Bodybuilding Foods, Muscle Banane ke Liye Khaye Yeh Aahar

Agar aap par bodybuilding ka junun hai, to abhi se hi sahi diet lena start kar de. Acchi body vale vyakti apne diet me aise khaas aahar lete hai, jisse unki body muscle turant banjaye. Aaj body building ka craze bahut tezi se badta nazar aa raha hai.

Bacche kya budhe kya, jisko dekho vahi gym me ja kar ghanto paseena bha raha hai. Magar dosto gym me ja kar keval paseene bhane se kuch nahi hone vale. Agar aapko acchi body chahiye to protein aur poshak tatvao se bhare aahar ka sevan karna hoga. Jiske bare me aksar log theek tarike se nahi jante hai. To chaliye hum aapko batate hai, Bodybuilding Foods.

Body building ke liye aapko chini, carb aur atirikt vasa vale bhojan par rok lagani chahiye. Kuch log jinhe bodybuilding ka shouk hota hai unhe apne aahar me keval anda, chikan, bread aur brown rice hi khate hai. Kyoki unhe anya aahar ke bare me koi jankari nahi hoti hai. Par dosto agar aap bhi body building ka shouk rakhte hai, to hum aapko aise aahar ki jankari denge, jise niyamit khane se aaaki body jaldi hi bna jayegi.

Bodybuilding karne vale logo ko shakti ki bahut jarurat hoti hai. Saath hi agar unka immune system majboot na ho to, kai prakaar ki bimariya bhi lag jati hai. Aise me jaruri hai ki ve aisa aahar khaye, jisse unki body bhi bani rahe tatha urja bhi mile saath hi unka immune system bhi majboot banjaye.

Bodybuilding food

Diet for Bodybuilding: Bodybuilder Banane Ke Liye Khaye ye Aahar

Anda

• Bodybuilding ke liye ande se accha kuch nahi ho sakta hai kyoki iske safed bhag me 84% protein aur 0 % Vasa hoti hai.
• Ande ko hamesha ubal kar hi khaye. Muscle banane ke liye aapko ek din me 5 se 6 ande khane ki jarurat hoti hai.

You may also like:- Bodybuilding Tips in Hindi, In Tariko se Sharir Shape me Laiye

Crab

• Seafood ke faydo ke bare me kis ko nahi ptaa hoga, ki isme tarah –tarah ke nutrients paye jate hai aur isme bilkul bhi calories nahi hoti hai.
• Isliye har bodybuilder banane ka sapna rakhane vale ko crab sevan karna chahiye.

Mutton

• Yeh protein, iron aur vitamin se bhara hota hai. Week me ek bar mutton jarur khaye.
• Lekin koshish kare yeh ki mutton fry na kiya huya ho.

Fish

• Food for Bodybuilding me sabse mukhaya bhumika fish ki hota hai. Aapki maspeshiyao ko badne ke liye mono unsaturated fat ki jarurat hoti hai. Jo ki fish me paya hai.
• Workout karte samay sharir ka sara fats burn ho jata hai to aise me sharir me yeh mono unsaturated fat jo body ki energy badta hai.

Snail

• Purusho ke liye yeh ek special body building aahar hai.
• Isme vishesh prakaar ka samudriya poshak tatva milte hai, jo ki testosterone badane me bhi help karta hai.

Oats

• Sharir me apch ki prakiya badne par oats khaiye. Isko khane se sharir me fats nahi jama hote hai.
• Saath hi aapko bahut se poshak tatva bhi milte hai.

Paneer

• Isme bilkul bhi fats nahi hote hai aur bahut hi jyada faydemand hota hai.
• Isliye yeh body building ke liye accha hota hai.

Broccoli

• Isme Vitamin C hota hai, jo ki sharir ki me cell ko turant kharab nahi hone deti hai.
• Iska niyamit sevan sharir me rog pratirodhka kshamat ko badati hai.

Mungfali

• Peanut butter or mungfali khane se sharir ko turant energy milti hai.
• Isko khane se bahut der tak bhuk nahi lagti hai.

Kela

• Ise khane se sharir ki mai rogo se ladne ki kshamta bahut badti hai.
• Saath hi aapki body ko protein milta hai.

Palak

• Agar body banana vale palak ko niyamit khaye to unki body jaldi banegi.
• Saath hi unke sharir me energy level bhi badega.

