Chameli in Hindi: Janiye Jasmine Se Milne Wale Anuthe Fayde

Chameli ka poudha pure bharat mai paya jata jai.  Ise adhikatar gharo ke bahar ya bagiche mai lagaya jata hai. Chameli ke phul bahut khusbudar hote hai, iski manmohak khusboo sabko apni aur aakarshit kar leti hai. Chameli ko angreji mai Jasmine kaha jata hai.

Chameli shabd ko parsi shabd yasmin se liya gaya hai. Iska arth “prabhu ki den” hota hai. Iss phul ki 200 ke karib prajatiya hai. Yeh podha har mosam mai dekhne ko mil jata hai. Vaise to yeh pure bharat mai paya jata hai lekin Iski kheti sabse jyada uttar Pradesh mai ki jati hai.

Chameli ke phul, pattiya, jad sabhi ko aushdhi ke rup mai istemal kiya jata hai. Yaha tak ki chameli ke phulo ka istemal sugandhit itra(perfume) banane mai bhi kiya jata hai.

Chameli ka phul safed rang ka hota hai. Kintu kai bar iski bel pile rang ki bhi dikhai deti hai. Yeh ek sheetal prakrati ka poudha hai. Iski khushboo logo ko bahut pasand aati hai. Sukhe jagah par bhi ye poudhe jivit rah sakte hai. Iske phulo ko puja mai bhi chadaya jata hai. Jasmine ke bare mai aur vistar se janne ke liye padhe Chameli in Hindi.
 

Chameli in Hindi: Sar Dard aur Kai Samasyao mai Labhprad

 
Chameli in Hindi

Chameli ka phul kai rogo mai labhdayak hai. Ise kai log kai bhasao mai jante hai. Janiye vibhinna bhasao mai iske naam.

  • Hindi: Chameli
  • Marathi: Chambeli
  • Gujrati: Chambeli
  • Marathi: Chambeli
  • Angreji: Jasmine
  • Telgu: Sanna Jaaji Malli
  • Letin: Jasminum Multiflorum

 

You May Also Like:- Rose Benefits in Hindi: Jane Gulab Ke Phool Ke Fayde

 

Danto Ke Dard Ka Illaj

Danto ke dard mai chameli ki patte bahut karagar sabit hote hai. chameli ke patte mai kateri, gokhru, manjith, mulhathi sabko barabar matra mai lekar pees le. Iss churn ko 4 guna pani aur 4 guna tel lekar acche se garam kar le jab tak ki pura pani ubal kar khatam naa ho jaye. Ab bache huye tel ko chankar rakh le. Subah sham danto par iss tel ko lagane se dant ka dard khatam ho jayega.

Chameli ki pattiyo ko danto ke niche daba kar rakhne se bhi danto ke dard mai aaram milta hai. Aur chameli ki pattiyo ko chabane se bhi dant ki samsya se nijat milta hai.
 

Twcha Ke Liye Labhprad

Chameli ka phul Skin Care ke liye bhi faydemand hai. Halanki ise sidhe twacha par nahi lagana chahiye. Ise lotion ya moisturizer ke rup mai istemal karna chahiye. Iske moisturizer ko twacha par lagane se twacha mai kasavat bani rehti hai. Tatha ye din bhar twacha mai name barkarar rakhne mai bhi faydemand hai.
 

Behtarin Perfume

Kai bar aapke sharir se pasine ki badbu aane lagti hai. Aur aisa garmi ke mosam mai aksar hota hai. Yeh pasine ki badbu aaapko hi nahi balki aapke aaspas baithne walo ko bhi pareshan karti hai. Iss samasya se chutkara pane ke liye aap chameli ke phul ka upyog kare.

Aap chameli ke phulo ka spray aasani se ghar par bana sakte hai. Ek spray bottle lekar use pani se bhar de, tatha usme ek chammach tel dalkar acche se hilaye. Bas aapka spray taiyar ho gaya hai. Tan ki durgandh dur karne ke liye aap ise rojana istemal kar sakte hai.
 

Balo Ke Liye Faydemand

Chameli Hair Care ke liye bhi faydemand hai. Agar aapke scalp par rusi ho gai hai to iska istemal aapke liye bahut fayedemand hai. Kyuki chameli ke phul mai antimicrobial aur antiseptic gun hote hai, jo scalp par rusi ke sankraman ko hatane mai madad karti hai. Chameli ke tel ki kuch bund nariyal ya badam ke tel me dalkar scalp par acche se malish kare aur kuch ghanto bad sar dho le. Isse kam se kam 2 mahine tak istemal kare. Aapki rusi ki samasya dur ho jayegi.

