Thumb Pain: Janiye Anguthe ke Dard ka Treatment aur Causes

Anguthe ka dard mashpeshiyo, jodo, haddiyo, naso, rakt vahikao, nakhoon, sanyoji utak ya twacha me chot ya nuksaan ke karan hota hai. Aaiye jane ki anguthe me dard aur kin karno se hota hai aur iske ilaj ke kya-kya upay hai.

Thumb Pain ek aam samasya hai. Ye kisi bhi vyakti ko ho sakta hai. Yah dard tej, chubne wala ya  spadanasil hota hai. Aur to aur kuch logo ko dard ke saath jalan bhi mahsoos hoti hai.

Ye dard halka ya tej ho sakta hai aur anguthe ke hilane par stithti bahut kharab ya usme sudhar bhi ho sakta hai. Iss dard se kisi bhi umra ka vyakti pareshan ho sakta hai. Aaiye jante hai Thumb Pain Causes, aur jante hai iske karano ke bare me.

Thumb Pain Causes:  Janiye Anguthe me Dard ka Karan

Anguthe me dard kai karano se ho sakta hai. Isme chot, infection, neuromuscular samasyae, anguthe me rakt pravah ki kami se hone wali bimari, rogo ke karan chhot aadi shamil hai.

You may also like: Home Remedies for Neck Pain: Gardan ka Dard Dur Bhagaiye

Paridhiya neuropathy aur diabetes ke karan bhi anguthe me dard, jalan aur jhunjhunahat hone lagti hai. Aaiye jante hai iske aur adhik karan:

1. Ghav ke Karan

Anguthe me ya tantrikao me chhot ke karan anguthe me dard hone lagta hai. Isme bahut sari baate shamil hoti hai.

  • Kide ke dank ya katne ki vajah se chhot lagna.
  • Anguthe par burns.
  • Haddiyo ka tutna.
  • Anguthe ka ati prayog ke karan chot.
  • Moch ya khichav.
  • Tendon ka tutna.
2. Sujan ke Karan

Thumb me dard arthritis ya infection ke karan aane wali sujan se hota hai. Dard ek ya dono anguthe ya thode se hisse me anubhav ho sakta hai. Iska dard inn karao me shamil hai.

  • Osteoarthritis
  • Rheumatoid arthritis
  • Gout arthritis
  • Rashes
  • Cellulite
  • Phoda
3. Neuromuscular Karan

Kai prakar ke muscular aur nervous ki samasyao ke karan  sabhi anguthe me dard ho sakta hai. Isme nimnalikhit karan shamil hai.

  • Masthishk ka lakwa
  • Carpal Tunnel Syndrome
  • Dermatomyositis
4. Anya Karan

Anguthe me dard purani bimariyo ke karan bhi ho sakta hai, isme nimnalikhit karan shamil hote hai. Jese:

  • Ghatak ya saumya tumor
  • paridhiya dhamni rog
  • Blood clot
  • Rakt vahika ki sujan
  • Diabetes
  • Kshanik Ischaemic attack
  • Kamjori, jhunjuni ya anguthe sahit haath mein sunnata stroke ke sanket ho sakta hai. Agar aise lakshan utpanna hote hai to turant chikitsak ki sahayta li jani chahiye.

Thumb Pain Treatment and Causes

Thumb Pain Treatment: Janiye Anguthe ka Dard Dur Karne ke Upchar

Agar aap anguthe me dard se pidit hai toh aapka doctor aapko vibhinn prakar ke upchar lene ki sifarish karega, isme se hum aapko kuch batane ja rahe hai. Jiski madad se aap ghar par hi iss dard se aaram paa sakte hai. Aaiye jante hai Thumb Pain Treatment.

  • Khud ki dekhbhal kare
  • Gatividhi ka sanshodhan
  • Physical therapy
  • Medicine ka upyog kare
  • Splint

Aaiye ab inn treatment ko ek ek karke jante hai aur ghar par hi iska ilaj karte hai:

1. Splint se Upchar

Halaki prarambhik awstha me surgical treatment ki avashyakta nahi hoti hai. Lekin agar anguthe mai dard advance stage par hai, to aapko surgery ki salah bhi di ja sakti hai. Doctor anguthe ke jod ko support dene ke liye splint (ek prakar ki patti) ki salah bhi de sakta hai. Yeh aapke

  • Thumb Pain ke level ko ghatane me madad karta hai.
  • Jodo ko aaram dene me madad karta hai.
  • Anguthe ko uchit istathan pradhan karne me madad karti hai.
  • Yeh aapke anguthe me dard ki gambhirta par nirbhar karta hai ki aapko rahat pane ke liye patti bandhne ki jarurat hai ya nahi. Aur ye patti din bhar ya kewal raat ke douran hi bandhani hai.
2. Drugs Dwara Dard ka Ilaj

Doctor dwara nirdharit drugs se bhi anguthe me dard ka ilaj kiya ja sakta hai. Isse aapko kuch had tak aaram mil sakta hai.

  • NSAID ya Non-Steroidal Anti-Inflammatory Dawaye dard se rahat pradaan karne aur prabhavit bhaag me sujan ko kam karne me madad karti hai.
  • Acetaminophen ek dawa hai jo kam side effect ke sath dard se rahat pradaan karta hai.
  • Prescription pain killer ki madad se bhi aap iss dard se chutkara paa sakte hai.
3. Surgery Dwara Dard ka Ilaj

Agar non surgical treatment se anguthe me dard dur nahi hota hai, to aapka doctor surgery karwane ki salah di jati hai. Aapko kis tarah ki surgery ki jarurat hai yeh aapke vikaar par nirbhar karta hai. Wese aamtour par nimnn prakaar ki surgery ki sifarish ki ja sakti hai.

  • Osteotomy
  • Arthrodesis or joint fusion
  • Arthroplasty or joint replacement
  • Trapeziectomy
4. Khud ki Dekhbhaal Kare

Aap khud ki dekhbhaal karni bahut jaruri hoti hai. Jese anguthe ki exercise thanda ya garam pani se sikai aadi jese upchar ka upyog karna hoga. Lekin kisi bhi tarah ki exercise ya anya upayo ko karne se pahle apne doctor ki salah lena bahut jaruri hai. Sahi dekhbhaal se aap anguthe me dard se rahat paa sakege aur swasth reh sakege.

Dekhiye Thumb Pain se Chutkara Pane ke Liye Video

Upar aapne jane Thumb Pain ke Symptoms, Causes aur iske Treatment. To bas der kis baat ki aaj se iske karano ko pahchan kar iska ilaj kijiye aur iss bimari se hamesha ke liye dur rahiye.

Thumb Pain se sambhandhit adhik jankari ke liye dekhiye Diet and Fitness.

Loading...

You may also like...