Home Remedies for Stone – Janiye Pathri Ka Ilaj in Hindi

Pathri ki samasya bhi jaise aajkal aam hi ho gayi hai. Iske piche ka mukhya karan hai hamari khan pan ki galat aadate. Yeh rog bahut hi pidaday hota hai. Iss rog mai rogi ko achanak se dard hota hai. Kabhi kabhi to yeh dard bardash ke bahar ho jata hai aur rogiyo ko ultiya hone lagti hai.

Yadi ham gurde ki pathri ki baat kare to yeh ek aesi stithi hai jisme gurde ke andar chhote chhote patthar saman kathor vastu banne lagti hai. Yeh stithi 30 se 60 varsh ke aayu ke vyaktiyo mai dekhne ko milti hai. Dekha gaya hai ki yeh pareshani striyo ke apexa purusho mai char guna jyada payi jati hai. Yadi ham baccho aur vridhho ki baat kare to unme mutrashya ki pathri jyada banati hai.

Jab kisi bhi karanvash se mutra sandh gadha ho jata hai to pathri nirmit hone lagti hai. Iss padhart mai chhote chhote dano ka nirman hone lagta hai, jo baad mai pathri ka roop le lete hai. Iske hone ka aapko tab pata chalta hai jab yeh mutra marg mai badhne lagte hai aur dard hone lagta hai. Isme kaafi tej dard hota hai aur pesab jane mai bhi dikkat hoti hai.

Kuch pathri ka aakar ret ke dano ki tarah chhota hota hai. Yeh chhoti moti pathri mutra ke jariye bahar nikal jati hai wahi kuch pathri ka aakar bahut bada hota hai wo mura ke dwara bahar nahi nikal pati hai aur peshab ke bahar aane mai bhi badha dalti hai. Kabhi kabar iski peeda bardast ke bahar ho jati hai. Isse bachne ke liye janiye Home Remedies for Stone in Hindi.
 

Home Remedies for Stone in Hindi: Pathri Ka Gharelu Ilaj

 
Pathri Ka Ilaj in Hindi
 
Pathri hone par peeth ke nichle hisse mai aur pet ke nichle bhag mai achanak bahut tej dard hota hai. Yeh dard kuch minto ya ghanto tak bana rehta hai. Dard ke sath isme jee machlane aur ulti ki bhi sikayat rehti hai. Aaiye jante hai iske upchar ke tarike:-
 

You may also like:- Home Remedies for Stomach Pain (Pet Dard) in Hindi

 

Bharpur Pani Piye

Jarurat se kam pani pine par bhi pathri ka nirman hone lagta hai. Isliye iss samasya se bachne ke liye bharpur matra mai pani pina chahiye. Aur garmiyo ke dino mai to dhai leter pani jarur pina chahiye, Peshab ka rang yadi peela hai to samjh jaiye ki aapke sharir mai pani ki matra kam hai.
 

Khub Kele Khaye

Jin logo ko pathri ki samasya hai unhe khub kele khana chahiye. Darahsal kele mai bharpur matra mi Vitamin B-6 moujud hota hai jo oxalate crystals ko banne se  rokta hai aur oxalic amla ko vikhandit kar deta hai.
 

Gunkari Amla

Yadi aapko jankari naa ho to ham aapko batana chahte hai ki amla pathri mai bahut fayda karta hai. Amla ka churn muli ke sath khane se mutrashya ki pathri nikal jati hai. Iska prayog iss tarah kare:-

Jire aur chini ko saman matra mai peeskar ek ek chammach thande pani se roj teen bar le. Isse pathri nikal jati hai.
 

Nariyal Ka Pani

Nariyal ka pani bhi pathri ki samasya se nijat dilane mai madad karta hai. Isliye jab bhi aapko pathari ho jaye kuch dino tak niyamit nariyal ka pani pijiye.
 

Karele aur Gajar

Khane mai karele ka swad bhale hi kadwa hota hai. Lekin yeh kai tarah ke guno se bharpur hai. Pathri ki samasya mai bhi yeh ramban illaj se kam nahi hai. Darahsal karele mai pathri naa banne wale tatva magnesium tatha phosphorus hote hai aur wah gathiya tatha madhumeh rog nashak hai.

