विटामिन और फाइबर जैसे पोषक तत्वों से परिपूर्ण – Benefits of Kale in Hindi

Kale in Hindi – Sabhi prakar ki hari sabjiya swasthya ke liye labh dayak hoti hai lakin kale ek aisi sabji hai jise hari sabjiyo ki rani kaha jata hai. Kyoki yeh sharir ke liye bahut labhdayak hoti hai. Yeh gobhi ki family mai se hai aur yeh sabhi Brassica oleracea jati se hai.

Yeh bharat ki swadeshi sabjiyo mai se nahi hai. Bharat mai yeh aasani se nahi mil pati hai lekin bade shahro or super markets mai yeh mil jati hai. Metro cities mai kale ka aayat Europe aur North America se kiya jata hai. Bharat mai kale ko hindi naam Karam Sag ke naam se jana jata hai.

Kale kai tarah ka hota hai, iski pattiya hare aur purple color ki, mulayam aur ghunrale aakar mai hoti hai. Yeh sabji nutrients aur poshak tatwo ki adhikta se vishv ki sabse swasthyaprad sabhji mani jati hai. Aaj hum apko Benefits of Kale in Hindi mai bata rahe hai.

Kale ek bahut hi accha aur sabhi tarah ke poshak tatwo se paripurn saag hai. Isme matra 36 calories hoti hai aur sath hi isme vasa ki matra na ke barabar hoti hai. Ab aap hi sochiye jab yeh vasa yukt hai to humare sharir ki kitni samasya to isi se thik ho jayengi jaise ki vajan badna.

Benefits of Kale in Hindi : Jane Iske Swasthya Labh

Benefits of Kale

Kale sabhi tarah ke labhkari yogiko se paripurn hai, jisme kuch shaktishali aushadhiy gun hote hai. Aaiye jante hai Benefits of Kale in Hindi

Vitamin K

Vitamin K sharir mai kisi bhi tarah ke cancer ko rokne mai madad karta hai sath hi yeh humari haddiyo ko majboot aur khoon ka thakka sharir mai jamne se rokta hai.

Loh Tatwa (Iron)

Kale mai adhik matra mai loh tatwa hote hai, jisse khoon mai hemoglobin ki matra badti hai sath hi yeh oxygen ko sharir ke sabhi hisso tak pahunchata hai. Loh tatwa se balo ka girna bhi kam hota hai.

Prati-Oxikarak (Antioxidants)

Kale mai bahutayat matra mai prati-oxikarak (Antioxidants) jaise carotenoids aur flavonoids hote hai jo cancer se hamara bachav karta hai.

Vitamin C

Isme vitaman C ki adhikta hoti hai jo sharir ke immune system ko majboot karti hai sath hi yeh sharir ke jodo mai lachilapan lati hai.

Calcium

Kale mai doodh ki tulna mai adhik calcium paya jata hai, jo humari haddiyo ko kamjor hone se rokta hai aur osteoporosis ki bimari se hame bachata hai.

You may also like:- Fenugreek Benefits in Hindi: Methi Ke Swasthvardhak Gun

Vitamin A

Kale mai vitamin A bahutayat matra mai hota hai, jo humari aankho ko swastha rakhta hai aur aankho ki roshni ko badata hai. Vitamin A hamari twacha aur balo ke liye accha hota hai jisse humari twacha aur baal bahut sundar dikhai dete hai. Sath hi yeh fefdo aur muh ke cancer se humari raksha kart hai.

Fiber

Ek cup kale mai 36 calories, 5 gram fiber, 3 gram protein aur 0 gram vasa hota hai sath hi isme pani ki samagri jyada hoti hai, jo humare sharir mai sphurti lati hai aur humara vajan badne se rokti hai.

Anti Inflammation

Kale mai bahutayat matra mai omega 3 acid hota hai, jo arthritis and asthma se hamare sharir ka bachav karta hai.

Cholesterol

Yeh apke sharir ke cholesterol level ko kam karta hai. Heart patients aur blood pressure in jinhe problem hai usmai ye kafi labdayak mana jata hai, regular use the aapko improvement jarurt dikhega.

Beta Carotene

Kale mai adhit matra mai vitamin A hota hai yeh kahna thik nahi hoga, vastav mai kale mai beta carotene hota hai jo baad mai vitamin A mai parivartit ho jata hai. Isliye yeh humare sharir ke liye bahut labhprad hota hai aur sharir ke star ko badata hai.

 Detox

Kale mai fiber aur sulfur hota hai, yeh dono hi sharir ko detoxifying karte hai jisse hamara lever majboot hota hai.

Upar apne jane Health benefits of Kale in Hindi, Agar aap apne swad aur sehat dono ka dhyan rakhna chahte hai to yeh sabji aapke liye hi hai. Aap saptah mai 2-3 baar 1-2 cup kale ka istemal aasani se kar sakte hai. Aap kale ko apne pratidin ke bhojan mai kai tarah se istemal kar sakte hai, aap ise salad, sabji ya mix sabji mai istemal kar sakte hai. Bazar mai aapko kale chips aur khadya tel bhi mil jayega. Yeh aapke khane ke swad ko badaega sath hi aapke sharir ki dekhbhal bhi karega.

Loading...

You may also like...