Health Tips for Night Shift Workers: Rakhe Sehat ka Sahi Khayal

Iss badalte wakt mai mehangai ne aasman chhu liya hai. Aur isi wajah se logo ko apni jarurato ko pura karne ke liye din raat mehnat karna padhti hai. Agar aap sochte hai ki raat ko puri duniya soti hai to aesa bilkul bhi nahi hai. Aese kai log hai jo night shift mai bhi kaam karte hai. Hum aapko yeh bhi batade ki night shift sirf call centers ke karmachari hi nahi karte hai. Balki aesi kai companies hai jaha night shift mai kaam chalta hai. Aur raat bhar office mai kaam karna koi aasan baat nahi hai.

Aadhi raat ka samay aesa hota hai jisme nind apne charam par hoti hai. Aur raat bhar jagkar lagatar kaam karne se kai bimariya sharir ko gher leti hai. Jo karmchari hafte mai tin din se jyada kaam karte hai unhe Type 2 diabetes hone ka khatra rehta hai. Iske alawa anidra, tanav aur bhi kai tarah ki bimariya sharir ko gher leti hai. Jyadar sharirik samasya tab peda hoti hai jab hamari khud ki lifestyle kharab hoti hai. Jo log raat ki shift mai kaam karte hai, ve jyadatar fast food par nirbhar rehte hai.  Raat mai bhuk lagne par chay coffee ka sevan to kuch jyada hi rehta hai. Agar aap bhi night shift mai kaam karte hai to apne sehat ka khayal jarur rakhe, khaskar aahar ke mamle mai. To aaiye jante hai Health Tips for Night Shift Workers.

Night Shift Karte Hai To Yeh Tips Jarur Padhe

Health Tips for Night Shift Workers

Coffee Pine Se Bachiye

Nind se bachne ke liye aksar aap coffee ya chay ka sevan karte hai. To hamari aapko yahi salah he ki jyada coffee pina band karde. Kyoki iss se dehydration hone ka khatra badh jata hai. Agar aapko coffee ki bahut jyada jarurat mehsus ho rahi ho to coffee ke bajay green tea piye. Isse aapka metabolism bhi sudhrega.

Poshtik Aahar Le

Jab bhi aapko bhuk lage to tala bhuna khane ke bajaye. Kuch healthy khaye. Jaise ki vegetable sandwich, steam momos, fried nuts, salad aadi.

Khub Pani Pijiye

Raat ko kaam karne se hamare sharir ki energy kam hoti hai. Aur pani ka star bhi kam ho jata hai. Isliye thakan se bachne ke liye khub sara pani pina chahiye. Pani hamare sharir ke immunity system ko majbut karta hai aur sharir ko bhi tarotaja banaye rakhne mai madad karta hai.

You may also like:- Importance of Drinking Water – Kyu hai Pani Itna Important

Kaam Ke Douran Break le

Kabhi bhi bahut lambe samay tak lagatar kaam karne se bache. Har do ghante ke baad kaam se break le. Isse aapki aankho ko bhi rahat milegi aur dimag ko bhi chain milega. Thodi der break lene se aap fresh bhi mehsus karenge aur aapke aankho se nind bhi bhag jayegi.

Sugar Par Control Kare

Raat mai kaam karne walo mai wajan badhana kaafi aam samasya hai. Isliye jitna ho sake raat mai chini ke sevan karne se bache.

Energy Drink se Kijiye Toba

Kai log rat ko jagne ke chakkar mai energy drink pee lete hai. Yeh bilkul galat hai. Energy drink pine se nind udne ke bajay aur nind aur thakan mehsus hoti hai. Energy drink mai jayda caffin ka mishran hota hai.

Khate Rahe

Kaam karte wakt energy ko barkarar rakhne ke liye thodi der mai kuch na kuch kahte rehana chaiye. Jaise ki baadam (almond), nuts, fal aadi.

Teliya Khane Se Parhej Kare

Oily food hamare sharir ke pachan tantra ko kamjor banata hai aur thakan paida karta hai. Isme bahut sara cholesterol aur calorie bhi payi jati hai. Jisse motapa badhta hai aur heart attack ki samasya paida hoti hai.

Thodi Der Ki Nind Le

Agar aapko jyada thakan mehsus ho rahi hai to nind ki ek zhapki lele. Kai companiyo mai aapko rest room milega. Jisme thodi der sone se aapko dubara kaam ki energy milegi.

Body Posture Par Dhyan De

Kaam karne ki mudra ko jyadatar log halke me lete hai, par kaam karne ki mudra acche swasth ke liye kaafi mahtvapurn hai.Iss baat ko sunishchit kare ki aapka aankh har ghante kam se kam 5 minute tak computer screen se dur rahe. Sidhe hokar behte aur sharir ke pichle hisse ko aaramdayak banaye. Agar sambhav ho to har ghante thoda tehle. Isse aapke sharir ki thodi exercise bhi ho jyegi.

Ghar Aakar Turant Na Soye

Night shift wale ghar aakar turant so jate hai. Agar aap bhi aesa karte hai to iss aadat ko chod de. Ghar loutne ke baad halki fulki exercise kare. Sone se pehle ek glass garm dudh jauru le.

Night Shift Se Hone Wale Nuksan

  • Night Shift mai kaam karne wale vyakti ke andar sex harmons badh jata hai, jiski wajah se insaan ke andar cancer ka khatra kaafi badh gaya hai.
  • Harmon ke badlav ke karan night shift mai kaam karne walo logo ko stan thatha Prostate cancer ka khatra adhik hota hai.
Loading...

You may also like...