Zumba Dance for Weight Loss – Vajan Ghatane mai Madadgar
Aajkal ki jeevansheli ke chalte swasth par bahut bura asar padhne laga hai. Isi karanvash log apne swasthya ko banaye rakhne ke liye vyayam ko apni jindagi ka hissa banane lage hai. Khud ko swasth aur fit rakhne ke liye adhiktar log gym ya yoga karna shuru kar dete hai.
Lekin kuch hi dino mai subah uthne ke chakkar mai ya bore hone ki wajah se ise karna chhod dete hai. Jo log apna vajan ghatana chahte hai lekin unhe yadi yog karna ya gym jana bore lagta hai ham unhe batana chahte hai ki we dance karke bhi apana vajan kam kar sakte hai. Zumba dance aesi takneek hai jiske jariye aap kisi bhi wakt, ghar par hi apna vajan aasani se kam kar sakte hai.
Yeh ek tarah ka dance hai to ise karne mai na to aapko boriyat hogi aur na hi subh uthne ke liye masshkat karni padegi. Iske alawa aap ise pariwar, dosto ke sath moj masti karte huye bhi kar sakte hai.
Zumba dance mai iss tarah ke moves hote hai jinko karne se aap aasani se vajan ko kam kar sakte hai, tatha aakarshak figure pa sakte hai. Aaiye jante hai Zumba Dance for Weight Loss, taki ise jankar aap bhi enjoy karte karte apna vajan ghata sake.
Zumba Dance for Weight Loss: Sharir Ka Motapa Kam Kare
Motapa ghatane ke liye zumba dance se behatar kuch bhi nahi hai. Dance har kisi ko karna pasand hota hai tatha dance karte huye har vyakti enjoy karta hai. Lekin dance karte karte yadi aapke sharir par jami hui atirikat charbi bhi kam ho jaye to yeh aapke liye ek par ek free offer milne wali khusi se kam nahi hoga.
Agar hum zumba ko samanya bol chal mai samjhe to yeh aerobics dance aur aerobics se milkar bana hai. Kai Bollywood celebrity bhi apne aapko fit banaye rakhne ke liye gym se jyada zumba dance ka sahara lete hai. Yeh ek prakar ka letin dance hai tatha iss dance ko karte samay letin gano ko bajaya jata hai. Vajan ghatane ki chahat rakhne wale log zumba workout bahut shouk se karte hai.
You may also like:- Aerobics in Hindi: Sharirik Fitness Pane Ka Behtarin Tarika
Iss dance ko karne ke liye kisi trainer ki jarurat nahi padhti hai sirf jute aur gane ki aavshyakta hoti hai. Aap ek bar iski video aur karne ke tarike ko internet par dekh le, aap ise khud hi sikh jayenge. Isme pairo ke vyayam par jyada jor diya jata hai. Isliye jise apne pair patle karne ho wo ise jarur kara kare. Ise karne ka koi nischit samay nahi hai aap apni shamta anusar aadhe ghante se lekar do dhai ghante iski practice kar sakte hai.
Zumba Dance Ko Kyo Chune?
Atirikt Calorie Ghataye
Zumba dance karne mai karib 500 se 800 tak calorie burn hoti hai kyoki iske moves calorie ghatane mai bahut sahayta karte hai. Isme kai tarah ke moves shamil hote hai jaise jumping, sitting aadi. Yeh sabhi moves speed mai hote hai, jisko karne se aapko pasina aata hai aur aap adhik calorie jala pate hai.
Dance Karte Samay Gehri Saans Le
Jaisa ki aapko bataya gaya hai ki yeh dance aerobics ke andar aata hai. Isliye jab aap iss dance ko karte hai to kudna(Jump) aur jor jor se chalna padta hai. Jab aap kudte aur chalte hai tab aapko gehari gehari saan leni padti hai. Jisse fefde majboot tatha swasth hote hai aur inme bimari hone ki sambhavna kam ho jati hai aur hamara mood bhi fresh bana rehta hai.
Swasth Banaye Rakhe
Sharir se charbi hatane tatha swasth ko banaye rakhne ke liye Zumba Dance ek accha program hai. Kyuki Iss dance ko karte samay sharir ke har bhag par jor padta hai. Jisse sharir ka har hissa tone ho jata hai tatha zumba ko roj karne se aap bahut jaldi patle aur fit ho jate hai. Isse aapka figure perfect ho jayega jaisa aap Bollywood heroines ki tarah chahti hai. Zumba for Weight Loss sabhi ke liye faydemand hai.
Rakt Sanchar Badhta Hai
Zumba dance karne se sharir mai rakt sanchaar badta hai aur pachan tantra bhi sudharta hai jisse khana acche se pach jata hai. Iske alawa isse manspeshiya bhi lachili banti hai.
Anukulit
Zumba dance aapke sharir ke liye anukulit hota hai. Kuch logo ko keval sharir ke kuch hisso ki charbi jalana hoti hai jaise ki pet, thigh aadi. We log nahi chahte hai ki unka chehra aadi dubla ho. Aese mai yadi aap samanya dance ka sahara lete hai to sharir ke har hisse ki charbi ghatne lagti hai. Isliye log kehte hai ki aap gym ki madad se hi aesa kar sakte hai. Lekin aesa nahi hai zumba dance ki madad se aap sharir ke particular hisse ki charbi bhi ghata sakte hai.
Sath hi ise anukulit khene ka ek aur karan ise karne mai hone wali aasani hai. Anya nach jaise ki salsa aadi ki tarah yeh jyada kathin nahi hota hai.
You may also like:- Acupressure in Hindi: Janiye Suidaab Chikitsa Ke Adbhut labh
Sharir Lachila Banaye
Yeh ek aisa dance format hai jisko karne se hamara sharir santulit aur lachila banta hai. Isi wajah se hamare kandhe tatha hips aasani se move kar pate hai.
Upar aapne jana Zumba Dance for Weight Loss in Hindi. Zumba dance karne ka sabse jyada maja tab aayega jab isse aap akele nahi balki kai logo ke samuh ke sath kare. Isliye kabhi bhi akele personal trainer ke sath iski class na le.
- Yeh ek prakar ka vyayam hai yadi aapke sharir mai moch ya dard hai to isse shuru karne se pehle doctor ka paramarsh jarur le.
- Agar aap apna vajan ghatane ke liye ise karna chah rahe hai to kam se kam 40 minute ka dance jarur kare. Yadi aap ise kam samay karenge to yeh sirf warm up hi kehlayega.