Stammering Problem in Hindi – Haklane Ke Karan aur Upchar

Aapne dekha hoga bahut se log ruk ruk kar bolte hai, ya fir baat karte wakt unki aavaj nahi nikalti hai. Ise haklana kaha jaata hai. Waise to baccho mai yeh samasya bahut payi jati hai. Lekin koi bada vyakti bhi iss prakar se bolta hai to uski jindagi pareshani se bhar jati hai.

Yadi ham bilkul chhote baccho mai haklane ki baat kare to yeh koi bimari nahi hai.  Yehh sirf kuch poshtik tatvo ki kami ke karan hota hai. Jinhe kuch jadi butiyo ki madad se thik kiya jata hai. Baccho mai tutlana ya haklahat bahut jara si hoti hai, jo umra ke badhte hi thik ho jati hai. Lekin kisi vyakti ko yeh samasya lagatar bani hui ho aur ya fir yeh rog bahut purana ho to rogi ko bolne mai bahut samasya hoti hai.

Haklana ek neurological samasya hai. Jo mastishk ki vayaro se sambandhit hai. British stammering association ke report ki baat mane to iss samasya mai vyakti ke mashtishk ki vayring itni ghumavdar hoti hai ki use sandesh milne mai kaafi wakt lag jata hai. Mastishk to suchnaye der se pahuchata hai kintu mukh pehle karya karne lagta hai.

Kai bar yeh samasya anuvanshik rup se vyakti mai aati hai jaise kisi vyakti ke mata pita ya parivaar ka koi aur sadsya iss se pidit hai to uske aane wali pidhi mai bhi iss samasya ke aane sambhavna hoti hai. Iske artirikt koi vyakti kisi haklate huye vyakti ki nakal ko lagatar karta hai tab bhi yeh samasya ho jati hai. Aaiye vistar se jante hai Stammering Problem in Hindi.

Stammering Problem in Hindi: Haklana Kya hai aur Iske Lakshan

Stammering Problem in Hindi

Haklahat Kya Hai – Iske Lakshano Ko Jane

  • Jab kisi shabd ya vakya ko bolte samay pareshani  ya hichkichahat mehsus hoti hai ya fir ek hi shabd ka dobara bolna bhi haklahat ki pareshani hai.
  • Kai bar kuch bhi shabd ko bolne se pehle uhh jaisa shabd ka bar bar upyog kiya jaye to bhi yeh iska lakshan hai.
  • Baat karte samay aankhon ka teji se band hona aur bolte samay hontho mai kapkapahat hona bhi vyakti mai haklahat ke lakshan ko dikhata hai.
  • Kai bar bolte bolte ruk jana aur kai shabdo ki awaj hi nahi nikal pana, ya fir ya fir shabdo ko lambe samay tak khichna bhi Stammering Symptoms hai.
  • Jabdo ka hilana tatha pario ka jammen par thapthapana  yeh sabhi haklane wala vyakti karta hai.

 

You May Also Like:- Diagnosis Migraine in Hindi: Adhkapari Ko Kaise Pehchane

 

Stammering Causes: Haklane Ke Piche Ka Karan

  1. Haklane ki samasya se nijat pane ke liye sabse pehle uske karan ko janna bahut jaruri hai tabhi aap uska illaj puri tarah se kar payenge
  2. Haklahat tab paida hoti hai jab vyakti kisi se lambe samay tak ek hi bat par behas kare tab uska mansik dabav badta hai aur wah atkna shuru kar deta hai.
  3. Jab bahi koi samanya vyakti bat krta hai to wah puri line ko 15 se 20 second mai puri kar deta hai jabki haklahat se pidit vyakti 15 se 20 second mai puri line ko lagatar talmale bithane mai saksham nahi hota hai. Yahi uske haklane ki pareshani ka karan banta hai.
  4. Kabhi kabar tej dimag bhi haklahat ke piche ka karan bandta hai. Ek samanya vyakti ek samay mai ek hi bat ko sochta hai jabki haklahat se pidit vyakti ek samay mai kai bat sochta hai aur usse jaldi jaldi bolna chahta hai aur yahi uske halklane ka karan ban jata hai.
  5. Kai bar yah pareshani ka karan nadiyo mai dosh uttpan hona bhi hota hai.
  6. Jab vyakti ki peshiyo aur snayu par niyantaran nahi ho pata hai tab vyakti bolte samay shabdo ko puri tarah se nahi bol pata hai. Aur wo ruk ruk kar bolne lagta hai.
  7. Iss pareshani ke hone par vyakti ki jibh aur hotho ki gati jo ki bolte samay upyog hoti hai wo dhimi ho jati hai aur usme kafi kathnai hoti hai. Jisiwajah se vyakti tutlane lagta hai.