Balo ki conditioning ke liye bhi chameli ka upyog kiya jata hai. Chameli ke phul ko kuch samay ke liye garam pani mai bheego kar rakh de aur usse thanda hone de. Sar ko shampoo karne ke bad chameli ke phul ke pani se sar fir se dho le. Yadi aapke bal ghughrale hai to chameli ke pani thoda sa chameli ka tel bhi mila sakte hai.

Chameli ke patte, kaner, aur karanj ko ek sath milakar pees le. Fir iske churn ke anusar 4 guna tel aur tel ke anusar 4 guna pani le aur in sabhi ko halka garam kar le. Garam karte wakt thoda sa bakri ka dudh bhi mila le. Isko garam karne ke douran jab thoda sa tel hi shesh reh jaye to usse chankar nikal le. Ab iss tel se rojana malish kare. Agar aapke sar ke bal chale gaye hai to iss tel ka upyog karne se sar ke bal wapis aa jate hai.
 

Jasmine Oil Benefits in Hindi: Chameli Ke Tel Ke Fayde

Twacha mai Glow Laye: Chameli ka tel bhi sharir ke liye bahut fayedemand hai. Chameli ke tel mai ararot ko milakar chehre par lagane se chehra chamak uthta hai.
 
Yon Iccha Badhaye: Chameli ke tel mai khushbu bahut adhik hoti hai. Jisse indriya jaldi aakrshit hoti hai. Iska istemal kamaiccha ko badhane ke liye bhi kiya jata hai. Chameli ke tel ko sharir par malish karne se urja ka sanchaar badhta hai. Chameli ko phul mai enteric tel hota hai. Iss tel ke alava bhi isme mai benzoic acetate, lin alcohal, benzilic alcohol, indole jaise tatva paye jate hai.
 
Sharir Ko Aaram De: Chameli ke tel mai nariyal ka tel milakar isse sharir par malish karenge to isse apke sharir ko bahut aaram milega. Sath hi tantrikao ko shant karne mai bhi iss tel ka istemal kiya jata hai. Iss prakar kai spa aur aromatherapy mai iss tel ka upyog kar sakte hai.
 
Garbhavati Mahilao Ke Liye: Jamsmin ke tel ko kisi bhi parakar ke sharirik dard par laga kar malish karne se dard dur ho jata hai. Khaskar grabhvati mahilao ko prasav ke douran hone dard mai iss tel ki malish karna fayedemand hota hai.
 

You May Also Like:- Arjun Tree in Hindi – Rakhe Aapke Dil Ka Khayal

 

Jasmine Tea

Jasmine Tea mai kai tarah ke nutrition mile hote hai, jo aapko sakriya aur vajan kam karne mai sahayak hote hai. Jasmine tea mai green tea jaise energizing gun nahi hote hai par ye blood circulation aur dhamniyo ko tanav mukt karne mai madagar hoti hai. Jasmine tea green tea ke mukabale itni energetic parinaam nahi deti hai, parntu ye sharir ko puri tarah se aaramdayak, majbut aur tanav rahit karne me madad karti hai. Sath hi yeh periods ko niyamit karne mai bhi sahayak hoti hai.

Madhumeh se grasit logo ko iska sevan karna bahut faydemand hota hai. Jasmin tea mai serum protein hota hai, jiska sevan madhumeh se pidit rogiyo ke liye ramban illaj hai. Jasmine tea ka pratidin sevan karne se yeh aapke dimag ko shant rakhta hai.
 

Jasmine Benefits: Iske Anya Labh Bhi Jane

 
Jasmine Benefits in Hindi
 

  1. Charm rog hone par chameli ki pattiyo ka tel lagane se fayda milta hai.
  2. Sar dard hone par chameli ke patto ka lep lagane se sar dard mai fayda hota hai.
  3. Aankhon mai dard hone par chameli ke phul ka lep banakar lagane se dard se rahat milti hai.
  4. Masudo mai dard hone par chameli ke patto ka kada banakar pine se dard mai rahat milti hai.
  5. Chameli ke phul ko rojana chehre par lagane se chehre ki twacha damak uthti hai.
  6. Pairo ki ediya phati hone par chameli ke patto ke ras ka lep lagane se ediya thik ho jati hai.
  7. Yadi aapke pet mai kide ho gaye to chameli ke patto ko piskar pani ke sath sevan karne se pet ke kide nasht ho jate hai.
  8. Ulti hone par 10gm safed chameli ke patto ka ras aur 2gm kali mirch ka churn milakar sevan karne se ulti hona band ho jati hai.
  9. Agar aapke muh mai chhale ho gaye hai to chameli ke patto ko muh mai rakhkar dheere dheere chabane se muh ke chhale, aur ghav samapat ho jate hai.

 
Upar aapne jana Chameli in Hindi aur iske faydo ke bare mai. Lekin iska aushdhi ke roop mai istemal karne se pehle chiktsak ki salah lena uchit hoga.

Loading...

You may also like...