Causes of Kidney Failure in Hindi: Rahe inn Karano se Satark

Swasth kidney hamare sharir ke vikas ke liye aavshyak hoti hai. Bhale hi hamari kidney (gurde) chhote hote ho, par hamari sehat ko banaye rakhne mai yeh ek mahatvpurn bhumika nibhate hai, iske sath hi hamare rakt mai se apshisht aur taral padarth bhi nikal dete hai. Iske alawa bhi gurde ki kuch pramukh bhumika hoti hai.

Yeh sharir se bekar (waste) padarth ko nikal dete hai aur sharir mai khanij ya electrolytes aur taral padarth ke star ko niyamit karti hai. Gurde hormones ka bhi nirman karte hai, jo sharir ke anya karyo ko niyantrit karte hai, jaise ki- raktchaap ko niyantrit karna aur laal rakt koshikayo ko utpann karna aadi.

Har din hamare sharir mai dono gurde 1 se 2 liters urine ka nirman karne ke liye lagbhag 110 se 120 litres rakt ko filter karte hai, jisme waste aur atirikt taral padarth bhi shamil hote hai. Gurde bahut hi mahatvapurn hote hai, kyunki yeh rakt ka sanchar aur stability ko banaye rakhte he, jo ki hamare sharir ko karya karne ke liye jaruri hota hai.

Gurde ki ek gambhir bimari gurde ko puri tarah fail kar sakti hai, isliye aesi sthiti mai dialysis upchar ki jarurat hoti hai, aur kuch serious cases mai mareej ko jinda rakhne ke liye gurde ka pratyaropan bhi karna pad jata hai. Aaiye jante hai Causes of Kidney Failure in Hindi.

Causes of Kidney Failure in Hindi: Gurde Kharab hone ke Mukhya Karan

Causes of Kidney Failure in Hindi

Kidney problems in hindi agar jane to yeh mukhya roop se tab hota hai, jab kuch halat aur paristhiti ki wajah se gurde mai dabav padne lagta hai. Aaiye jante hai gurde failure ke kya karan ho sakte hai.

Uccha Raktchaap – Blood Pressure

 Uccha raktchaap pratyek naadi ke sath dhamaniyo mai utpanna hone wale dil ke dabav (pressure) ka maap hota hai. Jyada dabav aapke sharir ke ango ko nuksaan pahucha sakta hai, iske sath hi hriday-rog, stroke ya kidney ke karya mai rukawat ka karan bhi ho sakta hai. 90% cases mai uccha raktchaap ke karan agyat hote hai. Vyakti ka swasth, bhojan aur jivan-sheli iske karak ho sakte hai.

Waise uchha raktchaap ke kuch jokhim karak ho sakte hai jaise ki:

  • Umra
  • Motapa
  • Dhoomrpan
  • Vyayam na karna
  • High-fat wala khana
  • Atyadhik sharab ka sevan karna
  • Uccharaktchaap ka parivar mai itihas
  • Aahar mai adhik matra mai namak lena
  • Tanav, aadi

Uccha Raktchaap gurde mai chhoti rakt koshikayo mai dabav dal kar use kshati pahucha sakta hai aur gurde ki filtering-process ke karya mai bhadha dalta hai.

You may also like:- Kidney Stones Treatment in Hindi: Pathari Ki Samasya Ka Ilaj

 

Madhumeh – Diabetes

Madhumeh ek aesi bimari hoti hai, jisme sharir ya to insulin nahi utpanna karta ya fir bilkul thoda sa insulin utpanna karta hai, ise Type 1 Diabetes kehte hai aur yadi sharir insulin ka upyog bhi karne mai asamrth ho jata hai to use Type 2 Diabetes kehte hai. Insulin ki jarurat rakt mai glucose ke star ko niyantrit karne ke liye hoti hai, aur bhojan karne ke bad iss star ke bahut upar jaane aur bhojan karte samay star ke bahut kam hone ko rokne mai insulin upyogi hota hai.

Agar madhumeh ko thik se niyantrit na kiya jaye, to yeh rakt mai jarurat se kayi jyada glucose nirman kar sakta hai. Glucose ki adhik matra gurde ke chhote filters ko kharab kar sakti hai, jo gurde ke apshisht aur taral padartho ko filter karke bahar karne ki kshamta ko bahut prabhavit kar dete hai.

Yeh anuman lagaya gaya hai ki 20 se 40% log jinhe Type-1 Diabetes hoti hai, unme gurde ki bimari 50 saal ki umra se pehle ho jati hai. Type-2 Diabetes wale lagbhag 30% log mai gurde ke damage hone ke lakshan dikhai dene lagta hai. Madhumeh ke rogiyo mai urine mai protein ka star kam hona gurde ke bigadne ka sanket ho sakta hai. Isliye ho sakta hai aapke doctor aapko annual urine-test karane ko kahe, taki agar aapke gurde mai koi samasya ho to jald se jald iska pata lagaya ja sake.

Har madhumeh se pidit vyakti ko saal mai ek bar gurde check jarur hona chahiye. Madhumeh ki bimari ke chalte gurde failure ka jaldi pata chal jana mahatvpurn hota hai, kyunki isse vyakti mai hone wali risk, jaise ki-aankho ki samasya aur sexual-dysfunction ki pehchan ki ja sake.

You May Also Like:- Kidney Failure Symptoms: Gurda Kharab Hone Ke Lakshan

 

Kidney Failure Causes – Anya Karan Inhe Bhi Janiye

Upar diye pramukh karano ke alawa bhi anya Reasons for Kidney Failure hote hai, par yeh jyada prabhavi nahi hote hai.

  1. Gurde mai Soojan (Glomerulonephritis)
  2. Gurde mai sankraman (Pyelonephritis)
  3. Anuvanshik karan, jisme alsar ke mass ke badne se dono gurde ka aakar samanya se jyada bada ho jata hai, ise angreji mai Polycystic Gurde Disease kehte hain.
  4. Garbh (Womb) mai ajanme shishu ke vikas ke dauran gurde ke samanya vikas mai failure hona.
  5. Immune system ki dasha, jab sharir videshi uttako (Foreign Tissues) ki tarah gurde par attack karne lagta hai. (Systemic Lupus Erythematosus)
  6. Niyamit ya lambe samay tak lithium aur Non Steroidal Anti-inflammatory Drugs (NSAIDs) jaise dawao ka sevan karna. Udaharan ke liye- Aspirin aur Ibuprofen.
  7. Gurde Stones ya Prostate ki bimari ke karan Blockage hona.
  8. Poisons aur Trauma gurdo ko seedhe aur ugrata ke sath aghaat pahuchate hain, jisse gurde ki samasya ho sakti hai.

Upar aapne jana Causes of Kidney Failure in Hindi. Ham ummed karte hai ki agar aap gurde mai hone wali samasyao aur bimaari se bachna chahte hai, to niyam se check-up karate rahenge aur diye gaye karano par gaur karenge.

Loading...

You may also like...