Massage Oils: Malish Tel ke Dwara Apaiye Aaram
Aaj kal ki busy life mai log thakan aur neend na aane ke karan pareshan rahte hai. Aise mai unhe apni thakan ko mitane ke liye malish karne ki jarurat hoti hai. Saath hi ise telmalish ke dwara vah apni skin ko bhi sundar bana saktehai.
Par dekha gaya hai ki, logo ko samjh nahi aata hai ki, vah kis oil se apne sharir ki malish kare. To chlaiye aaj hum aapko batate hai, kuch Massage oils. Jisse aap apne body ki malish kar sakte hai.
Vese jab bhi hume thakan ka ahsaas hota hai, jab jo hamre dimag mai baat aati hai, tel malish ki. Ek acche tel se malish karne se aapki sharir ki thakan sara dard hamesha ke liye chala jata hai.
Body massage karne se sharir mai rakt pravah bahut accha hota hai. Garam tel se massage karne kerne ke bahut laabh hai. Saath hi isse twacha mai nami aur aur uski sundarta ban rahti hai.
Acche tel lagane se twacha mai chamak aati hai aur twacha tight ho jati hai, jisse jhuriya nahi padti hai. Body massage karne ke liye aapko tarah tarah ke tel mil jaynge, lekin kon sa accha hai. Ya kon sa aapki skin ko suit kart hai. Yeh janna bahut jaruri hota hai.
Aapki skin ke according aap tel ka chunav kijiye. Niche hum aaapko kuch malish ke liye oil ke baare mai batane ja rahe hai, Jinme se aap aapne liye ek tel ka chunav kijiye.
Massage Oils ke Dwara Paiye Swasth Twacha aur Tanav se Mukti
Olive Oil
Yeh twacha mai acchti tarah se sma jata hai aur use nami pradaan karta hai. Benefits of Massage ki baat kare to iss oil ki aham bhumika hai. Kyoki isse malish karke aapke sharir ka dard bhi gayab ho jata hai. Isliye hum bol sakte hai, olive oil ek acche Massage Oils mai se ek hai.
You may also like:- Olive Oil in Hindi: Is Tel Se Nikhare Apni Sundarta
Badam Tel
Yeh tel har tarah ki twacha par asar karta hai. Par yeh apna khas asar rukhi twacha par hi dikhta hai. Isliye agar aapki twacha rukhi hai ya fir aapki apni skin mai nami chahiye to rozana iss oil se malish kijiye.
Sarson Tel
Yeh body oil thakan bhari maspeshiyo ka dard bhagane mai laabhkari hota hai. Yeh haddiyo ko bhi majbut banata hai. Thand mai iss oil se massage karne se aapke sharir mai garmi bani rahti hai.
Avocado Oil
Agar iss tel ko dusre telo jese, lavender oil ke saath mix kar ke lagya jaye to yeh skin ko tone karega aur use rukha hone se bhi bachayga. Iss liye aap chahe to iss oil ko roz raat mai sone se pahle laga sakte hai.
Nariyal Tel
Yeh twacha ko poshan deta hai, use tight karta hai aur usme nami bharta hai. Yeh oil aapke baalo aur twacha dono ke liye bahut laabhkari hota hai. Aap rozana iss oil ko laga sakte hai.
You may also like:- Janiye Benefits of Coconut Oil for Skin in Hindi
Arandi Tel
Massage Oil ki baat kare to arandi tel ka naam sabse pahle aata hai. Iske dwara twacha aur baal par acche asar hote hai. Yeh gadha aur chipchipa tel har tarah ki skin ko suit karta hai. Yeh chehre ki jhuriyo ko bhi khatam kar deta hai.
Jojoba Oil
Isse twacha kr muhase ko dur kiya ja sakta hai. kyoki isme antibacterial tatva paye jate hai. Jin logo ka chehra muhase se bhara rahta hai, unhe iss tel se bahut fayda milega.
Angur ke Beez ka Tel
Iss tel se bilkul bhi allergy nahi hoti hai aur twacha par iske bahut se fayade bhi hai. Agar saaf aur komal twacha chahiye to isse body massage kare. Jise aaapko bahut fayda milega.
Til ka Tel
Yeh oil toner ke roop mai istemaal kiya ja sakta hai. Iska prayog ayurveda mai bhi kiya jata hai.
Massage Oils ka Istemaal Karke Rahiye Swasth
Suraaj Mukhi Oil
Iss oil acid se bhra hai, jo hamari twacha ke liye bahut laabhkari hai. Aap chahe to rozana iss oil se apne sharir ki massage kar sakte hai. Jisee aapki twacha bahut khubsoorat dikhai degi.
Soybean Seed Oil
Yeh oil bhi bahut faydemand hota hai. Isse aapki sharir ki twacha bahut sundar dikahi deti hai. Saath hi iska sabse badha fayda hai ki, agar koi ladki apne breast size ko badhan chati hai to, isse tel ke jariye vo yeh kaam kar sakti hai.
Clove Oil
Clove oil bhi ek bahut accha massaging oil hai, jo aapke liye bahut faydemand hota hai. Isse bhi aapki skin chamk aur sundarta bani rahti hai. Aap chahe to isse bhi apne breast par laga kar malish kar sakti hai. Jisee unka size badh jayega. Saath hi thakan hone par apne body par bhi malish kar sakte hai.
Methi Dana ka Tel
Meth dana ka tel aapke sharir ke dard ho khatam karta hai. Agar aapko koi darda bahut purane time se hai to aap iss oil ka use kar sakte hai. Saat hi apne boobs ka aakar badhane mai bhi kar sakte hai.
Carrot Oil
Iss oil ko banane ke liye aapko gajar ko kat kar uska ras nikal lijiye. Ab isme koi vegetable oil milala lijiye. Iss oil ke use se koi bhi skin infection khtam ho jata hai.
Sesame Oil
Iss oil mai Vitamin A, B aur E ki bharpur matra hoti hai. Uske saath hi isme calcium aur magnesium tatha phoasphorus bhi paya jata hai. Iska use bahut se cosmetic product ko banane mai bhi kiya hai. Saathi hi iski malish se aap acchi twacha pa sakte hai. Sesame tel ki Massage Oils mai mukhaye bhumika hai.
You may also like:- Janiye Benefits of Coconut Oil for Skin in Hindi
Walnut Oil
The walnuts oil matalb akrot ka tel aap ke liye bahut fademand hota hai. Aap chahe to iss oil ko cooking ke liye bhi use kar sakte hai. Saath hi iss oil se massage karne se aapko bahut fayda milta hai. Is liye aap chahe to rozana iss tel ka istemaal kar sakte hai.
Safflower Oil
Safflower Oil bahut hi laabhkari hota hai. Iss oil ka use aap skin softing ke liye kar sakte hai. Saath hi iske rozan use se aap eczema se bach sakte aur bahut se skin problem se bhi chutkara pa sakte hai.
Upar aapne jane Massage Oil ke baare mai jaruri jankari. To bas inn telo ke dwara apni body ki massage kijiye. Aur tanav se mukt hokar aachi twacha bhi paiye.