Jyada Television Dekhne se ho Sakti Hai Sehat Kharab

TV dekhna kise pasand nahi, lekin kya aap jante hai television aapke swasth ke liye khatarnak ho sakta hai. Lambe samay tak tv dekhte rehne se kai bimariya jese-diabetes, motapa aur heart rog ho sakte hai. Itna hi nahi tv ke shok aapke swasth jokhim paida kar sakta hai. Aaiye jante hai Television ka shok sehat ke liye kyu khatarnak hai.

Yadi aap bahut jyada television dekhte hai to aapke liye yeh jokhim bhari bhara sabit ho sakta hai. Ek research ke madhyam se yeh baat samne aayi hai. Australia anusandhankarta ke netratva mai ek antarashtriya team dwara kiye gaye adhyayan mai yeh baat samne aayi thi kit v dekhkar gujara gaya din ka har ghanta dil ki bimari se hone wali mout ka jokhim badha sakta hai.

Apne iss anusandhan mai team ne yeh bhi paya tha ki din mai 2 ghante se kam samay tak tv dekhne walo kit ulna mai 4 ghante se adhik samay tak tv dekhne walo ko dil ki bimari se mout ka khatra 80% tak adhik rehta tha.

Adhyayan ke anusar na kewal tv dekhne se balki wah sabhi kaam jinke lagatar baithe rehne se, swasth ke liye hanikarak ho sakte hai. Inme computer ke samne lagatar baithe rehna bhi shamil hai.

Darasal Australia shodhkarta ne apne iss adhyayan ke liye 8800 logo par shodh kiya tha. Inme 3846 purush aur 4954 mahilaye shamil thi. Sabhi pratibhagiyo ki aayu 25 se adhik thi aur inme se kisi ko bhi dil ki bimari nahi thi.

Television Side Effect

Shodhkarta ne pratibhagiyo ki television dekhne ki aadato ke aadhar par unhe 3 shreniyo mai baanta tha.  Inme 2 ghante se kam samay tak tv dekhne wale, 2 se 4 ghante tak tv dekhne wale aur 4 ghante se adhik tv dekhne wale logo ki shreniya banayi thi. Adhyayankartao ne paya ki agle 6 varsho ke douran inme se 284 pratibhagiyo ki mout ho gayi, jinme se 87 dil ki bimari se aur 125 ki cancer ke karan mout ho gayi thi.

You may also like:- Laptop Se Nikalne Wala Radiation Banata Hai Aapko Bimar

Kuch Aise Tathya Jinki Madad se Aap Jaan Sakte Hai Iske Bare Mai

  • Haal hi mai huye shodho se yeh khulasa huya hai ki lambe samay tak tv dekhne se heart rog aur diabetes jesi bimariya ho sakti hai. Yani 2 ghante se adhik Television jaha lagbhag 20 fisdi aapme diabtes wahi 15% heart rog hone ki sambhavna badha deta hai.
  • TV dekhne ke douran yadi aap bich-bich mai gap denge to aap diabetes aur heart rogo ke khatre se bach sakte hai.
  • Halaki tv dekhne mai koi samasya nahi hai, lekin jo log lagatar tv dekhne rehte hai wah sharirik roop se nischkriya rehte hai jisse unka motapa badhne ki sambhavna rehti hai. Aankho mai dard hona ya isse sambandhit bimariya hone ka khatra bana rehta hai.
  • Itna hi nahi lagatar tv dekhne se aapki mout ka khatra bhi badh jata hai. Darasal lagatar tv dekhte-dekhte yadi tv mai koi aisi ghatna ya scene aaye to aapko mansik roop se prabhavit kare to aapko heart attack aane ka khatra bhi badh jata hai jo ki mout ka karan ban sakta hai.
  • Sirf tv dekhna hi nahi balki lagatar computer par baithkar games khelna, internet par surfing karna ya aisa koi bhi karya jo aapki gatividhiyo ko nischkriya bana deta hai, wah aapke swasth ke liye hanikarak hota hai.
  • Dhyan rahe kabhi-kabhi lagatar tv dekhna nuksandayak nahi balki pratidin aisa karne se aapke swasth ko hani pahuchti hai.
  • Aakdo par gour kare to pratidin 2 ghante ya usse adhik tv dekhne se ek laakh mai se 38 logo ke dil ki bimari se marne aur 176 logo ko diabetes hone ka khatra badh jata hai.

Ab to aap samajh hi gaye hoge ki sharir ka gatishil rehna kitna jaruri hai itna hi nahi aapko dinbhar mai lagatar 2 ghante tak tv nahi dekhna chahiye. Saath hi aapko pratidin vyayam ko bhi apni dincharya mai shamil karna chahiye.

Get more about TV Side Effect from Diet And Fitness.

Loading...

You may also like...