Home Remedies for Diabetes in Hindi: Madhumeha ka Ilaj Ab Ghar Par

Diabetes (Madhumeha) ek samanya bimari hai par ek baar yeh ho jaye to picha nahi chodti. Aap apni life style mai change la kar isse bach sakte hai. To aaiye iss bimari se bachne ke liye jane Home Remedies for Diabetes in Hindi.

Diabetic patient ko apne khane–pine ka bahut dhyan rakhna chahiye. Samay-samay par diabetes test karwana chahiye. Doctor ka kehna hai ki agar aapko madhumeha hai to apni bhukh se thoda kam khana chahiye aur bahut si baate hai jinhe aap dhyan rakhe to aap is diabetes se bach sakte hai.

Symptoms of Diabetes

  • Khana khane ke turant baad bhuk lag jana.
  • Weight jarurat se jyada kam hona.
  • Thakan mahsoos hona.
  • Lagatar urine aana.
  • Jarurat se jyada pyaas lagna.
  • Aankhe kamjor hona.
  • Ghav jaldi nahi bharna.

You may also like:- Constipation Home Remedies – Kabj Se Bachne Ke Gharelu Nuskhe

Causes of Diabetes

  • Genes
  • Bita koshika ka vinash
  • Saririka Sram ka abhavaor motapa

Diabetic patient ap chahe to kuch gharelu nuskhe apna ka is bimari se bach sakte ho aaiye jane Home Remedies for diabetes.

Home Remedies for Diabetes in Hindi: Madhumeha se Bachaye Kuch Aasan Gharelu Nuskhe

Home Remedies for Diabetes

Methi

Diabetes se bachne ke liye Methi bada role play karti hai. Agar aap roj 50 gram methi niyamit khayege to aapko iss bimari se nijaat mil sakti hai aur aapka glucose level niche chala jayega.

Karela

Karele ka juice bhi madhumeha ko control karne mai madad karta hai. Yeh ek mahatvapurna khojo mai se ek hai. Iska prayog ek prakritik steriod ke roop mai kiya jata hai kyuki isme caratine namak rasayan hota hai jiske dwara khoon mai sugar level nahi badh pata hai.

Jamun

Jamun ka ras, patti, beej diabetes ko jad se khatam kar dete hai. Jamun ke sukhe beejo ka powder bana kar 1 spoon din mai 2 baar pani ya dudh ke saath sevan karne se rahat milti hai.

Amla

Agar aap roj ek spoon amle ke ras ko karele ke ras mai milakar piyenge to yeh upay madhumeha ko jad se khatam kar dega.

Aam ki Patti

15 gram aam ki patti ko rat bhar 250 ml pani mai bhiga kar rakh de. Subah iss pani ko chhan kar pi le. Iske alawa sukhe aam ke patto ko pisskar powder ke roop mai khane se bhi laabh hota hai.

Adhik Pani ka Sevan Kare

Madhumeha rogi ko adhik se adhik pani ka sevan karna chahiye. Aise samay mai wah agar nimbu pani ka sevan karte hai to yeh unki sehat ke liye bahut accha hoga.

Shahad

Carbohydrate, calories aur kai tarah ke micro-nutrient bharpur shahad ek Home Remedies for Diabetes hai. Jinn logo ko diabetes hai unhe sugar ki jagah par honey use karna chahiye.

Get more details about Diabetes from Home Remedies.

Loading...

You may also like...