Stammering Treatment in Hindi

Haklahat Ko Dur Karne Ke Aayurvedik Illaj

 

Sir mai Malish

Bhrami tel ko halka sa gunguna kar le aur usse karib 30 se 40 minute tak sar mai malish kare isse aapki yaddasht shakti badegi aur tutlane ki samasya bhi dur hogi.

Amla Ka Sevan

Tutlane ki samasya ka ek karan poshtik aahar mai kami bhi hota hai isliye rojana ek amla ko acche se chaba kar khaye. Isse jubaan saaf ho jayegi aur mukh ki garmi khatam ho jati hai. Ya fir amle ke powder ko desi ghee ke sath milakar sevan karne se bhi yah samasya se nijat milta hai. Stammering Treatment ke liye yeh ek faydemand tarika hai.

Faydemand Badam

Vaise to badam roj khana chahiye kyuki iske bahut fayde hai. Lekin haklahat ki samasya mai bhi yeh faydemand hai. Iske prayog ke liye badam ko rat mai bhigo kar rakhe aur uske chhilke utar kar pees le. Ab use 30gm makhhan ke sath sevan karne se haklahat se nijat milti hai.

You May Also Like:- Congenital Heart Disease in Hindi – Hriday Sambandhi Rog

 

Surya Ki Kirne

Suraj ki taraf peeth karke bethe aur surya ki taraf darpan ko rakhe taki surya ki kirne sidhe aap par pahuche. Ab muh ko khole taki surya ki kirne pratibimb se aapke muh par jaye. Dhyan rakhe ki jibaan ko kada na kare usse puri tarah se dhila chhod de. Aur bar bar “kya ho” shabd ko bole iss ko karne se aapki jibaan saaf ho jayegi aur aap bilkul spasht bol payenge.

Anya Upchar Inhe Bhi Janiye:- 

  1. Gaay ka suddha ghee tutlane ki samasya ko dur karne mai sabse accha upay mana jata hai.
  2. 10 badam ke sath 10 kali mirch mishri ke sath pees le aur usko 10 dino tak sevan karne se aapko kaafi fayda milega.
  3. Rat mai sone se pehle chuvare ko khaye aur kam se kam 2 ghante tak pani na  piye kuch hi dino mai aapki aawaj saaf ho jayegi.
  4. Hara dhaniye ko amaltas ke gude ke sath pees kar acche se mila le aur 21 din tak use pani mai milakar usse kullha karne se haklahat samapat ho jayegi.
  5. Kuch kothmir ke beej aur Pam candy vallarai ke patto laga kar rakhe tatha usse chabane se bhi haklahat khatam ho jati hai ya fir vallarai ke patto ko dhup mai sukhakar uska powder bana kar uska rojana sevan bhi kar sakte hai.
  6. Saraswat churna 1 chammach aur ½ chammach shahad ko mila le aur isse bani hui chatni nashte ke sath sevan kar sakte hai. Isse tutlane ki samasya mai fayda milega.

Upar aapne jana Stammering Problem in Hindi. Yadi aapko iske koi bhi lakshan dikhai de rahe hai to shuruwat mai hi ise thik karne ki koshish kare. Iss samasya ko itni na badhne de ki yeh aapke jivan mai pareshani ka karan ban jaye.

Loading...

You may also like...