Iske atirikt gajar mai pyrophosphate aur padap amla paye jate hai. Jo Pathri banne ki prakriya ko rokte hai. Gajar mai paya jane wala carotene padharth mutra sansthan ki aantarik diwaro ko tutne phutne se bachata hai.
 
Home Remedies for Pathri
 

Angur aur Jamun

Angur mai sodium chloride ki matra bahut kam hoti hai. Isliye kisi ko yadi kidni mai stone ho gaya hai to angur ka niyamit sevan kare. Angur mai potassium namak aur pani bhi bharpur matra mai hote hai isliye angur ko prakratik mutravardhak ke roop mai bhi karya karta hai. Iske atirikt pake huwa jamun pathri se nijat dilane mai bahut mahatvapurn bhumika nibhata hai. Pathri hone par paka hua jamun khana chahiye.
 

Guno Se Bharpur Pyaj

Pyaj mai gurde ki pathri ke liye aushdhiya gun paye jate hai. Iska paryog karke aap kidni stone se nijat paa sakte hai. Lagbhag 7o gram pyaj le. Fir uss pyaj ko peeskar uska ras nikal le. Subah sham khali pet uss ras ka sevan kare. Isse pathri ke chhote chhote tukde hokar wo nikal jati hai.
 

You may also like:- Home Remedies for Stomach Bug: Pet Ke Kide Dur Kare

 

Nimbu Ka ras

Yadi aap pathri ki samasya se chhutkara pane ke liye prabhavi upcharo ko talash rahe hai to nimbu ka ras isme aapki madad kar sakta hai. Sabse pehle nimbu ke ras mai jaitun ka tel milaye. Aapko dono mishran 60 mili leter lena hai. Jab bhi aapko pathri ka dard ho tab iss mishran ka sevan karle aapko aaram milega.  Nimbu ka ras aur jaitun ka tel aapke pure swasthya ke liye accha hota hai.
 

Muli

Ek muli ko khokla kar le. Fir usme bees bees gram gajar aur shalgam ke beej bhar de. Fir muli ko garam karke bhurte ki tarah bhun le. Uske bad muli se beej nikal kar seel par pees le. Subah panch  gram pani ke sath ek mah tak peete rahe pathri mai labh hoga.
 
Home Remedies for Stone
 

Anya Upay Inhe Bhi Jane:-

  1. 15 dane badi illachi k eek chammach, kharbuje ke beej ki giri aur do chammach mishri, ek cup pani mai milakar subah sham do bar pine se pathri nikal jati hai.
  2. Paka hua jamun pathri se nikat dilane mai bahut mahatvpurn bhumika nibhta hai. Pathri hone par paka hua jamun khana chahiye.
  3. Tulsi ke beej ka himjeera nikalkar danedar shakkar va dudh ke sath lene se mutra pind mai phasi pathri nikal jati hai.
  4. Jire ko mishri ki chasni athva shahad ke sath lene se pathri ghulkar peshab ke sath nikal jati hai.
  5. Shahajan ki sabji khane se gurde ki pathri tutkar bahar nikal jati hai. Aam ke patte ko chhav mai sukhakar bahut barik pees le aur aanth gram roj pani ke sath lijiye fayda hoga.
  6. Mishri, sonf, sukha dhaniya lekar 50-50 gram matra mai lekar dedh liter pani mai raat ko bhigokar rakh de. Agli sham ko inko pani se chhankar pees lijiye aur pani mai dalkar ek ghol bana lijiye. Iss ghol ko pijiye pathri nikal jayegi.

 
Upar aapne jana Pathri Ka Ilaj in Hindi. Jin logo ko madhumeh ki bimari rehti hai unhe gurde ki bimari hone ki sambhavana kaafi had tak badh jati hai. Yadi kisi marij ko uccha raktchaap ki bimari hai to use niyamit dava se uccha raktchaap ko niyantran karne par dhayan dena chahiye. Kyoki yadi raktchaap badhta hai to gurde bhi kharab ho sakte hai.

Loading...

You may also like...