Singhara Benefits in Hindi: Water Chestnut Ke Fayde Janiye
Mosami Phal hame kai tarah ki bimariyo se bachane mai madadgar hote hai. Vaise hi sardiyo ke dino ka ek khas phal hai jo aapke liye bahut faydemand hota hai. Yeh pani mai paya jata hai aur kaafi poshtik tatvo aur vitamin se bharpur hota hai. Trikon aakar ka yeh phal swasth ke liye accha mana gaya hai.
Hame lagta hai ki aap ab tak samjh hi gaye honge. Ham baat kar rahe hai, aap sabke pasandida phal singhare ki. September aur October ke mahine mai aane wala iss phal ko kaccha aur pakka dono rup mai istemal kiya jata hai.
Thand ke din banane ke rehte hai, aur iss phal bhi thand ke dino mai bajar ki ronak badhata hai. Aapne bhale hi iske swad ko dekhte huye ise khana shuru kiya hoga, lekin iski sehat ke itne fayde hai jiski aapne kalpana bhi nahi kari hogi.
Iska sevan sharir ko shakti pradan karta hai. Jo log ise acchi matra mai khate hai unme khoon ki kami nahi hoti hai. gale aur tonsils ke rog mai bhi iska upyog labhdayak hai. Iss phal ko angreji mai Water Chestnut ke naam se jana jata hai. Aaiye iske faydo ko vistar se jaane ke liye padhiye Singhara Benefits in Hindi.
Singhara Benefits in Hindi: Sehat Ke Liye Faydemand Phal
Singhare ke faydo ko janne se pehle behtar hoga ki pehle ham iss phal ke bare mai kuch jankari prapt kar le. Yeh talabo mai ugaya jata hai. Iski bel mai hi singhare lagte hai, jo pani ke andar moujud hote hai. Iska vanaspati naam trapa natras hai.
Yeh kale aur hare rang mai bajar mai milta hai. Iska aata bhi bajar mai milta hai. Iska aata banane ke liye sabse pehle iske beejo ko sukhaya jata hai. Singhare ke aate ko ham phalahar ke roop mai sevan karte hai. Aap shayad nahi jante honge lekin singhare se saag sabji, barfi, halwa jaise misthan bhi bante hai. Garbhavati mahilao ke liye bhi iska sevan bahut labhprad hai. To aaiye jante hai Water Chestnut in Hindi aur iske bemisal fayde.
Sehat Ke Liye Faydemand
Singhare sehat ke liye bahut acche hote hai, iske piche ka karan hai isme moujud poshak tatva. Singhare mai kai poshak tatva jaise ki vitamin a, citric acid, phosphorus, protein, nicotinic acid, vitamin c, manganese, thiamin, carbohydrate moujud hote hai. Yeh sabhi tatva sharir ko swasth rakhne mai madad karte hai.
Gale ki Pareshaniyo Se Nijat
Singahre gale ki kai samasyao mai raahat pahuchata hai. Isme antioxidant gun hote hai jo gale ka baith jana, gale ki kharash, tonsils aadi se nijat dilane mai madad karte hai. Iske phal ke sevan karne se jyada yadi aap Water Chestnut Flour ko dudh mai milakar sevan kare to aapko gale ki samasyao se jald nijat milti hai.
Garbhavati Ke Liye
Garbhavati mahilao ko dudh ke saath Singhare khana chahiye. Khastour par jinka grabh 7 mahine se upar ho. Unke Liye yeh bahut laabhkari hota hai. Ise khane se leucorrhea namak bimari bhi theek ho jati hai.
Iske atirikt jin mahilao ko grabh garbhkal pura hone se pahle hi gir jata hai, unhe bhi khub singahre khana chahiye. Usse bhruṇ ko poshan milta hai aur maa ki sehat bhi acchi rahti hai. Isske sevan se garbh paat nahi hota.
You may also like:- Sweet Potato in Hindi: Swasthya Guno Se Bharpur Shakarkand
Urja Ka Uccha Strot
Singahra sharir ko urja deta hai. Isliye ise vrat aur upwas ke khane mai bhi alag alag tarah se shamil kiya jata hai. Isme iodine bhi moujud hota hai jo gale sambandhi rogo se rakhsha karta hai. Thyroid granthi ko sucharu roop se karya karne ke liye bhi yeh prerit karta hai.
Phati Aediyo Se Chutkara
Aapko shayad iss bare mai jankari naa ho lekin Aediya phatne ki sikayat sharir me manganese ki kami ke karan hoti hai. Water Chestnuts ek aisa phal hai jisme poshak tatav me magnesium absorb karne ki capacity hoti hai. Isliye iss phal ko khane ke baad aediya phatne ki sikayat nahi hoti hai. Saath hi Water Chestnuts ke sevan se sharir me rakt ki kami bhi puri hoti hai.
