Stamina Fitness: Aapki Sahanshilta ko Badhe ke Aasan Tarike

Ek vyakti ki asli punji uski  kaya nahi balki unka stamina hota hai. Stamina ka matlab keval ek virasat avdhi ke liye ek gatividhi ko karne ke liye shakti aur urja hi nahi , balki  yeh bimari aur tanavpun isthiti se ladhne  mai bhi madad karta hai.

To chaliye aaj iss artical mai hum aapjo batate hai,Stamina Fitness. Jisse aap apne sharir ki sahalshakti aasani se badha sakte hai aur hamesah ke liye sawasth rah sakte hai.

Aksar dekha jata hai ki, baccha jab school se pad kar ghar aata hai aur turant hi bistar par gir jata hai to yeh sahi baat nahi hai. Kya aapko nahi lagta hai ki uske andar koi kami hai ya use theek se pura poshan nahi mil raha hai.

Bhagti- dodti jindgi mai sabse jyada jaruri hai energy, power aur stamina.  Agar aapke sharir mai stamina yani takat ki kami hai to aap kisi bhi kaam ko acche se nahi kar sakte hai.

Bacche ho ya budha har kisi ki jindgi mai kaam jyada badh jata hai.  Isliye jaruri hai ki kuch aise  tips ka palan kiya jaye, jisse aapka stamina jayda badh jaye. Isliye jaruri hai ki aise sujhav ka palan kiya jaye jisse aapka stamina aache se badh sake. Saath hi acche aahar khaye ya fir kasrat kare. Inn sab ke baare mai apako yaha niche jakri di ja rahi hai.

stamina fitness

Stamina Fitness Dawar Paiye Ek swasth Sehat Pane Ke Raaz

Sharirik Parikshan Kare

Stamina Fitness mai aapke sharir ka sahi parikshan karne ki mukhaye bhumika hai. Agar aapko apne stamina ko badhne ka irada kar liya hai, to aapko ek adharbhut chikitsak parikshan ke saath shuru karna chahiye. Isse aapko yeh ptaa lagane mai madad milegi ki aap chhot aur anye samasya ko dur karne ke liye kitne fit hai.  Apni sahanshilta ko badhane ke liye Diet Chart for Weight Loss  ko apna sakte hai.

Ek Santulit Aahar ke Saath Shuru Kare

Aapko yeh dekhne ki bhi jarurat hai ki aap kya kha rahe hai. Iske liye adhik matra mai phal aur sabjiya, beans charbi ke manas, bahut kam vasa vale aahar shamil kare. Yeh aapke sharir ko swasth rakhne mai aur aapki sharirik aur mansik dono ki sahnshakti ko  badhane mai madad karta hai.

Apne Pasndida Khel Khele

Sabhi prakaar outdoor game thakan ko dur karne aur aapke stamina ke level ko badha dene  ke liye sabse accha hai, kyoki yeh aerobics vyayam ka ek roop hai. Football, basketball aur anye sabhi bahut tezi se dodne vale khel aapke dil ko majbhut banane mai madad karenge taki aapke sharir ke sabhi bhago mai oxygen pahuch paye.

Dheere-Dheere Vyayam

Agar aapne abhi abhi stamina badhane shuru kiya hai to shuvaat mai chhote chhote step le, na ki ek dam se kasrat karne lag jaye. Yadi aap  khud se nirdharit duri kuch nishchit samay mai puri karna chahte hai , to shuruvaat mai paidal chalkar  apne sharir ka stamina viksit kijiye.

You may also like:- Beauty Tips in Hindi: Vyayam jo Chehre ko Rakhe Bright

Heart Vyayam Shuru Kare

Apne stamina ka nirman  karne ke liye heart vayaym ke liye ek nishchit samay samparpit karna sabse accha aur saral tarika hai. ISke liye jumping , summing, running aadi jese vyayam shamil hai.

