Benefits of Grapes: Angur Khaye Swasth Ho Jaye

Graps (Angur) ek sugandhit lata vala phul hai. Ye ek aisa phal hai, jo ki hume kai bimariyo se bachata hai. Phalo me grapes sarvottam mana jata hai. Ye ek balvardhak aur sondarayvardhak phal hai. Yeh phal rogi ko tab bhi kha sakta hai, jab use kisi bhi fhal khane ki manahi hoti hai. To aaiye jante hai Grapes Benefits in Hindi.

Vese kaha jata hai ki, angur ka utpadan sabse pahle kareeb 6000 saal pahle Europe me hua tha. Kuch samay ke baad iska use America me wine banane ke liye hua.
Angur ki khasiyaat yeh hai ki, iska use nirogi, bacche, grabhvati, dudh pilane vali mata, kamjor vyakti aur pahlvan vyakti sabhi par kar sakte hai.

Benefits of Grapes: Angur Me Hai Anek Gun

Grape ke chhote-chhote dane badi khubiyo se bhare hote hai. Isme Poly-Phenolic Faitokemicl compound paye jate hai. Ye antioxidants sharir ko na keval cancer se bachata hai balki Coronary Heart Disease, Nerve Disease, Alzheimer’s and viral aur fungal infections se bhi bachata hai.

You may also like: Watermelon Benefits in Hindi: Tarbuj ke Mithas Bhare Fayde

• Angur ke sevan se blood pressure ki samasya se ratah milti hai.
• Chechk ke rogi ko angur khilane se aaram milta hai.
• Ye diabetes aur cancer ke patient ke liye bahut laabhkari hota hai.

Benefits of Grapes

• Grapes me paye jane wale poshk tatva hamare pure sharir ke liye faydemand hote hai. Isme simit matra me Calorie, protein, carbohydrates, fat, sodium, fibre, vitamins A, C, E and the, calcium, copper, magnesium, manganese, zinc aur iron paya jata hai.
Benefits of Grapes ki baat kare to yeh iska sabse bada fayda hai ki, sharir ke kisi bhi bhag se bleeding hone par, hamare sharir me rakt ki kami ho jati hai. Tab angur ke ek glass juice me 2 chammch shahad milakar peene se rakt ki kami puri ho jati hai.
• Angur ka guda glucose se bharpur hota hai. Jo hamare sharir ko instant energy deta hai. Isme Vitamin A paryat matar me hote hai, jisse ki iske sevan se aapki bhuk badti hai.
• Heart attack se bachne ke liye kale angur ka ras aspirin medicine ki tarah effective hai. Aspirin khoon ke thake nahi banane deta hai. Kale angur ke ras me flavonoids namak tatav paya jata hai, jo ki hamare sharir ke liye behad laabhkari hota hai.
Angur ke sevan se burst-eruptions and muhason ko sukhane me help milti hai. Iske ras se garare karne se muh ke chhale khatam ho jate.
• Anemia ke ilaaj ke liye angur se bad kar koi aur dawa nahi hoti hai. Ulti ya jee machalne par angur par namak aur kali mich laga kar sevan karna chahiye.
• Pet ki garmi ko shant karne ke liye 20 se 25 angur ko raat me gala de tatha subah uthkar iska ras nikal le phir is ras me thodi se sugar milakar sevan kare. Isse aapko pet ki problem se bahut jaldi aaram milega.
• Bhojan ke aadhe ghante baad angur ka ras pine se khun badta hai aur kuch hi dio me pet fhula badhajmi jese bimariyo se rahta milti hai.
Upar aapne jane Grapes Benefits ke bare me. To bas aaj se hi Angur ka sevan strat kar de aur swasth rahe.

Get more update about Grapes Benefits in Hindi from Food.

Loading...

You may also like...