Khujli Ki Samasya Se Rahat
Garmi ke dino mai kai logo ko khaj khujli ki samasya hoti hai. Sukhe singhare ko ghiskar usme nimbu milakar rojana daad wali jagah par lagane se khujli se rahat milti hai. Ise lagate wakt kuch seconds ke liye jalan hoti hai kintu baad mai thandak milti hai.
Baalo Ko Majboot Banaye
Singhare ke sevan se naa keval swasth ko fayde milte hai balki sondarya fayde bhi milte hai. Aapke baalo ke liye singhare ka sevan labhdayak hota hai. Isme moujud tatva baalo ko kharab hone se rokte hai. Ise khane se baalo mai majbuti aati hai aur unhe sahi prakar se poshan bhi milta hai.
Anidra Ki Samasya Dur Kare
Singhare mai polyphenolic aur flavonoid antioxidant paye jate hai. Iske alawa yeh antibacterial aur anticancer ke guno se bhi bharpur hota hai. Jo log iska sevan karte hai unhe nind na aana yane ki anidra ki samasya se chutkara milta hai.
Detoxification Guno Se Bharpur
Singhara Fruit mai detoxification ke gun hote hai, iss karan se yeh piliya se grast logo ke liye kafi faydemand mana jata hai. Piliya ke marij ise kaccha ya juice banakar le sakte hai. Isse sharir ke sate jahrile padharth bahar nikal jate hai.
You may also like:- Kiwi Fruit Benefits in Hindi: Janiye iss Phal Ke Behtarin Fayde
Pani Ki Kami Puri Kare
Thand ke dino mai log pani kam pite hai, jisse unhe dehydration ki samasya ho jati hai. Sardiyo mai dehydration ko dur karne mai singhara kaafi labhdayak hai. Isse dast ki samasya bhi dur hoti hai. Yeh sharir ke liye behtarin coolant ka kaam karta hai.
Twacha Ke Liye Faydemand
Aapne sehat aur baalo ke liye to singhare ke bahut sare fayde dekh liye hai. Ham aapko bata de ki yeh aapki twacha ke liye bhi kai tarah se faydemand hai. Darahsal singhare aapke sharir se vishele padhartho ko hata dete hai jisse aapko damakti hui twacha milti hai. Yaha tak ki singhare ki madad se aap muhanso aadi ka upchar bhi kar sakte hai. Isliye Singhara Benefits for skin ko najar andaaj nahi kiya ja sakta hai.
Water Chestnut Benefits in Hindi: Anya Fayde Inhe Bhi Jane
- Vajan ghatane ki chahat rakhne walo ke liye bhi singhara ek behtarin phal hai. Isme poshak tatvo ki to paryapt matra hoti hai kintu calorie behad kam hoti hai.
- Isme calcium ki bharpur matra payi jati hai. Isliye iska sevan karne se haddiya aur dant dono hi majboot hote hai. Yeh shararik kamjori ko dur karta hai.
- Singhare ka sevan rakt sambandhi samasyao ko dur karta hai. Iske atirikt mutra sambandhi rogo ke upchar ke liye singhare ka prayog bahut faydemand hai.
- Yeh ek aushadhi ki tarah bhi kaam karta hai. Isse sharir mai aane wali sujan aur dard dono mai raahat milti hai. Sharir mai sujan aane par singhare ke chhilke ko peeskar lagane se aaram milta hai.
- Yadi aapki twacha par swelling aa gayi hai to waha singhare se bana paste lagaye. Isse aapko rahat milegi aur sujan bhi kam hogi.
- Singhare hi nahi unke beej bhi faydemand hai. Iski beej ke bane powder mai aap nimbu ka ras milaye aur use prabhavit hisso par lagaye. Isse aapko khujli ki samasya se rahat milegi.
Singhare mai bahut sare poshak tatva moujud hai. Yaha janiye ki 100 gm singhare mai kya kya moujud hota hai:-
Poshak Tatva | Matra |
---|---|
Water | 48.2g |
Energy | 730 |
Potassium | 468 mg |
Carbohydrates | 32.1 g |
Iron | 0.7 mg |
Calcium | 17.6 mg |
Upar aapne jana Singhara Benefits in Hindi. Iss phal ka sevan sharir ke liye kai tarah se faydemand hai. Isse pachan kriya thik rehti hai. Bhukh ko badhane ke liye bhi yeh asardari phal hai. Yadi aap bhi uprokt labh chahte hai to iska sevan jarur kare.