Mirch

• Laal ya hari mirch bodybuilding ke liye acche food mane jate hai.
• Yeh haddiyo ko majboot banane ke liye aur acche blood circulation ke liye jani jate hai.

Blue Berry

• Inme bahut sara poshak tatva paya jata hai, jisse bimariyo dur rahti hai.
• Saath hi yeh sharir me cellular elasticity banana me bhi maddgar hote hai.

Food for Bodybuilding, Sahi Aahar Me Chupa Hai Acchi Body Ka Raaz

Green Tea

• Iski sabse acchi baat yeh hai ki, yeh sharir me acche bacteria ko janm deta hai.
• Jisse body builders ka immune system majboot hota hai aur bimariyo bhi dur ho jati hai.

Shakarkand

Diet for Bodybuilding ki baate kare to Shakarkand ka naam sabse pahle aata hai Isme sehatmand carbohydrates milta hai, jo ki body banane ke liye bahut jaruri hota hai.
• Saath hi iske sevan se workout karne ke liye bahut stamina milta hai.

Diet for Bodybuilding

Tamatar

• Isme vitamin A hota hai, jo ki body building ke liye accha mana jata hai.
• Ise khane se fats bhi burn hote hai muscle me khichav bhi kam hota hai.

Anjeer

• Yaha par hum taje anjeer ki baat kar rahe hai na ki sukhi anjeer ki. Yadi ise rojana khaya jaye to isse body acchi banti hai.
• Isliye din me ek anjeer ka fal jarur khana chahiye.

Mushrooms

• Safed rang ke mushrooms laabhdayak hote hai.
• Issee bahut sara poshan milata hai, jisse mashpeshiya banane me help milti hai.

Tofu

• Isme vah gun paye jata hai, jo meet me hote hai. Isme amino acids padarth paye jate hai.
• Jisse mashpeshiyo badi ho jati hai tatha tezi se vikseet hoti hai.

Daale

• Aapko daal roj khana chahiye kyoki isme bahut sara protein aur poshak tatva paye jate.
• Isske niyamit sevan se aapko jaldi hi result milenge.

Dahi

• Isme bahut sara complex sugar aur ghulansheel protein hota hai.
• Yeh workout karne ke liye shakti pradaan karta hai.

Pineapple

• Pineapple ek bahut aacha Bodybuilding Food hai. Agar aapko acchi muscle banani hai to aap taza pineapple khaye.
• Isse workout ke liye energy milti hai.

Jaitun ka Tel

• Apne vegetable oil ko badal kar jaitun ka tel kharide lijiye. Isme avshayak fatty acid aur monounsaturated fat hote hai, jo ki muscle banane me upyogi hote hai.
• Isliye sare oil ko chhod karke iska sevan kare.

Chocolate

• Dark chocolate body banane ke liye sabse accha padarth mani jati hai.
• Week me ek baar dark chocolate jarur khaye.

Alsi

• Alsi me me bahut sara protein aur fiber paya jata hai.
• Bodybuilding me sabse jyada jaruri hai ki, aap sharirik gatividhiyo badaye jiske liye jaruri hota hai ki aap alsi ka sevan kare.

Badam

• Bodybuilding ke liye badam bahut aache snacks mane jate hai.
• Isme bahut sara amino acids hota hai, jo ki muscle banane me upyogi hota hai.

Ricotta

• Yeh ek italian cheez hai jo ki bhed ke dudh se banti hai.
• Iska sevan karne se haddiya majboot hoti haiaur body bhi majboot banti hai.

Chukandar

• Isme nitrate paya jata hai, jisse body building ki gatividhiya acchi ho jati hai.
• Ise pahel ubal kar sabji ke roop me prayog karan kar sakte hai.

Chicken

• Chiken se aapko high quality ka protein milenag isme bilkul bhi fats nahi hote hai isliye ise jarur khaye.
• Taki aapka ek acchi body aasani se miljaye.

Avocados

• Ek sadharan se avocado me 20 jaruri poshak tatav, 250 gram calories, 10 gram fiber aur 15 gram Monosachyureted fat hote hai.
• Isliye hum bol sakte hai ki iska sevan karne se body banti hai.

Dekhiye Video of Bodybuilding Foods

Upar aapne jana Diet for Bodybuilding. To bas der kis baat ki aaj se in inhe apne aahar me shamil kare aur apni body ko majboot banaiye.

See more details of Bodybuilding Food from Diet and Fitness.

Loading...

You may also like...