Amla Powder in Hindi – Anek Bimariyo ki Ek Dawa

Bharat ek aisa desh hai jaha ki mitti bhi manushya jivan ko swasth banane mai saksham hai. Yaha prakrati se prapt anek aushdhiya hai jinke upyog matra se manushya choti se choti aur badi se badi bimariyo se lad sakta hai.

Sadiyo se chali aa rahi yaha ki ayurved parampara ab samay ke sath dhire-dhire lupt hoti ja rahi hai. Ab aise log bahut kam hai jinhe inn aushdhiyo ke bare mai jankari hai, ho sakta hai kuch salo baad log aayurved se prapt inn prakratik aushdhiyo ko bilkul bhul jaye.

Amla to hum sabhi ne khaya hai aur ho sakta hai aane wale kuch varsho tak log isse na bhule kyoki amala bhi ek aushdhiya ped hai jiske anekonek fayde hai. Isse banane wala churn bhi atyadhik labhkari hota hai. Aaj hum apako batane wale hai ki kis prakar Amla Powder humare sharir ke liye hitkari hai.

Amla phal dene wala ped hai jo lagbhag 20-25 feet ucha hota hai. Yeh Asia ke alawa Europe aur Africa mai bhi paya jata hai. Himalayi aur praydwipiya bharat mai yeh bahutayat matra mai paya jata hai. Iske phal samanya roop se chote tatha gol hota hai.

Yeh phal hare, chikne aur gudedar hota hai, inn phalo ke andar iske beej ya guthali bhi hoti hai. Amla swad mai kasela arthat khatta hota hai, jo atyaant gunkari, poshak, shital tatha iron aur Vitamin C ki bharpur matra se paripurn hota hai. Yeh vridhavastha rokne mai saksham dhrat phal hai.

Ayurvedik aushdhiya banana mai iska bahut upyog kiya jata hai. Aakar mai bada, bedag aur halki si lalima liya huya amla bahut uttam hota hai. Yeh prakrati ka diya hua ek aisa vriksha hai, jo manushya ki anek bimario ka nash karta hai.

Har vyakti ko pratidin 50 mili gram aamle ka sevan karne chahiye. Ek amla 1 ande se adhik bal deta hai. Isme char narangi, aath tamatar aur char kele ke barabar Vitamin C hota hai. Yeh phal pitt nashak hone ke karan pitt-pradhan rogo ki aushdhi hai. Yeh raktvahiniyo ke vikaro ko nasht karne mai bhi sahayak hote hai.

Amla mai vitamin aur iron ke sath calorie, protein, calcium, thymine, niacin, carbohydrate khanij lavan aur phosphorus bhi bharpur matra mai hota hai. Aaiye ab hum jante hai Amla Powder in Hindi se hone wale labh.

Amla Powder in Hindi: Janiye Amla Churn ki Vidhi aur Aushdhiya Labh

 

Amla Powder in Hindi

 

Amla Powder: Amla Churn Banane ki Vidhi

Amla powder ya churn kai tariko se banaya ja sakta hai. Hum aapko yaha kuch vidhiya bata rahe hai, aap apne icchanusar ya swadanusar ise bana sakte hai.

  1. Amla powder banana behad hi aasan hai. Iske liye aap aamle ko acchi tarah sukhakar usse musal ya mixture mai pis le. Lekin amla ko raat mai ubal kar na rakhe, jis din dhup acchi ho usi din aap turant amle ko ubale aur kiskar dhup mai sukhne rakhde. Kisa amla acchi tarah sukh jaye tab usse pees le. Yeh iski samanya vidhi hai.
  2. 1 kilo amla churn banane ke liye 250 gm pisi shakkar ka istemal kare. Ab sabse pahle amle ko kisle aur isme pisi shakkar mila de tatha kadak dhup mai 2-3 din ke liye sukhne de, jab yeh acchi tarah sukh jane par aap isse istemal kar sakte hai. Aap isse piskar bhi upyog mai la sakte hai. Yadi aap mitha churn nhi kha pate hai to aap isme shakkar ki jagah namak bhi mila sakte hai.

 

Amla Powder Benefits: Janiye Iske Labh

Amla lakho dukho ki ek dawa sabit hota raha hai. Yeh pachan tantra se lekar smaran shakti tak ko durust rakhta hai. Aaiye jante hai Amla Powder Benefits aur iske prayog-

 

Yakrit ya Piliya

Amle ka churn 3 se 10 gm tatha amle ka ras 25 gm din mai do ya teen baar lene se yakrit ya piliya rog mai aaram milta hai. Amle ki chatni ko bhi subah-shaam shahad ke sath lene se bhi yeh rog thik hota hai.

 

You may also like: Jaundice Treatment in Hindi: Piliya ke Gharelu Upchar

 

Madhumeh

Amla churn tatha haldi churn ko saman matra mai pratidin bhojan ke pashchat sevan karne se madhumeh mai labh milta hai. Amle ke ras mai shahad milakar khane se bhi yeh labhkari hota hai.

