Home Remedies for Cracked Heels: Fati Aediyo Ke Liye Upay

 

Wo jamana gaya jab mahilaye keval apne chehre ki sundarta par dhyan deti thi. Aajkal mahilaye apne pairo ki khubsurti ko bhi bahut mahatva deti hai. Aur aesa ho bhi kyu naa aakhir khubsurat pair kise aakarshit nahi karte hai.

Lekin vyast jivansheli ke chalte aurte apne pairo par jyada dhyan nahi deti hai. Wo sirf apne chehre par hi dhyan nahi deti hai. Apne pairo ki dekhbhal naa kar pane ki wajah se ye rukhe hokar fatne lagne hai. Aur sabse jyada hamare pairo ke piche ka hisse fatne lagta hai.

Isliye aediyo ka phatna aesi samasya hai jisse adhik tar mahilaye pareshan rehti hai. Vaise to fati aediyo ki samasya kisi bhi mahila ko kisi bhi samay ho sakti hai. Lekin thand ke dino mai yeh samasya jyada hoti hai.

Fati aediyo ko heel fissures bhi kehte hai. Yeh ek ya dono pairo mai ho sakti hai. Kai bar to aediyo ke jyada fatne se pairo mai khun aana aur dard bhi hone lagta hai. Iske atiritk kai bar fati aediyo ki samasya sharmindagi ka karan bhi banti hai. Lekin aapko pareshan hone ki jarurat nahi hai kuch gharelu upcharo ki madad se isse nijat paya jaa skata hai. Aaiye jante hai Home Remedies for Cracked Heels.
 

Home Remedies for Cracked Heels: Fati Aediyo Ko Komal Banaye

 
Gharelu Nuskhe
 
Aediyo ke fatne ke kai karan hote hai. Aksar niyamit khanpan, vitamin e ki kami, calcium aur iron ki paryapt matra naa mil pane ke karab aediya fatne lagti hai. Iske atirikt aur bhi kai karan jaise uchi sandal ka istemal, pairo ki saaf safai na karna, sirf aediya hi nahi pure pair mai darar ka karan ban jata hai. Aaiye jante hai ise thik karne ke tarike.
 

Gungune Pani mai Pairo Ko Rakhe

Gungune pani mai pairo ko rakhne se naa keval aediya balki pure pair mulayam ho jaate hai. Iske istemal ke liye 1 balti gunguna pani le. Usme 2 chammach namak dale. Fir 10-15 minute pair dubokar baithe. Uske baad apne pairo ko reshe wale tawel se ponch le. Baad mai aediyo aur talvo par sarso ka tel lagaye. Iss prayog ko karne se kuch din mai aediya thik ho jati hai. Yeh ek asardari Treatment for Cracked Heels hai.
 

You may also like:- Home Remedies for Tanning: Twacha Ka Kalapan Dur Kare

 

Gunkari Nimbu

Nimbu ek bahut hi faydemand aushdhi hai. Yadi ham kahe ki nimbu ek aur gun anek to bhi galat nahi hoga. Yeh hame sehat ke kai labh deta hai. Yeh baat to ham sabhi jante hai. Lekin ham aapko batana chahte hai ki nimbu ki madad se aap apni aediyo ka bhi upchar kar sakti hai. Nimbu mai rukhi twacha ko komal karne ke gun chhupe hote hai. Jaha bhi aapki aediya fati hui hai waha sidhe nimbu ka ras lagaye.

Yadi aap aesa nahi karna chahte hai to garam pani mai nimbu dalkar usme bhi pair duba ke rakh sakte hai. Iske paschat pumice stone ke madad se apne pairo ko saaf kar le. Iss prayog ko apni aediyo ke thik hone tak kare.
 

Somya Sabun Ka Istemal

Ham sabhi ke sharir mai prakratik tel ki parate hoti hai. Jo hamare sharir ki twacha mai nami ko banaye rakhti hai. Lekin bahut garam pani mai nahane se aur harsh sabun ke istemal karne se twacha fatne lagti hai. Isliye aediyo ko fatne se bachane ke liye nahate wakt gungune pani ka istemal kare aur keval somya sabun ka hi prayog kare.
 
Home Remedies For Cracked Heels
 

Glycerin Bhi Faydemand

Ham sabhi ne kabhi na kabhi thandi ke dino mai glycerin ka prayog twacha ko fatne se bachane ke liye hoga. Yeh aapko fati aediyo se aaram dilane mai bhi madadgar hai.

Yeh twacha ko mulyam banata hai. Iska prayog karne ke liye glycerin mai gulab jal milaye. Gulab jal anti bacterial aur anti septic ka kaam karta hai. Isliye inn dono samgriyo ka mishran sone se pehle pairo mai lagaye aapko fayda milega.
 

You may also like:- Pedicure At Home in Hindi: Ghar Par Pairo ki Khubsurti Nikhare

 

Neem Ki Pattiya

Neem ki pattiyo mai fungicidal gun moujud hote hai. Inn guno ke chalte yeh phadi aediyo ke liye kaafi asardari sabit hoti hai. Iska istemal karne ke liye sabse pehle to neem ki pattiyo ka paste banaye. Fir isme haldi milakar fati aediyo par lagaye. 1 ghante tak rakhe fir garam paani se dho le. Iss upcahr se aapko Dry Cracked Heels se nijat mil jayegi.
 

Anya Upay Inhe Bhi Janiye:-

  1. Pairo ki sukhi twacha ko razor se katne ki koshish na kare. Isse aaspas ki twacha bhi nikal sakti hai. Aur saath hi twacha mai sankraman hone ka khatra bhi bana rehta hai.
  2. Aediyo ko komal aur saaf banaye rakhne ke liye anti-septic sabun ka istemal kare. Isse aapke pairo ki sukhi twacha ko aaram milega saath hi kitanu se bhi pairo ki raksha hogi.
  3. Raat mai sone se pehle pairo ko acchi tarah se saaf kar lijiye. Uske baad kacche ghee mai boric powder milakar fati hui aediyo ki dararo me bhar dijiye. Iske baad socks pehankar so jaiye. Aisa 3, 4 din lagatar karne se aapki fati hui aediya thik ho jayengi.

 
Upar aapne jana Home Remedies for Cracked Heels. Upar diye gaye upcharo ko apnane ke sath sath apne khane pine ka bhi khyal rakhe. Pratindin hari sabjiyo ka sevan kare. Nange pari ghas par chale aadi.

Loading...

You may also like...