Summer Drinks in Hindi – Sharir Ko Shitalta Pradan Kare

Garmi ka mausam aa gayah hai aur dhire-dhire taapmaan badne laga hai aur usi ke sath bimaria bhi bad rahi hai. Iss season mai vatavaran ka taapmaan badne se bimario ka sttar bhi badne lagta hai. Isliye accha yahi hai ki hum pahle se hi iske bachav ka prabandh kar le aur khud ko bimario aur tej dhup se bachne ke upay shuru kar de.

Garmi ke mausam ka sabse adhik asar yah hota hai ki humare sharir mai pani ki kami hone lagti hai. Hum bahut mehnat karte hai. Itni ki apne khane pine par bhi dhyan nahi dete hai. Yahi wajah se ki aksar garmi ke mausam mai dehydration ka shikar ho jate hai. Iss season mai diarrhea, ulti-dast, kabj, Lu tatha adhik pasina jaisi samasyaye bani rahti hai.

Inn sabhi rogo se bachne ke liye hume shital pay aur healthy diet dono lena hi bahut jaruri hai. Iske alawa garmiyo mai hume lehsun aadi sharir ko garmi pradan karne wale aahar se bachna chahiye. Garmiyo mai aap swasth rahe iske liye hum aaj aapko Summer Drinks in Hindi, ki jankari de rahe hai. Jo aapke sharir ke liye kafi faydemand sabit honge.

 

Summer Drinks in Hindi: Garmi Se Rahat Dilaye

 

Summer Drinks in Hindi

 

Ayurved ke anusar, garmi se manushya ka bal kam hone lagta hai evam iska anubhav pratyaksh roop se bhi kiya ja sakta hai. Iss mausam mai adhik pasina nikalne se electrolytes ki kami ho jati hai. Sharir mail u, sunstroke lagne ka bhay bana rahta hai. Isliye garmi mai halke, jaldi pachne wale khadya padarth aur shital pay ka adhik sevan karna chahiye. Dudh, mishri, sattu evam shital pay bahut labhprad hota hai.

Iss ritu mai bhojan ke prati ruche kam rahti hai. Isliye sharbat aur phalli se banana wale pane ka prayog hitkari hota hai. Ayurved mai iss prakar ke shital pay ko panak bhi kaha jata hai. Jo aushdhiya guno ke sath-sath garmi mai hone wali jalan, lu, bhuk aadi ko dur kar sharir mai energy banaye rakhte hai. Aaiye jante Cool Drinks jo tapti garmi aur rogo se aapko rahat dilate hai.

 

You May Also Like:- Summer Tips in Hindi – Aapko Rakhe Thanda aur Cool

 

Adhik Pani Piye

Tapti garmi se bachne ke liye sabse accha aur sabse behtar upay yahi hai ki aap adhik se adhik pani piye. Iss mausam mai pasian adhik aane ki wajah se sharir mai pani ki kami hone lagti hai, isliye pani ka sevan bahut jayada kare. Yah aapko dehydration, diarrhea aur sharir ke taapmaan ko samanya banaye rakhne mai madad karta hai. Yah sabse accha shital pay hai, jo garmi se aapko bachaye rakhta hai.

 

Sattu

Aaj ke samay mai bahut kam log honge jo iska sevan karte hai, shayad bahut se log to ise jante bhi nahi honge. Koi baat nahi hum aapko bata dete hai. Yah ek desi pay padarth hai, jo chane ko bhunkar banaya jata hai aur isme adhik matra mai fiber, carbohydrate, Vitamin B, Vitamin C hota hai. Jo sharir mai nayi urja ka sanchar karta hai aur sharir mai ho rahi pani ki kami ko bhi dur karta hai. Iske jankaro ka kahna hai ki, yah aapko diabetes se bhi bachata hai. Isliye garmi mai piye jane wale pay padarthi mai yah bahut khas sthan rakhta hai.

 

Chach

Inn dino garmi dur karne ke liye chach se behtar kuch bhi nahi hai, iske guno ka jikr ayurved mai bhi kiya gaya hai. Dahi aur pani ki santulit matra se tyyar chach garmi ke lihaj se behtrin pay hai. Kuch logo ko mithi chach pasand hoti hai to kuch ise kala namak, pudina, jeera powder aur chat masala dalkar pina pasand aata hai. Aap ise apni icchanusar alag-alag tarah se bana sakte hai.

Chach ka sevan aap har season mai kar sakte agar yah aapko suit kre to. Yah bhuk badati hai aur pachan shakti thik karti hai. Yah sharir ko hriday ko bal pradam karti hai. Yah cough rog, vayu vikrati aadi ke liye hitkari hota hai. Iske sevan se sharir mai atirikt charbi jama nahi hoti hai tatha twacha chamakdar, komal aur saaf hoti hai. Ayurved ke anusar din mai do baar chach ka sevan swasthya ke liye ati-gunkari sabit hota hai.

 

Nimbu Pani Ya Shikanji

Jab baat garmi se rahat ki ho aur nimbu pani ka naam na aaye aisa to sambhav hi nahi hai. Garmi ko harane ke liye yah bhi ek bahut accha vikalp hai, kyoki yah aapko kabj, pathari aur danto ki samasya se bhi nijat dilate hai. Yah ywacha ko tarotaja karne ke sath-sath liver ki samasya tatah badte vajan ki samasya ko bhi yah nimbu pani inhe control kar sakta hai.

