Ginger Bear se Paiye Behtar Swasth aur Dur Kare Bimari

Alcohol rahit ginger bear ko kai swasth samsyao, jese pet ki bimariyo aur gathiya aadi ka ilaj karne ke liye istemaal mai laya ja sakta hai. Adrak pet ki kharabi ke ilaj ke liye bahut hi prabhavi hota hai.

Alcohol rahit ginger bear pachan kriya ko sudharta hai aur aapko swasth rakhta hai. Iski madad se cholestrol aur ucch rakt ke level ko kam kiya ja sakta hai. Aisa paya gaya hai ki ginger bear sardi aur flu ke lakshano ko kam kar sakti hai aur blood circulation mai sudhar aur cancer se bachav bhi karti hai.

To aaiye jante hai Ginger Bear Benefits ke bare mai kuch aham baate jo aapko purna roop se swasth rakhegi aur aap isse bahut se pareshani ko dur kar sakege.

You may also like:- Benefits of Ginger: Adrak ke Fayde Aapki Health ke Liye

Ginger Bear se Kare Muhase, Pet Dard, Sujan Kam Kare aur Rahe Swasth

ginger bear benefits

Adrak Mai Moujud Laabhkari Tel:-

Taaza aur sukhe adrak mai kai prakritik tel hote hai, lekin swasth laabh se jude 2 mukhya tel hai gingerol aur shogaol. Dobno tel mai adhyayan kiya gaya hai, lekin aaj tak ke adhyayan mai se kisi mai bhi vastvik adrak bear ka istemaal nahi kiya gaya hai. Lekin alcohol rahit ginger bear bhi laabhdayak hoti hai.

Matli se Rahat Dilaye:-

Memorial Saloon Catering Cancer Center ke anusar adrak pachan mai sudhar karte huye matli se rahat dilata hai. March 2014 ke nutrition general ki samiksha ke anusar aap garbhvati hai aur aapko morning sickness ki samasya hai to bina alcohol wali ginger bear se matli mai kuch rahat milti hai. Samiksha ke anusar adrak surakshit hai aur iske side effect nahi hote hai. Supportive care inn cancer ke july 2012 ke ank mai prakashit ek adhyayan ke anusar cancer ke vyasak rogiyo mai adrak matli ko kam karta hai. Halaki iss vishay par bhi kuch mat vibhd bhi hai.

Cancer ki Roktham:-

Varsh 2008 mai molicular nutrition and food research ki ek report mai paya gaya ki adrak ne prayog shala mai manav cancer koshikao ke vikas mai roktham ki. Ek piolet adhyan mai shodhkartao ne cholorectal cancer ke jokhim wale logo ke 2 samuho mai vibhajit kiya. Ek samuh mai 28 dino ke liye har din adrak liya, jabki dusre samuh mai ek placebo (Prayogik Aushadhi) ki. April 2013 mai eye cancer prevention research ke anusar placebo lene wale samuh ke viprit adrak lene wale samuh cancer ke khatre ke liye jaivik marker mai giravat dekhi gayi.

Anti-Inflammentry Benefits (Sujan Kam Kare):-

Herbal medicine ki sameksha ke anusar adrak ko bahut pehle se hi anti-inflammentry agent ke tour par istemaal kiya ja raha hai. Lekin iss vishay par shodho ke virodhibhasi parniam aaye hai. Halaki kuch adhyayan mai paya gaya ki adrak se sujan mai kami aati hai.

Upar aapne jane Ginger Bear ke anmol fayde. Isse aap bahut si bimariyo ko thik kar sakte hai aur swasth reh sakte hai. Yeh aapke sharir ke liye bilkul bhi nuksaan dayak nahi hota hai. To agar aap aisi kisi pareshani se grasit hai to aaj hi se iska thoda sevan shuru kare to dekhe anmol fayde.

Download our Health Tips in Hindi App to get easy access on Blogs

Loading...

You may also like...