How to Remove Love Bites: Kiss Ke Nishan Ko Aese Hataye

Vaise to pyar ka koi samay nahi hota. Pyar kabhi bhi, kisi se bhi ho jata hai. Lekin February ke samay pyar karne wali feelings thodi jyada badh jati hai. Yeh wo samay hai jisme premi jode adhikar milte hai.

Har pyar karne wale couples sath mai quality time spend karna pasand karte hai. Iss douran we bahut si bate share karte hai, sath kuch khate pite hai. Aur isi bich aesa bhi pal aata hai, jab we ek dusre ko kiss karte hai.

Bahut se time pyar karne wale ek dusre ke sharir par laal nishani chod dete hai. Kuch couples ko yeh karna accha lagta hai. Ise we pyar ki nishani ka naam dete hai. Iss tarah jor se di gayi kiss ko Love bite ya hickeys kaha jata hai.

Bhale hi aapke pyar se mili hui yeh nishani aapko acchi lagi ho. Lekin jab tak aap uske sath ho. Lekin agar yeh bilkul samne ho aur har kisi ko aapka yeh nishan najar aa raha hai, to isse aap sabke bich sharminda ho jayenge. Isliye ise hatana bhi jaruri hai. Isliye aaj ke lekh mai ham aapko bata rahe hai How to Remove Love Bites.
 

Love Bites Ke Nishan Hatane Ke Liye 5 Aasan Upay

 
How to Remove Love Bites
 

Burf Ka Tukda

  • Love bite se nijat pane ke liye burf ka tudka sabse behtar vikalp hai.
  • Isliye nishan ko hatane ke liye aapko turant hi burf ke tukde ko kapde mai lapetkar waha ka sek karna chahiye.
  • 15-20 minute tak har thode thode der mai isse sek karna chahiye. Isse dard aur swelling dono dur ho jati hai.
  • Yeh Best Ways to Get Rid of a Hickey hai.
  • Aap chahe to thande chammach ka istemal bhi kar sakte hai. Teen se char chammach freezer mai thande hone ke liye rakh de.
  • Inn chammach ke pichle bhag ko hickeys par lagaye. Chammach ke garm hone par dusra chammach lagaye.

 

Green Tinted Concealer

  • Kabhi kabhi hickeys ke nishan itni aasani se nahi jate hai. Aese mai makeup unhe chupane mai madad karta hai.
  • Green Tinted Concealer, aapki laal hui twacha ko chupane mai madad karta hai.
  • Isko aap utni hi matra mai lagaye, jisse aapka waha ka hissa anya hisso ke skin se match kar jaye.
  • Baad mai upar se koi bhi light powder ka istemal kare.

 

Vitamin K Yukt Cream

  • Vitamin k ka kaam rakt ke sanchar ko accha rakhta hai aur blood clots yane ki rakt ke thakke banne se rokta hai.
  • Isliye vitamin k yukt cream ya lotion ki madad se aap uss nishan ko thik kar sakte hai. Ise aap din mai do se teen baar kare.
  • Iske alawa twacha ko aur bhi jaldi thik karne ke liye vitamin k yukt aahar jaise gobhi, palak, fish oil aadi kuch dino tak jarur le.

 

Aloe Vera

  • Aloe Vera ke twacha ke liye faydo ke bare mai to aap kabse hi sunte aa rahe hai. To ham aapko bata de ki yeh aapki iss pareshani mai bhi faydemand hai.
  • Aloevera ek prakratik moisturizer hai jo twacha ki sensivity ko dur karta hai. Iske alawa isme moujud anti-inflammatory gun sujan ko dur karne ka kaam karte hai.
  • Fresh aloe vera jel nikalkar ise chot par lagaye. Aesa din mai do se teen baar kare.
  • Yadi aapke ghar mai iske liye poudha moujud nahi bhi hai to aap aloe-vera yukt cream ka istemal bhi kar sakte hai.
  • Aloe vera cream ya lotion ko bhi din mai 3 se 4 bar lagana hai.

 

Kele Ka Chhilka

  • Kele ke chhilke mai thandak pahuchane wali aur sujan ko dur karne wale gun bhi moujud hote hai.
  • Kele ke chhilka nikale aur usko ek tukde ko square mai kaat le.
  • Ise Kiss Mark par 10 se 30 minute ke liye laga kar rakhe.
  • Din mai do se teen bar roj kare. Ise utne din kare jab tak nishan nahi hat jata.

 
Upar aapne jana How to Remove Love Bites in Hindi. Yadi aapke paas inn tariko ko apnane jitna samay nahi hai. To full neck wale kapde pehne. Iske alawa aap stole ya fir scarf ka istemal kar sakte hai. Sath hi kuch dino tak apne baalo ko bhi khulla rakhe isse bhi madad milegi.

Loading...

You may also like...