 

Netro ke Rog

  1. Amla hara ho ya sukhaya hua iske gun kabhi nasht nahi hota hai. Iski amlta iski raksha karti hai. Amle ka chilke ko halka sa piskar pani mai bighokar rakh de. Baad mai isse saaf kapde se chaankar din mai teen baar 2-2 bund aankho mai dalne se aankhe swasth rahti hai.
  2. Amle ke ras mai shahad milakar niyamit roop se sevan karne se motiyabind mai fayda milta hai.

 

Kabj aur Pachan Kriya

  1. Raat mai sone se pahle 1 chammach pisa hua amla pani ya dudh ke sath lene se subah soch thik se hota hai, kabj nahi rahti hai tatha pet aur aant acche se saaf ho jate hai.
  2. Amla sharir me immune power ko badakar usse infection se ladne mai madad karta hai. Amle ka murabba ka sevan karne se pure saal swasth bane rahenge.
  3. Shaam ke samay 5gm amla churn pani mai bhigokar rakh de, subah 100 gm dudk ke sath 1 maah tak sevan karne se pachan sambandhit sabhi rog thik hote hai.

 

Hichki

Amla powder, ketha ka guda tatha choti pipar ka churn ko saman matra mai milakar shahad ke sath lene se hichki band ho jati hai.

 

Amlpitt ya Ajirn

  1. Amle ka churn, adrak tatha hara dhania milakar chatni bana le. Isme namak, kali mirch, hing aur jeera bhi mila le. Iske sevan se dakare ayengi, bhook khulegi tatha hajama shakti badegi.
  2. Amle ka ras, mishri ya shahad barabar matra mai milakar din mai 2 baar lene se amlpitt ka rog thik hota hai.

 

Gathiya

1 glass pani mai 25gm pisa amla tatha 25 gm gud milakar 40 din tak niyamit din mai do baar lene se gathiya rog mai aaram milta hai.

 

Likoria

Amle ke beej ka powder aadha chammach shahad aur thodi se mishri ke sath milakar 15 din tak subah khali pet le.

 

Budhapa Dur Kare

  1. Amle mai sakcinik namak amla hota hai, jo budape ko rokta hai tatha punah yovan shakti pradan karta hai. 100 gm amle ka powder aur 100 gm kale til ka powder milaye. Ab isme 50 gm shahad aur 100 gm desi ghee milaye. Iska 1 chammach pratidin keval 1 maah tak sevan karne se budapa dur hota hai aur varidhavastha yuva vastha mai badal jati hai.
  2. Iske alawa amle ka churn 2 chammach khane ke sath sevan karne se bhi vridhavastha dur hoti hai.

 

Bhook Badata Hai

Bhojan se pahle amle ka powder, shahd aur makkhan khane se bhook acchi lagti hai. 1 gm amla powder aur thodi si chini milakar dudh ya pani ke sath lene se acidity ki samasya thik hoti hai.

 

Chehra Chamkaye

Amle ke churn ka ubtan lagane se chehra chamak uthta hai. Iske liye amla powder aate ki tarah gunth kar raat ko sote samay pure chahre par lagaye aur subah uthkar usse dho le.

Yaha humne apko Amla Powder ke kuch samanya nuskhe bataye hai jinke istemal se aap apne sharir ko swasth rakh sakte hai. Inn sab rogo ke alawa yeh danto, masudo, snayu rog, hriday rog, mutra rog, charmrog aadi mai bhi amla churn behad labhkari hota hai.

 

You May Also Like:- Face Bleaching Benefits – Nikhare Chehre Ka Rang

 

Amle Powder ke Aushdhiya Prayog

  1. Pisa huya amle ko 1 chammach shahad ke sath din milakar din mai 2-3 baar lene se khansi dur ho jati hai.
  2. Gala paith jane par ya gale se awaj na nikal pane par amla powder ko pani ke sath lene se yeh thik ho jata hai.
  3. Sukha amla aur mishri ko saman matra mai lekar pisle aur isse pratidin fanki lagakra khane se hriday sambandhit rog thik hote hai.
  4. Shairi mai kisi bhi sthan par kat jane par ya ghav ho jane par rakt nikal raha ho to turant amle ka ras uss par lagane se khoon bahna bilkul band ho jata hai.
  5. Sukhe amle ko barik piskar subah-shaam 1 chammach, gaay ke dudh ya gaay ke dudh se bani lassi ke sath sevan karne se khuni bavasir nai bahut labh milta hai.

 

Amle ke Sevan ka Samanya Tarika

Yeh jaruri nahi ki aap amla powder ko dawa ke roop mai hi istemal kare aap aasani se isse apne dainik jivan mai murabba, achar, juice, ke rrop mai bhi le sakte hai.

Aaj humne aapko Amla Powder in Hindi se sambandhit sampurn jankari pradan ki hai, jo aapke aur aapke pariwar ke liye bahut hi labhprad sabit hongi. Inn sabhi nuskho aur tariko ko apnakar aap swastha aur khushhaal jivan vyatit kar sakta hai.

Amle ka prayog kisi bhi roop mai sari umra bhi kar skate hai. Iske niyamit sevan se kisi bhi prakar ka side effect nahi hota hai, lekin har manushya ka sharir aur uski tasir alag-alag hoti hai, isliye apni suvidhanusar hi iska sevan niyamit kare. Saptah bhar mai ya maah mai ek baar bhi aap iska sevan ksre to yeh aapke liye faydemand hoga.

Loading...

You may also like...