Symptoms of OCD: Dimagi Vaham Hone ke Lakshan
OCD (Obsessive Compulsive Disorder) ye ek chinta tatha vaham se bhara vichar hai. Jo ki bahut hi ajeeb hota hai. Kabhi bhi kuch gair jaruri vichar kisi vyakti ke dimag me aisi jagah bana leta hai ki, vah unhe chah kar bhi kabu nahi kar pata hai. Jiske karan aapka dimag ek hi baat ke bare me sochta rahega.
Iss bimari me marij ko tab tak chain nahi milta jab tak vah kisi bhi kaam ko pura na kar le. Tab ja kar uske mann ko shanti milti hai. Agar biological nazariye se dekhe to OCD ke karan vyati ke dimag ke bhitar serotonin namak liquid me gadbadi ho jati hai.
OCD ke sanket ko pahchanana bahut jaruri hai. Jisse aap aasani se iss problem se bach sakte hai. Agar aap bhi OCD ke shikar hai to chaliye hum aapko batate hai Symptoms of OCD. Taki aap jaldi hi iske lakshano ko pahchan lenge.
Symptoms of OCD: Obsessive Compulsive Disorder ke Lakshan
Bar Bar Hath Dhona
• Agar aap ko Obsessive Compulsive Disorder ki problem hai. To aap din me 10 bar hatho ko sabun se dhoyenge.
• Aapko chinta lagi rahegi ki kahi aapke hath gande to nahi hai ya phir unme kitanu to nahi hai.
You may also like: Brain Food Jo Bada De Aapke Dimag Ki Power
Jarurat se Jyada Safaai
• Saaf-Safai ke mamlo me bahut jyada sochna. Jese bar-bar nahana ya phir saaf-safai karte rahana.
• Bimar log saaf-safai ko sabse jyada mahatva dete hai.
Mann me Cheezo ko Lekar Shanka
• Kamra chodte vakt vaha ki light band kari hai ya nahi, kitchen me gas off kiya tha ki nahi, bahar ka darvaja band kiya tha ki nahi aadi shankao se mann ghiraa rahta hai.
• Iss bimari me laparavahi ki bhavna bar-bar aana aam baat hoti hai.
Cheezo ka Sahi Jagah Par Hona
• Aise log apni vastu ko hamesha sahi jagah par rakhne me vishvaas karte hai. Unhe ghar me ya office me koi bhi bikhri hui cheez pasand nahi aati hai.
• Inke gharo me koi bhi cheez bina salike se rakhi huye nahi milegi.
Cheezo ko Ginana
• Chalte samay sadak par bijli ke khambo ko count karna, chalte vakt har pedh ko touch karna, Rupee ko bar-bar ginana.
• Yaha tak ki asmaan ke pure taro ko asaani se ginane ki iccha rakhana.
Upar aapne jane Symptoms Of OCD. To jaldi iske lakshano ko pahchan kar iska ilaaj karva kar swasth rahe.
See more details of OCD from Diet and Fitness.