Useful Home Remedies in Hindi: Rogo Ko Dur Rakhe

Hamara sharir panch tatvo ke milne se bana hai. Inn tatvo mai yadi thoda bhi asantulan aa jata hai to yeh hamare swasth par prabhav dalta hai. Hamara sharir kabhi bhi aswasth ho sakta hai. Jaise ki aapne aksar dekha hoga ki raat tak to aap thik rehte hai aur jab agle din subah uthte hai to aapka gala kharab rehta hai. Ya fir aapne ek din baahar khana kya kha liya aapko digestion ki problem ho gayi.

Wahi kabhi kabhi to aesa hota hai ki log swasth hone ke liye jim jate hai lekin akdi hui gardan ke sath wapis aate hai. Arthat rojmara ki jindagi mai hame chhoti moti samasyao se do char to hona hi padhta hai. To kya har din dard se chhutkara pane ke liye ham doctor ke paas chakkar lagate rahenge.

Yeh to mumkin nahi ho sakta hai. Iska jawab chupa hai prakrati ke paas. Prakrati ne dharti par insan ko swasth jindagi dene ke liye kai aushdhiya mukammal karai hai. Yadi insane inn aushdhiyo ka prayog karta hai to wo hamesha swasth rahega.

Yeh aushdhiya sharir ko khatarnak bimariyo se ladne mai madad karti hai. To aaiye jante hai kuch Useful Home Remedies in Hindi jinka upyog karke aap swasth jindagi jee sakte hai.
 

Useful Home Remedies in Hindi: Swasth Sharir Ke Liye Jaruri

 
Useful Home Remedies in Hindi
 
Prakratik aushdhiyo mai wo naam aate hai jinke guno ko ungaliyo par ginaya nahi ja sakta hai. Hamari rojmara ki jatil ho chuki jindagi ko sahi karne ke liye inme chhipe fayde behad jaruri hai. Inn aushdhiyo se sharir nirogi banta hai. Inse budhapa koso dur rehta hai. Yeh baccho se lekar bado sabhi ko fayda deti hai.

Yeh aapke kitchen mai aasani se mil jati hai. Inse kisi tarah ke side effects ka khatra nahi rehta hai. Aaiye jante hai kuch Beneficial Home Remedies in Hindi, jinme hamari acchi sehat ka khajana chhupa ha hai.
 

Guno Ki Khan Adrak

Aap sabhi ne adrak ki chai kabhi na kabhi to jarur pee hogi. Aapko iski chai pasand bhi aai hogi. Ham aapko batana chahte hai ki adark mai aapko swasth rakhne ki jabarjast shakti hoti hai. Yadi aapko pachan se judi koi samasye hai to samjh lijiye ki aapko uski aushdhi mil gayi hai. Adrak ka ras lene se pet mai gas, apach aadi pareshaniyo se nijat milta hai. Sath hi yadi aapko pet mai kide ho gaye ho to wo bhi adrak se theek ho jate hai. Iske atrikt

  • Cough aur sardi ko kam karta hai aur jodo ke dard mai labhdayak hai.
  • Khali pet iska do chammach ras pine se khoon saaf hota hai.
  • Yeh rakt mai sharkara ki matra ko kam karta hai aur insulin ki matra badhata hai.

 

Aayurvedik Chikitsa Ka Mahatvapurn Ang Shahad

Sadiyo se hi shahad ka istemal mahatvapurn aushdhi ke roop mai ho raha hai. Yeh aayurved chikitsa ka ek mahatvpurn anga hai. Yadi ham prachin misr ki baat kare to ise twacha aur aankho ki bimariyo mai istemal kiya jata tha. Darahsal ise jalne ke daago par bhi prakratik bandage ke roop mai lagaya jata tha.

Yadi shahad ko gungune pani mai milakar piya jaye to uska khoon mai laal rakt koshikao ki sankhya par labhdayak asar padta hai.  Shahad sharir par alag alag tarah se asar dalta hai. Yeh iss baat par nirbhar karta hai ki aap iska sevan kis prakar se kar rahe hai. Aaiye jane desi nuskhe mai iska prayog.

  • Niyamit shahad ka seban karne se sharir mai tajgi aur sfurti aati hai.
  • Gungune pani ke sath shahad lene par sharir ki atirikt charbi ghatti hai.
  • Shahad ko adrak ke ras ke sath lene se sardi jukham mai aaram milta hai.

 

You may also like:- Health Benefits of Honey: Behtar Swasth ke Liye Shahad

 

Chehre Par Chamak Laye Jeera

Aamtour par jeere ka istemal vyanjano mai takda dene ke liye kiya jata hai. Lekin kya aap jante hai ki swad badhane ke sath sath yeh kai aur guno se bhi bharpur hai. Yeh hamari sundarta ko badhane mai bhiupyogi hai. Iske liye pani mai jeera ubal le aur chhan le. Fir iss pani se chehra saad karne se chehre par chamak aati hai. Yaha jane aur bhi kai jeera benefits.

