Ghamori Treatment in Hindi – Isse Bachne Ke Kuch Aasan Upay
Pichle kuch dino se garmi ka mausam shuru ho gaya hai. Subah ke samay to thik-thak si garmi hai lekin dhire-dhire tapmaan badta jata hai aur jaise hi garmi ka mausam najdik aata jayega waise yeh garmi aur badti jayegi, aise mai ghar se nikalna bahut hi mushkil ho jata hai. Sath hi garmi ki wajah se tarah-tarah se rog aur pani ki kami se sharir kamjor bhi hone lagta hai.
Garmi ka season aane se pahle hi hajaro baate dimag mai ghumne lagti hai jaise skin kharab ho jayegi, dry hair ho jayenge, bhook nhi lagegi thik se, pani ki kami ho jayego aur ghamori se pareshan ho jayenge. Ji haa garmai aati yeh saare sawal dimag mai idhar-udhar bhagte rahte hai. Khaskar ghamori ka dar.
Baccho ho ya bada sabhi isse dare huye rahte hai kyoki ek to itni garmi upper yeh chubhan wali ghamori. Lekin iss baar aapko isse darne jarurat nahi hai, iss baar garmi ke mausam mai aap befikra hokar iss season ka maja le sakte hai, kyoki aaj hum aapko Ghamori Treatment in Hindi, ke bare mai kuch aasan gharelu tips de rahe hai, jo aapko isse rahat dilayega.
Ghamori Treatment in Hindi: Janiye Iska Karan, Lakshan aur Upchar
Aksar garmiyo ke dino mai sharir par chote-chote lal chakte ya dane nikal aate hai, jinhe Ghamori, Alaiya tatha English mai Prickly Heat kaha jata hai. Ek to itni bhayankar garmi upper se bhate pasine mai yeh ghamori, mano pure sharir mai aag si lag jati hai. Inme hone wali khujli aur jalan hume baichen kar deti hai. Yeh adhiktar gale, pet aur pith par abhik prakop dikhai hai. Adhik garmi ki wajah se ghamori hota hai isliye jaise hi mausam ka tempture dhire-dhire kam hone lagta hai aur yeh apne aap hi nasht ho jati hai. Lekin aap dhyan rakhe yeh kisi bhi prakar ka rog ya twacha sambandi bimari nahi hai, yeh ek samanya sa mausam ka pariwartan hai, jo samanya hai aur kisi ko bhi ho sakta hai.
You may also like:- Summer Beauty Tips in Hindi: Garmiyo Mai Aese Kare Dekhbal
Prickly Heat Causes: Jane Iske Karan
Ghamori samanyatah pasina adhik aane ki wajah se hota hai. Pasine ki karan twacha ke chidra band ho jate hai aur inn band chidro se ghamoria paida hoti hai. Yeh chidra dhire-dhire kanto jaise ho jate hai aur chubne aur jalan karne lagte hai tatha twacha par lal funsiyo ki tarah dane nikal aate hai. Jo atydhik kashtdayak hote hai. Humare pasine mai namak ki matra bahut adhik hoti hai, jisse twacha mai jalan hoti hai. Yeh humesha aisi jagaho par hoti hai jaha pasina bahut adhik aata hai aur yeh pasina jaldi sukh nahi pata hai. Iske alawa sharir ko thik se saaf na karne ya adhik dino tak na nanae se bhi ho jati hai. Vyakti mai kabj hone par bhi ghamori ho sakti hai.
Prickly Heat Symptoms: Jane Iske Lakshan
Garmiyo mai ghamori hona adhiktar logo ko shikayat rahti hai. Kuch log yeh bhi mante hai ki yeh ek prakar ka side effect hai, lekin hum aapko bata de aisa kuch nahi hai. To aaiye jante hai ghamori ke konse lakshan hai, jise pahchan kar iska uchit ilaj kiya ja sakta hai.
- Sharir mai chote-chote dane ya chakte nikal aate hai.
- Inn daane par bahut khujal aur jalan hone lagti hai.
- Kabhi-kabhi inme se mavad ya pani nikalne lagta hai.
Ghamori se Kaise Bache
Agar aap bhi ghamori se bachna chahte hai to kuch upyogi yuktiyo ko panye-
- Sabse pahla tarika hai niyamit snan kare aur yadi aapko adhik pasina aata hai to din mai 2 baar ya subah-shaam nahane ki aadat dale.
- Polyester aur nylon se bane kapde na pahne tatha suti kapde ya thile aur aaramdayak kapdo ka istemal kare.
- Garmi aur aadra dino mai gahane, khaskar artificial gahne na pahane, isse aapki twacha par ragad lag sakti hai.
- Dhup mai bahar nikalne se pahle sharir ko dhak le aur sar ko dhakne ke liye hat ya chate ka upyog kare.
- Gamri se bachne ka sabse accha tarika adhik se adhik pani ka sevan karna.
- Bahar jane se pahle chehre par suns cream jarur lagaye.
