Yoga for Obesity in Hindi: Motape Se Paye Nijad
Aniymit aur anuchit khanpan ke chalte motapa aajkal ke logo ki aam samasya ban chuka hai. Motape ko kam karne ke liye log kai prakar ke tariko ko apnate hai jaise vyayam jana, dieting karna aadi. Lekin kya aap jante hai ki khane ki matra ko kam karne se hamara motapa ghatne ki bajay aur bhi badh jata hai.
Darahsal jab ham apni full diet ke hisab se khana nahi khate hai to uss samay hamare sharir mai khane ke sthan par pani bharta jata hai. Jisse hamara motapa na keval adhik badhta hai balki hamare sharir mai kamjori bhi aa jati hai. Isliye motape ko kam karne ke liye khane ko kam karne ki bajay kisi dusare tarike ko apnana chahiye.
Yoga ke dwara motape ko kam karne mai aasani hoti hai. Ise karne ke liye hame na hi gym jane ki jarurat hoti hai aur na hi apne aahar ki matra ko kam karne ki. Yoga se na keval ham apne motape par niyantran rakh sakte hai balki isse ham aneko prakar ki bimariyo se bhi dur reh sakte hai. To aaiye padhe Yoga for Obesity in Hindi aur rakhe apne aap ko fit aur swasth.
Yoga for Obesity in Hindi: Inn Aasano Se Kam Kare Motapa
Dhanurasana
Jab bhi koi vyakti adhik motape se grast hota hai to sabse jyada charbi pet, jaangh aur kamar ki badhti hai. Aese mai dhanurasana bahut hi faydemand hota hai. Ise nimn tarah se kiya jata hai.
- Sabse pehle jamin par chatai bichakar pet ke bal let jaye.
- Uske bad apne dono hatho ko piche karne ki koshi kare.
- Ab apne dono pairo ko bhi halka upar uthaye aur haatho se pakadne ki koshis kare.
- Iss tarah jitna ho sake utna apne hatho ko piche ki or aur pairo ko bhi adhik piche ki or karne ki koshis kare.
- Iss avastha mai ½ se 1 minute tak rehne ki koshis kare fir apni pehle ki avastha mai aa jaye.
- Aesa karne se sabse jyada asar pet par padta hai. Aur pet ki charbi kam ho jati hai.
Pashchimottasana
Iss aasan ko karne se sabse jyada davab aapke pet par padta hai jisse pet ki badhi hui charbi ko kam kiya ja sakta hai. Iss aasan ko karne se peeth ke dard aur hipps ke motape ko bhi kam kiya ja sakta hai. Yadi aapka pet aage ki or bahut adhik nikal raha hai to rojana ise apni dincharya mai shamil kare. Ise nimn prakar se kiya jata hai.
- Ise karne ke liye jamin par chatai bichakar baith jaye.
- Fir apne pairo ko failakar apne dono hatho aur sar ko upar ki taraf rakhe.
- Fir ek lambi saans lekar dhire-dhire apne haatho aur sar ko niche tak iss parakar se laye ki aapka sar ghutne se aur dono haath aapke pairo ki ungaliyo se sat jaye.
- Iss tarah apne sar ko apne ghutno se satane ka prayas kare.
- Iss avastha mai 10 se 20 second rahe aur saans ko roke.
- Fir dhire-dhire apni saans ko bahar nikalte huye pehle ki stithi mai aa jaye.
You may also like:- Yoga for Acne in Hindi: Abhyas Se Paye Dag Rahit Twacha
Titali Aasan (Butterfly)
Iss aasan ko karne se sabse jyada asar hamare pet aur jaangh par padta hai. Isliye apni dincharya mai ise jarur shamil kare aur rahe fit. Ise nimn prakar se kiya jata hai.
- Sabse pehle jamin par iss prakar se baithe ki pair ke dono panje ek dusare se sate ho.
- Ab apne dono pairo ko titali ke pankh ki tarah upar niche karne ki koshis kare.
- Iss tarah 3 se 5 minute tak karne se hipps, pair thai ki charbi kam ki ja sakti hai.
Bhujangasana
Iss aasan ko karte samay sharir ki sthiti sarp ki tarah ho jati hai isliye ise bhujangasana kaha jata hai. Ise kobra pose bhi kaha jata hai. Ise karne se kamar ke dard aur hipps ko kam kiya ja sakta hai. Iske alava ise karne se hamare sine aur pet ki maspeshiyo mai khinchav aata hai.
- Iss aasan ko karne ke liye jamin par pet ke bal let jaye.
- Ab apne dono hatho ke sahare, kamar se sharir ke upari bhag ko upar ki or uthaye.
- Hatheli khuli aur jamin par faili hona chahiye.
- Ab apne sharir ke kisi bhi bhag ko bina hilaye chehre ko bhi upar ki or uthaye. Ab kuch samay ke liye isi kam se kam 10 second tak isi sthiti mai rahe.
- Fir apni pehle ki sthiti mai aa jaye.
Yoga for Obesity in Hindi: Anya Aasan Inhe Bhi Padhe
- Yadi aap apne motape ko jald hi kam karna chahte hai to camel pose ka sahara le. Ise karne ke liye sabse pehle ghutne ke bal khade ho jaye. Fir apne sar ko piche iss parakar kare ki aapka baaya haath baye pair par aur seedha haath piche ki taraf seedha rahe.
- Pet aur jaangh ka fat kam karne ke liye Kundalini Yoga ko apnaye. Ise karne ke liye jamin par baithkar apne dono pairo aur haatho ko upar ki thoda uthakar 1 minute tak rehne ki koshis kare.
- Motape ko kam karne ke liye tree pose bhi faydemand hota hai. Ise karne se motapa kam hota hai aur man ko shanti bhi milti hai.
Upar aapne jana Yoga for Obesity in Hindi. Yadi aap bhi apne motape se pareshan hai to upar diye gaye yogasano ko apnaye aur sharir ki badhi hui charbi ko kam kare aur rahe fit.