Multani Mitti Benefits: Face Pack Muhaso aur Glowing Skin Ke Liye

Multani Mitti ko fular ki mitti bhi kaha jata hai aur ye twacha ke liye cosmetic guno se bharpur hoti hai. Isse twacha saaf, komal aur chamakdar ho jati hai.

Multani Mitti me magnesium chloride hota hai jo twacha par aane wali kamiyo ko dur karta hai aur ek nai chamak pradan karta hai. Multani mitti sabse accha facepack, cleanser, scrub hota hai yaani isse in short all-in-one bhi kaha ja sakta hai.

Multani Mitti (Fuller’s Earth) ko direct chehre par paste ke roop mai lagaya ja sakta hai. Isse lagane se chehre par kisi bhi prakar ka side effects nahi hota hai, aap chaahe to ghar par hi multani mitti se face pack ka nirmann kar sakti hai.

Multani mitti twacha ko swasth aur chamakdar banaye rakhne ka sabse accha aur aasan tarika hai. To aaiye aur jaane Multani Mitti Benefits ke bare mai jaruri jankari.

Multani Mitti Benefits ke Gharelu Tips – Multani Mitti for Face in Hindi

Multani Mitti Benefits - multani mitti face pack

Multani Mitti se Muhaso se Chutkara

Multani Mitti Face Pack ko chehre par lagane se daag dhabbe aur muhaso ki samasyaao se chutkara milta hai. Apne chehre ki lalimaa aur sujan ko aap iske prayog se door kar sakti hai.

Behatrin Cleanser

Multani mitti twacha se gandagi saaf karne ke liye bahut kargar hai aur iske side effects bhi nahi hai. Agar aapki twacha oily hai to gulab jal ke saath twacha par lagaye aur agar dry skin hai to ise badam paste ke saath milakar lagaye. Fuller’s Earth se rakt sanchar bhi thik rehta hai.

Prakritik Scrub

Multani mitti face pack ka upyoog chehre par scruber ke roop mai bhi kiya jaata hai. Iske istemal se chehre ke blackheads aur whiteheads aasani se nikal jaati hai aur saath hi twacha ko kisi bhi prakaar ka nuksaan nahi hota hai.

You may also like: Homemade Beauty Tips in Hindi: Apni Khubsurti Badhaye

Complexion

Chehre par tanning ho ya phir aapka rang gehua ho to multani mitti aapke liye bahut hi asardar sabit hogi. Parantu ise lagane ke 1 ya 2 din mai turant aaram nahi milta hai, balki iska niyamit upyog karna padta hai.

Baalo ki Conditioning Kare

Amla juice ke saath multani mitti milakar baalo par mask ki tarah lagaye aur 10 minute baad acchi tarah se saaf karle. Isse aapke baalo ki kudarati conditioning hogi.

Twacha ko Nikhare

Multani Mitti Benefits itne hai ki, isse lagane se twacha mai chamak aur rangat nikharti hai. Iss mitti se skin tone bhi acha hota hai. Lekin sardi ke dino mai iske upyoog se bachna chahiye varna chehre par rookhapan aa jata hai.

Texture

Multani mitti, skin ke texture ko improve karne mai kaam aati hai. Agar aapki twacha par safed daag ho ya kisi prakar ke dhabbe padne lage ho to multani mitti ka upyog kiya ja sakta hai. Isse skin tone bhi accha hota hai.

Loading...

You may also like...