Iske alawa lemonade jise hindi mai nimbu shikanji ke naam se jana jata hai. Yah ek bahut prasiddh aur thandak pahunchane wala pay padarth hai. Garmi ki tapti dopahar mai nimbu shikanji shitalta pradan karti hai aur iske sath hi sharir ko urja bhi pradan karta hai. Yah swadisht aur swasthya vardhak hai.

 

Aam Ka Pana

Kacche aam ko pani mai ubalkar, masalkar uski ghuthli nikal lete hai. Ab isme doguni matra mai sugar, pani tatah thodi matra mai kali mirch aur jeera pine se yah tatkal bal evam bhojan mai ruche badata hai. Isme avashayaktanusar sendha namak bhi mila sakte hai. Yah garmi mai dehydration ke sath-sarh tej garm asahniya hawa jise lu kaha jata hai. Isse bhi hume bachata hai. Diarrhea, anemia aadi ki shikayat lekar hone par doctor bhi iske sevan ki salah dete hai aur anti-oxidant se bharpur hone ke karan aapko cancer jaisi bhayanak bimari se bhi bachata hai.

Summer Drinks Benefits

 

Shahtut Ki Shikanji

Garmiyo ke mausan mai shahtut ke phal bhi bajar mai kafi matra mai dikhai dete hai. Patalkot ke aadivasio ke anusar iska ras pine se sharir mai thandak bani rahti hai sath hi yah aankho ki jyoti badane mai bhi sahayak hote hai. Unke anusar shahtut ke ras mai cini milakar pine ki salah dete hai. Garmi ke season mai iska shrabat bahut hi faydemand sait hota hai. Yah dimag aur sharir ki chust-durast rakhta hai. Shahtut ka ras hriday rogiyo ke liye bhi kafi labhdayak hai. Jin logo ko adhik pyas lagne ki shikayat ho unke liye yah amrit ke saman hai.

Shahtut mai Vitamin A, calcium, phosphorus aur potassium jaise poshak tatv paye jate hai. Iske sevan se baccho ko na keval paryapt poshan prapt hota hai. Aisa mana jata hai ki shatut ka sevan rakt vikaro ko nasht kar rakt shidhan karta hai.

 

You May Also Like:- Mulberries Benefits: Shahtoot se Nikhare Apni Twacha

 

Tarbuj Ka Juice

Tarbuj garmi ke mausan mai bajar bahut adhik paya jata hai. Iska karan yahi hai kyoki yah khaskar garmi ka hi phal hai. Isme 92% pani hota hai aur isme vitamin A aur Vitamin C prachur matra mai hota hai. Tarbuj se banaya gaya yah pay tapti dopahar mai shitalta pradan karta hai aur sabhi ko bahut pasand aata hai. Isse aap ghar par bhi aasani se bana sakte hai.

 

Milk Shake  

Calcium aur urja se bharpur dudh ka koi javab nahi hai. Dudh pine adhiktar logo ko pasans nahi hota hai, lekin agar gunkari pay padarth hone ki baat ho to yah sabse avval aur saral uplabdh hone wale pay padartho mai se ek hai. Ise aap kisi bhi samay pee sakte hai aur sath hi iske sath bahut sare prayog karte huye kisi bhi phal ke sath shake banakar bhi aap pee sakte hai. Bajar mai mango shake, banana shake aura lag-alag tarah ke shake mojud hai. Yah Summer Drinks for Kids ke liye bahut hi accha hai.

 

Thandai

Yah uttar bharat ka ek prasiddh pay padarth hai. Ise kai prakar ke masalo, gulab ki pattiyo aur badam piskar dudh mai dalkar holi ke avsar par bhi banaya jata hai. Yah sharir ko thandak pahunchata hai aur garmi ki tej hawao se suraksha bhi karta hai.

 

Aloe Vera

Aloe Vera humare liye kitna faydemand hota hai yah to aap sabhi jante hai, lekin aapko bata de yah garmi ke mausam mai aur bhi gunkari sabit hota hai. Yah twacha ke lalpan aur khujli ko khatm karne ke sath hi aloe vera ka juice skin sambandhi anya samasyayo jaise ki psoriasis aadi kai rogo mai aushadhi ki tarah karya karta hai. Yah rakt ki shudhi, pachan kriya, arthritis mai kargar aur sharirik shamta ko badane ke sath hi iske angina labh hai. Niyamit ssop se iske 1 glass juice ka sevan karne se sharir swasth rahta hai.

Aaj aapne jana Summer Drinks in Hindi, kyoki ab garmi ka mausam shuru ho chukka hai aur abhi se log tapti garmise pareshan hai, isliye iss baar garmi se dare nahi balki uska mukabla kare. Apne niyamit aahar ke sath ya baad mai kuch na kuch shital pay padarth ka jarur sevan kare. Yah aapke sharir mai pani ki kami hone se rokega sath hi lu ke prakop se bhi aapko bachayega.

Loading...

You may also like...