  • Dahi mai bhuna hua jeera aur kala namak milakar khane se diarrhea mai fayda hota hai.
  • Acidity se turant raahat pane ke liye ek chutki kaccha jeera khane se fayda milta hai.
  • Jeere ka niyamit istemal sharir ki shodhan ki prakirya ko tej karta hai. Motapa kam karne ke alawa jeera kai bimariyo mai bhi labhdayak hai.

 

Lehusn- Khoon mai Platelets Badhaye

Lehsun mai vitamin a, b aur c paye jate hai. Iska bhi aayurvedic aushdhi mai bahut mahatva hai. Yeh kai sari gambhir bimariyo ko dur karne mai madad karta hai. Yadi aap durbalta aur napusankta ka shikar hai to aapko niyamit roop se lehsun jarur khana chahiye.

  • Rakt mai platelet ki kami ko dur karne ke liye lehsun aur namak ko barabar matra mai sevan kare.
  • Roj subah khali pet lehsun ki do kali chhilkar paani ke sath nigal lene se uccha raktchaap kabu hota hai.
  • Lehsun mai antibiotic gun hote hai. Isliye phode hone par lehusn ko peeskar uski patti bandhane se phode meet jate hai.

 
Beneficial Home Remedies in Hindi
 

Loung – Swasth Ko Durust Rakhe

Loung mai aapke swasth ko durust rakhne ke kai gun hote hai. Loung mai hone wala ek khas tarah ka swad isme hone wale tatva eugenol ki wajah se hota hai. Yahi tatva isme khas tarah ki gandh paida karta hai. Loung ki tasir garm hoti hai iss karan ise bahut savdhani se istemal karna chahiye.

  • Masudo mai sujan hone par ya daant dard hone par loung ke tel ko rui mai bhigokar masudo par lagaye. Jald hi masude thik ho jayenge.
  • Loung ke tel ko kisi jahrile kide ke katne par, twacha par kat lag jane par, ghav aur phangal infection par bhi istemal kar sakte hai.
  • Loung ke upyog se ulti aane ki samasya, jee ghabrana aur morning sickness mai aaram milta hai. Loung ko imali, thodi si shakkar ke sath pani ke sath pina chahiye.

 

Kai Rogo Ki Ek Dawa Dalchini

Hamare desh mai sadiyo se dalchini aur shahad ke mishran ka istemal hote chala aa raha hai. Hakeem aur vedya to ise lakh dawao ki ek dawa batate hai. Dalchini chamatkari aushdhiya guno se bharpur hai. Isme protein, fat, carbohydrate, phosphorus, loha aadi.

  • Dalchini se pachan tantra behtar hota hai. Yadi pet ka koi rog hua ho ya infection hua ho to dalchini ki chai ka sevan karna chahiye.
  • Sinus ke karan yadi sirdard ho raha ho to ek chouthai chammach dalchini ko paani mai milakar paste banakar sar mai lagaye.
  • Isse acne ka upchar bhi kiya ja sakta hai. Gulab jal ke sath dalchini milakar 10 minute tak lagaye aur dir dhi le. Isme moujud anti microbial tatva bacteria ko marne mai madad karte hai.

 

You May Also Like:- Foods with Medicinal Properties Se Rakhe Sehat Ka Khayal

 

Hing – Khusbu aur Sehat Se Bharpur

Hing sounf ki prajati ka ek iran mul ka poudha hai. Iska istemal aksar daal aur sabji banane mai kiya jata hai. Hing na keval khane ki khusbu badhati hai balki uska swad bhi badha deti hai. lekin kya aap jante hai swad aur khusbu badhane ke alawa bhi hing ke fayde aur bhi hai.

  • Hing prakratik roop se balgam ko dur kar chhati se congestion ko theek karta hai. Yeh shaktishali swashan uttejak hai.
  • Hing mai antioxidant aur dard nivarak tatva moujud hote hai. Iske sevan se periods, daan, migraine aadi ka dard theek kiya ja sakta hai.
  • Hing mai uccha matra mai anti inflammatory tatva hote hai jiski wajah se ise skin care utpado mai milaya jata hai.

 

Haldi

Haldi ka prayog ham bhojan mai karte hai. Prachin samay se hi ise subh kamo ke liye prayog mai laya ja raha hai. lekin kya aap jante hai haldi mai chhipe inn guno ke bare mai jo aapki sehat ke liye kitne labhdayak hai.

  • Yadi sardi aur jukham se naak band hai to haldi, shahad aur kaali mirch ko milakar sevan kare.
  • Haldi ke prayog karne se vajan ko niyantrit kiya ja sakta hai. Haldi sharir mai jama fats ko kam karti hai. Sath hi isme moujud gun aapke vajan ko ghatate hai.
  • Haldi wala dudh pine se aapki haddiya majboot hoti hai. Sath hi isme moujud antioxidant aapko haddiyo mai hone wali samasyao se bhi bachate hai.
  • Aata, kaccha dudh, tamatar ka juice aur haldi ko ek sath milaye aur iska paste bana le. Ab ise chehre par lagakar kuch der sukhne ke liye chhod de aur baad mai pani se chehra dho le.

 
Upar aapne jana Useful Home Remedies in Hindi. Yeh aushdhiya aapki sehat ke liye bahut faydemand hai. Isliye apne aahar mai inka samavesh jarur kare.
 

Loading...

You may also like...