke Bich Pareshani
Sanvad Ki Kami
Bhale hi aapne iss baat par itna gaur naa kiya ho, lekin rishto mai samasyae aane ke piche ka ek karan sanvad ki kami arthat communication gap bhi hota hai. Aksar dekha gaya hai ki job karne wale couples ek dusre ko jyada samay nahi de pate. Din bhar wo kaam mai vyast hote hai aur raat ko thakne ke karan jaldi so jate hai.
Aese mai un dono ke bich ka bond strong nahi ban pata hai. Ham aapko bata de, jab do log ek dusre se baatchit karte hai, ek dusre ko wakt dete hai. Tabhi unke bich pyar badhta hai. Aur pyar ek rishte mai bahut jaruri hota hai. Nahi to aapka rishta keval naami kehlata hai.
You may also like:- Long Distance Relationship in Hindi: Dur Rehkar Bhi Pass Rahe
Ek Dusre mai Vishvas Ki Kami
Kisi bhi rishte ki neev vishvas aur bharose par tiki hoti hai. Yadi aap ya aapka sathi ek dusre ka bharosha todte hai to isse rishte mai pareshaniya badhne lag jati hai. Aur kai bar to aesa hota hai ki aapka sathi sahi hota hai iske bawjud bhi aap uss par vishvas nahi kar pate, jo kisi bhi rishte ke liye sahi nahi hai.
Isliye yadi aap kisi rishte ke liye gambhir hai to ek dusre par bharosa rakhna sikhe. Aapko dono ko hi ek dusre ke prati samparpit rehna padega. Ek bat hamesha yaad rakhe vishvas todne mai ek pal lagta hai lekin isse banane mai kai saal lag jate hai. Iske atirikt Relationship Issues se bachne ke liye apne sathi ka samman bhi kare.
Apne Sathi Ke Prati Jalan
Jalan har vyakti mai hoti hai lekin yeh kisi mai jyada hoti hai kisi mai kam hoti hai kintu iske beej sab mai hote hai. Yadi aapko aapke sathi ke prati hi yeh bhavna aane lag gayi hai to samjh jaye ki aapke rishte ki dor ab tutne mai der nahi lagegi.
Dekha gaya hai ki do logo mai ek sathi carrier ke uccha mukam par pahuch jata hai, wahi dusra kuch khas nahi kar pata hai. Aese mai kai bar vyakti mai jalan ke bhav aane lagte hai. Yeh jyadatar unn cases mai hota hai, jaha patni ki kamai pati se jyada hoti hai, to pati yeh bardast nahi kar pate hai.
Yadi aapko bhi apne sath yeh samasya dekhne ko mil rahi hai to Relationship Advice ke anusar apne uccha ode ka apne rishte par prabhav na padne de. Kyoki yeh rishte mai duri paida kar sakta hai.
Paisa Bhi Hai Duri Ki Wajah
Paisa ek aisi chij hai jo har rishto mai duri la sakta hai. Yeh thoda ajib jarur hai parantu jeevan ki mulbhut chije paise se puri hoti hai aur kai khushiya paise ke dwara hi milti hai. Paisa aapki puri jindgi nahi hota kintu bahut kuch hota hai.
Yadi aapke bich mai paiso ko lekar samasya aati hai to aap dono milkar raat mai kuch der baithe aur pure mahine ki kharche ki yojna bana le taaki aapko aur aapke sathi ko khracha karne tatha bachat karne ka tarika nikal sake. Jisse aapke bich mai paiso ko leke matbhed na ho. Ho bhi sakta hai ki aap dono ki ray alag ho lekin sath bethkar aap ek decision lekar aage bad sakte hai.
You may also like:- Healthy Relationships in Hindi: Jane Swasth Rishto ke Raaz
Anya Karan inhe Bhi Jane:-
- Kai mahilao par gharelu atyachar jaise kai purush mahilao par hath uthate hai tatha kai purush gali aadi ka istemal karke patni ko dukh pahuchate hai. Inn sabhi ke karan bhi rishte samanya nahi chal pate hai.
- Kai log apne partner ki mahatvapurn baato par bhi dhyan nahi dete jisse unke bich mai duriya aane lag jati hai. Good Relationship ke liye apne partner ke baato ko tavajjo de.
- Kai log buri aadto se jaise alcohol, bidi, drug aadi ka sevan karte hai jisse unke rishto mai duriya aa jati hai. Isliye inn sabhi se duri babanye rakhe.
- Kai couples mai yeh bhi dekha gaya hai ki wo apni jimmedari ko puri tarah nahi uthate jaise finance ya baccho ki taraf ban rahi jimmedariya nahi le pate. Aese mai rishto mai pareshaniya aana to tay hai.
Upar aapne jana Relationship Problems in Hindi. Yadi aap apne rishte ko jindagi bhar sanvar ke rakhna chahte hai to koshish kare ki uprokt samasyae aapke rishte mai naa aaye.