Apne Aarm ke Dino ko Kam Kare

Aap stamina chahte hai , to aapko kaam ke beech mai aarm se bachne chahiye. Lekin agar aap tanav mahsus kar rahe hai, to kuch second ke liye aaram kare.

Thoda Bhojan Kai Baar Khaye

Aapne sharir ke liye urja ki satta purti banye rakhane ke liye niyamit antral par thoda bhojan khaye. Jisse aapke sharir ki sahanshakti badhegi. Stamina Fitness ki baat kare to hum bol sakte hai ki, ak sahi aahar jo ki samay samay par liya jaye ek bahut acchi tips hai.

Pani ki Matra Badhaye

Sunishchit kare ki aap dehydration aur thakan ko kam karne ke liye paryat pani pijiye. Kyoki agar aapke sharir mai pani kam hoga to yeh aapke rakt  ko kam kar dega aur  iss prakaar rakt sanrchana dheemi ho jayegi aur aapki koshikaye mai oxygen ki kami hogi.

You may also like:- Importance of Drinking Water – Kyu hai Pani Itna Important

Apne Sodium Level ko Sambhale

Agar aap garam mousam mai dinbhar kathor vyayam karte hai, to aapko adhik paseena aayega, iske prinaam honge ki aapka sharir  paseene ke douran bahut sara namak nikal dega. Aapke sharir mai namak ki kami se electrolyte asantulan paida ho jata hai. Jiske vajah se aapka stamina mai tezi  se giravt ho sakti hai aur aapko halka se chakkar aana jesa mahsusho  sakta hai. Iss tarah ki samsya se bachne ke liye, sunishchit kare ki aapko apne sharir mai paryapt sodium mil raha hai, lekin dhyan rahe ki, aap ucch raktchap ke khatre ki chancha kar le.

stamina-fitness

Carbohydrate Chune

Apne aahar mai carbohydrate yukt khadya padarth ko jodna sunishchit kare, taki yeh khadya padarth aapke sharir ko starches and sugars pradaan karenge, jisse aapki manspeshiya ki sahanshakti  badhti hai. Saath hi anaaj, roti, sabjiya, pasta aur dudh jese carbohydrate  samradh padarth shamil kare.

Buri Aadato se Bache

Hum sab mai acchi aadte aur buri aadte hoti hai, jinke baare mai hum sab jante hai. Dono ki suchi banaye kharab aadto jese smoking atydahik sharab peena, junk food khana. Inn  aadato ko khatam  kar ke hi aap fit rah sakte hai aur apne Stamina Fitness ko badh sakte hai.

Apni Simao ko Jane

Jo aap nahi kar sakte hai, us kaam ka dawab apne sharir par mat daliye, isse aap ko chhot lag sakti hai. Isliye aapke sharir ki hisav se hi sab kuch kare.

Ek Record Banaye

Yeh sabse accha hoga ki apni pragti ke baare mai ptaa karne ke liye ek record kitab banaye. Isse aapko apni yojna se jude rahne mai madad milegi.

Ek Cardio Niyam ka Palan Kare

Koi bhi routine shuru karne se pahle wormup kare , sharir ka khichav aur thande hona yaad rakhe. Isse chhoto se bcahne mai madda milegi.

Vajan ko Sahi Rakhe

Vzjan ko check kare apni kshamta badhane ke liye ek bahut accha vayyam hai. Halke dumbbell ke saath bhar uthaye. Inn dumbbell ka weight dheere dheere badhate jaye.

Ek swasth Nashat Khaye

Ek healthy breakfast  se apne din ki shuvaat kijiye.Iske liye aap oats ka prayog bhi kar sakte hai.  Isliye apne din ki shuruvaat ek heathy nashte se kare taki aapke sharir ka metabolism hamesah theek rahe saath hi aapka vajan bhi control mai rahega.

Upar aapne jane Stamina Fitness. To bas der kis baat ki upar bataye gaye tips ke dawra apne shrir ki sahanshakti ko badhaiye aur hamesah swasth rahiye.

Loading...

You may also like...