Prickly Heat Treatment: Jane Kuch Gharelu Upchar
Prickly Heat Treatment ke jariye aap aasani se ghar baithe hi isse mukti pa sakte hai. Aaiye jante hai kuch gharelu nuskhe-
Pani aur Shahad
Iske liye 1 glass pani mai 2 chammach shahad mila le. Ab iss mishran ko niyamit roop se din mai 1 ya 2 baar jarur pina chahiye. Aisa karne se ghamri ka rog to thik hoga hi sath hi sharir mai tari bhi bani rahegi aur pani ki kami bhi nahi hogi.
Namak, Haldi aur Methi
Nahane ke kuch samay pahle, namak, haldi aur methi ko saman matra mai milakar barik pis le aur nahate samay isme thoda sa pani milakar ubtan bana le. Iss ubtan ko sabun ki jagah pure sharir par lagaye aur 5 minute tak laga rahne de phir naha le. Saptaah mai kam se kam ek baar yeh prayog jarur kare. Aisa karne se ghamori se m ukti milegi sath hi twacha mulayam aur chamakdar banegi.
Ice Pack
Ghamori ke upchar mai ice pack bahut hi asardar sabit hota hai. Ise istemal karne ke liye cotton ke kapde mai lapetkar prabhavit sthan par halke hath se lagaye. Ice pack lagate samay dhyan rakhe ki ise sidhe hi twacha par na lagaye. Din mai kam se kam do se teen baar ice pack ko sharir par lagaye.
Chandan
Chandan apni shiltalta ke liye prasiddh hai. Garmiyo se hone wali ghamori ke liye bhi chandan bahut hi labhkari sabit hota hai. Chandan ki lakdi ko piskar lap bana le ya phir chandan ke powder mai pani milakar lap tyyar kar le. Iss lep ko pratidin ghamori par lagana chahiye. Isse kuch hi dino mai yeh bilkul thik ho jata hai.
Iske alawa gulabjal mai chandan aur kapur milakar bhi aap istemal kar sakte hai, yeh bhi asarkari hota hai.
Multani Mitti
Garmi ke mausam mai pareshan karne wali ghamori ko thik karne ke liye multani mitti bhi ek asarkari aushdhi hai. Multani mitti mai pani milakar ya gulabjal milakar paste bana le au rise ghamori se prabhavit sthan par lagaye. Aisa karne se khamori se hone wali khujli aur jalan dono mai hi bahut aaram milta hai.
Ananas Ka Ras
Ananas ka ras bhi ghamori ke liye accha hota hai. Iske liye ananas ko kaatkar pratidin din mai kam se kam 1 baar iska ras jarur pina chahiye. Aisa karne se ghamori to thik hoti hai hi sath hi sharir mai thandak bhi bani rahti hai aur garmi ka asar bhi kam hota hai.
Iske alawa anya phalo ke ras ka bhi sevan karna chahiye tatha badam, kishmish aadi dry fruits ka bhi sevan karna chahiye.
Neem
Yeh to sabhi jante hai ki neem twacha sambandhi rogo mai baut ki labhkari hota hai. Ghamori ke liye bhi yeh bahut hi faydemand hota hai. Neem ki chaal ko acchi tarah giskar chandam ki tarah lep bana le aur iss lep ko pure sharir par laga le. Kuch hi dino mai ghamoria se rahat milegi.
Iske alawa nahane ke pani mai thode neem ke patte milakar pani mai ubal le aur phir iss pani se nahaye. Aiasa karne se bhi aapko rahat milegi.
Aloe Vera
Aloe Vera apne hiling guno ke karan jana jata hai. Yeh adhikansh logo ke liye twacha rogo mai rambaan ilaj sabit hota hai. Aloe Vera ke andar ke guda ko nikalkar ya iske ras ko nikalkar ghamori ke sthan par lagane se iske daane dhire-dhire thik hone lagte hai. Iske alawa yeh aapki twacha ko saaf aur chamakdar bana dega.
Aushdhi Ka Prayog
Jin vyaktiyo ko ghamori ki wajah se mavad nikalta hai. Aise manushya ki ghamori ko thik karne ke liye rogi ko bhishan garmi aur name se sharir ko bachana chahiye. Yadi aap apne sharir ko bhishan garmi aur name se nahi bacha pate hai to unhe Prawal Pishti namak aushdhi ka upyog aadha chammach shahd mai milakar subah-shaam khane se unki ghamori se mavad nikalna bilkul band ho jata hai. Iss prakriya ko niyamit 1 saptaah tak karne se ghamori bhi bilkul thik ho jati hai.
Khaskhas
Khaskhas ki 20 gm matra ko pani mai milakar paste bana le ise sharir ke prabhavit sthan par lagaye. Iske alawa 2 chammach khaskhas ke sharbat ko 1 cup pani mai milakar din mai 2 se 3 baar pine se bhi ghamori mai labh milta hai.
Upper aapne jana Ghamori Treatment in Hindi, ab aapko bhi garmi se darne ki jarurat nahi hai. Inn sabhi gharelu nuskho ko apnakar aap bhi iss sankraman se bach sakte hai aur phir se iss mausam ko enjoy kar sakte hai. Garmi se bachne ke liye aap adhik pani bhi piye, yeh bahut hi jaruri hai, kyoki sharir mai pani ki matra bani rahegi to aap garmi ke mausam se hone wali bimario se bach sakenge.