तेजी से वजन घटाने के लिए ग्रेपफ्रूट डाइट प्लान को अपनाये

‘Motapa’ agar iss shabd par baat ki jaye to yeh charcha ke liye naya vishay nahi hoga. Aaj ki jivan sheli mai adhiktar vyakti iss ki samasya se pareshan hai. Vyayam ki kami aur fast food ke sevan ke chalte sharir par atirikt charbi jam jati hai aur natijanat vajan ka badhna aur motape jaise pareshaniyo ka samna karna padhta hai.

Iss badhte vajan se kai log itne adhik pareshan rehte hai ki wo kisi ke samne uthne baithne mai bhi asahaj mehsus karte hai. Iss motape se nijad pane ke vaise to kai upay hai jaise ki alag alag tarah ke vyayam karna, jim jakar weight loss plan ko apnana. Lekin iss tarah ke kathin vyayam karna har kisi ke bas ki baat nahi hoti.

Aadat na hone par jab log jim jate hai. Keval 3-4 din mai hi unka sharir dard se itna bhar jata hai ki unke pas bistar se uthne ke alawa koi sahara nahi hota hai. Kya aap bhi isi tarah ki paristhitiyo ka samna kar rahe hai? To aapko ab pareshan hone ki jarurat nahi hai. Ham aapko batana chahte hai kai aese tarike hai jinki madad se aap aasani se apna vajan ghata sakte hai.

Grapefruit Diet Plan ko apankar aap apna vajan kam kar sakte hai. Ise khane se aapke sharir ke calorie ki khapat hoti hai aur aapka vajan ghatata hai. To aaiye jante hai Grapefruit Diet Plan in Hindi.

Grapefruit Diet Plan in Hindi Ki Madad Se Ghataye Apna Vajan

Grapefruit Diet Plan in Hindi

Grapefruit Diet ko kai log Hollywood diet ke naam se bhi jante hai. Darahsal greapefruit mai upasthit kuch enzymes vasa ko kam karne mai madad karte hai. Natijan vajan ghatata hai.  Grapefruit vajan ghatane ke liye ek behatarin Fat Burning Fruit hai. Iss diet ko apnakar aap ek din mai lagbhag 700-800 calories tak ghata sakte hai. Isme bharpur matra mai fiber bhi mojud hota hai. Iske sevan se sharir mai glucose ki paryapt matra rehti hai.

Kai log iss Diet Plan ko apnane mai hichkichate hai kyoki unhe nahi pata hota ki iss program mai kis tarah ke khane ka sevan kiya jata hai aur kis tarah ke nahi. Aapke isi confusion ko dur karne ke liye padhe.

  • Hari sabjiya jaise ki palak, phul gobhi, patta gobhi, kakdi, hari phalliyo ka sevan kiya ja sakta hai.
  • Gajar, tamatar, machali, chicken bhi aahar mai le sakte hai.
  • Masalo mai namak, kali mirch, vinegar, nimbu, tamatar ke sauces ka sevan kar sakte hai.

Aahar jinka sevan karna hai mana:-

Mithaiya, phalo ka jam, aalu ke chips, starchy vegetables jaise ki aalu, butta, pasta, mung phali ka makkhan naa khaye.

 

Pehla din:

Subah ka Nashta: Aadha grapefruit, do ande (aap jis prakar bhi inhe khana chahe), 1 cup coffee ya fir chai.

Dophar Ka Khana: Aadha grapefruit, kai sabjiyo ko shamil karke banaya gaya hara salad, ek cup coffee ya chai aur chicken.

Ratri Ka Bhojan: Bhuni hui machli, salad aur grapefruit ka sevan kare.

Dusra din:

Subah ka Nashta: Aadha grapefruit, do ande, 1 cup coffee ya fir chai.

Dophar Ka Khana: Phalo ka salad aur ek cup coffee.

Ratri Ka Bhojan:  Paki hui sabjiya.

Tisra Din:

Subah ka Nashta: do ande, 1 cup coffee ya fir chai, aadha grapefruit.

Dophar Ka Khana: Sabjiyo ka salad aur 1 grapefruit.

Ratri Ka Bhojan:  Sabjiyo ka salad aur coffee.

Choutha Din:

Subah ka Nashta: Do ande, 1 cup coffee ya fir chai, aadha grapefruit.

Dophar Ka Khana: Do ande, 1 cup coffee, paneer aur phalo ka ras.

Ratri Ka Bhojan:  Sabjiyo ka salad aur coffee.

Panchva Din:

Subah ka Nashta: Do ande, 1 cup coffee ya fir chai, aadha grapefruit.

Dophar Ka Khana: Sukha paneer aur palak.

Ratri Ka Bhojan:  Bhuni hui machli, paki sabjiya aur coffee.

Upar diye gaye aahar ki matra ek samanya sujhav hai. Aap apne sharir kieanusar apne khane ki matra badha ya gatha sakte hai. Lekin coffee aur grapefruit ki matra ko isse jyada na badhaye.

Weight Loss Diet Plan – Anya Aahar Inhe Bhi Jane

  1. Omega 3: Omega 3 ke sevan se metabolism sudharta hai. Yeh ek prakar ka fatty acid hai jo laptin level harmone par prabhav dalta hai. Yeh Weight Loss ke liye faydemand hai.
  2. Green Tea: Green tea mai antioxidant hote hai. Jo body ko healthy rakhne mai madadgar rehte hai. Ise subah pine se vajan ghatata hai aur tajgi milti hai.
  3. Brajil Nuts: Brajil nuts bhi calorie ko burn karne mai sahayak hote hai. Iske sevan se cellulite se ladne mai madad milti hai. Immune system bhi badhta hai.

Aaj aapne jana Grapefruit Diet Plan ke bare mai. Agar aap bhi apna vajan kam karna chahte hai to iss weigh loss plan ko jarur try kijiyega.

Loading...

You may also like...