Contour Makeup Tips in Hindi: Chehre Ko Aakarshak Dikhaye

Abhi tyoharo ke din chal rahe hai aur inn dino mai har ladki aakarshak aur sundar dikhna chahti hai. Kai ladkiya to apne pasandita actress ke jaise bhi dikhna chahti hai. Lekin khubsurat dikhne ke liye aapko sahi makeup ke bare mai jankari hona bahut jaruri hai.

Kyoki bahut si ladkiyo ko makeup karne ki sahi jankari nahi hoti hai. Yadi aap ke pas makeup karne ka sara saman ho parantu yadi use aap sahi tarah se upyog mai na la paye to unka hona bekar ho jata hai.

Sirf makeup ka saman hone bhar se aap aakarshak aur sundar nahi dikh sakte hai, balki aapko use istemal karne ka sahi tarika bhi pata hona chahiye to sahi makeup ka tarike janne ke liye padhe Contour Makeup Tips in Hindi.

Contour Makeup Tips in Hindi: Bheed mai Alag Dikhaye
contour-makeup-tips-in-hindi

Makeup ki baat ki jaye to contour makeup ek sabse anokha makeup hai. Ise makeup artist bahut hi pyar se tatha apni kala ke dwara karte hai. Iss makeup ko karne se aapke chehre par behtarin curves ban jate hai aur aapke pure chehre ki kaya hi badal jati hai.

Jab aap iss makeup ko karte hai to aapke chehre mai badlav kiya ja sakta hai, jaise aapka chehra gol hai to iss makeup ke dwara aapka chehra lamba kiya ja sakta hai.

Contour makeup aapke chehre ko sahi aakar dene mai mahatvapurn bhumika nibahata hai. Lekin aapka contour makeup sahi se nahi kiya gaya ho to yeh bahut hi jyada bhadda aur anaakarshak dikhai deta hai. Iss makeup ko karne ke liye aapke pure chehre ki aakrati samajhni padti hai taki aapka makeup accha dikh sake.

Brush Ko Istemal Karne Ka Tarika

Jab bhi aap makeup ki shuruwat kare to bahut jaruri hai ki aapka makeup karne ke liye brush ka sahi istemal ho. Brush ke sahi istemal se aap bronzer ko sahi se laga payenge.

  • Chehre ke bade bhag par bronzer lagane ke liye angled brush ka istemal kare.
  • Bronzer ko lagane ke liye chehre ke chhote chhote bhag par fan brush ya fir eye shade fluff brush ka istemal kare.

Chehre Par Highlights De

Contour makeup ko sahi dikhane ke liye chehre par highlights dena bhi bahut jaruri hai. Kyonki highlights ke bad aapka chehra jyada aakarshak dikhai deta hai.

  • Jab aap apne chehre par highlights karte hai chehra aakarshak dikhai deta hai.
  • Jab bhi aap highlighter ka prayog kare ise apni aankho ki taraf aage khiche.
  • Aap cream highlighter ka istemal kare jisse yeh aapki twacha mai acche se mil jaye.
  • Twacha par chamak ke liye foundation ke sath thoda sa highlighter mix karke lagaye.

Foundation Ka Kare Prayog

Jab bhi aap foundation lagane wali to yeh jarur dekhe ki wah aapki skin tone se milta julta hai. Aap saman rang ke foundation ka prayog karegi to aapki twacha ka tone saman rahega. Foundation ko apne chehre tatha gale par acche se lagaye. Contour Face Makeup ke liye niche diye gaye binduo ko dekhe:-

  • Contouring makeup mai halke tatha gehre dono tarah ke highlights hote hai isliye halke rang ke foundation ka chunav kare.
  • Jab aapne halke rang ka foundation laga liya hai to uske bad twacha ke rang se gehre foundation ka pryog kare. Aisa karne par aapki thuddi ki haddiya patli dikhai degi.

Blending Brush Ka Istemal Kare

Blending brush ka sahi chunav karna bahut jaruri hai. Yadi aap iska istemal nahi karti hai to aapka chehra anaakarshak dikhai dega. Iss brush ki sahayata se foundation ko pure chehre par acche se mila sakti hai.

  • Iss brush ki sahayata se sabse pehle mathe ke bich mai, nak aur hotho ke upar halka foundation lagaye.
  • Iske bad foundation ko gaal, mathe tatha gardan par acche se lagaye.
  • Foundation ko blending brush se blend karna bahut jaruri hai taaki foundation jyada na fele.

Chehre Ke Anusar Kis Tarah Makeup Kare

  • Aapka chehra dil ke aakar ka hai to contour aapke mathe ke kinare tatha gaalo par karni chahiye.
  • Aapka chehra pear aakar ka hai to aapke gal aur matha chouda hoga. Iske liye aapko highlight ka prayog aise karna hoga ki contour ki parchai galo par pade.
  • Gol chehre ke liye galo ko contour se dhak le taki aapka chehra aakarshak dikhai de.
  • Andakar chehre ke liye mathe ke upar, jabde ke sire tatha galo ke base se contour karna chahiye.
Chehre Ka Aakar Chehre Ko Highlights De
Dil Ke Aakar Mathe Ke Kinare aur Galo Par
Pear Aakar Mathe Tatha Galo Par
Gol Chehre Ke Liye Galo Ko Contour Se Dhak De
Andakar Chehre Ke Liye Mathe Ke Upar aur Jabde Ke Sire Se

Upar aapne jana Contour Makeup Tips in Hindi. Iss makeup tips ke jariye aap apne chehre ke aakar ke hisab se behtar contour makeup kar sakte hai tatha aap kaafi alag aur aakarshak lag sakti hai.

Loading...

You may also like...