Home Remedies for Nausea: Mitli ki Samasya Se Rahat Dilaye

Jee michlana ek samanya samasya hai. Yeh samasya har kisi ko kabhi na kabhi jarur hoti hai. Iske hone ke karan sabhi ke liye alag alag hai jaise garbhavastha ke chalte, acidity ke karan, cancer ke ilaj ke douran aadi.

Lekin kai bar yeh anya karno se jaise subah subah hone wali kamjori, thakan aadi se bhi hoti hai. Iss tarah ke samanya karano ke chalte yadi aapko jee machla raha hai to aapko doctors ke chaakar katne ki jarurat nahi hai.

Aap ghar mai moujud gharelu upcharo se hi iska upchar kar sakte hai. kyoki vomiting jaisi samasyao ke liye aur dawai lena, kabhi kabhi aapki condition ko bura bana sakta hai. To chaliye jante hai Home Remedies for Nausea.
 

Home Remedies for Nausea in Hindi: Jee Michlana Dur Kare

 
Home Remedies for Nausea
 

Taje Nimbu – Fresh Lemon

Nimbu ki sugandh lene se bhi jee michlane wali samasya kam ho jati hai. Isse aapke pet ko shanti milti hai, jisse aapko shanti milti hai. Isliye aapko jyada kuch nahi karna hai. Bus ek taja nimbu kat le aur use sunghe. Nimbu ko khud se thodi duri par rakhke saans le aur chhode.

Nimbu ko ek glass pani mai nichodkar peene se bhi fayda milta hai. Nimbu mai moujud vitamin c pet ke liye labhdayak hota hai.
 

Pudina – Peppermint

Nimbu ki tarah, pudine mai bhi bahut acchi khusbu hoti hai, jo aapke kharab pet ko thik karti hai. Iske kai prakar gharelu upcharo mai kaam aate hai jaise iski chai, iska tel. Prayog ke liye ek rui ke fahe ko pudine ke tel mai duboye, fir ise apne masudo par ragade. Isse aapko accha mehsus hoga.

Pudine ke patti ko aap aese hi chaba sakte hai. Isme moujud antibacterial gun, aapka immunity system badhane ka kaam karta hai.
 

Taji Hawa Le – Take Fresh Air

Kai bar jee michlana ki samasya keval taji hawa mai jane se hi thik ho jati hai. Isliye jab bhi aapko aesa mehsus ho aap taji hawa mai jakar baith jaye. Yadi bahar ka vatavaran garm ho to ghar mai hi pankhe ke just niche baithe aur halki halki hawa apne chehre par padne de. Aapko wakai fark mehsus hoga. Yeh bahut hi aasan aur prabhavi Natural Nausea Remedies mai se ek hai.
 

Adrak – Ginger

  • Yadi ham adrak ki baat kare to saalo se hi adrak ka istemal jee michlana, pet mai ainthan aur dast jaisi samasyao ko dur karne ke liye kiya ja raha hai.
  • University of Maryland Medical Center ke anusar Chinese log adrak ka istemal digestion se sambandhit kai samasyao ke upchar ke liye karte hai. Yeh chiz 2000 salo se chalti aa rahi hai.
  • Yaha tak ki garbhavastha mai bhi jee michalne ki samasya mai adrak bahut hi jyada faydemand hai.
  • National Center for Complementary and Integrative Health (NCCIH) ke anusar garbhavastha mai jee michalana jaise lakshan mai adrak safe hai.
  • Adrak ka sevan karne ke kai tarike hai, iska istemal khane mai kare, chai mai kare, ya to iska chota sa tukda muh mai rakhkar chuse.

 

Anya Upchar Inhe Bhi Janiye:-

  1. Chhach ya dahi mai bhuna hua jeera aur kala namak dale. Iss mishran ko pine se bhi aapko rahat milti hai. Agar garmi ke karan aesa ho raha hai to yeh upay behad faydeamand hai.
  2. Yadi thakan ke chalte jee machal raha ho to taje santro se bana ras piye. Yakin maniye aapko behad fresh lagne lagega.
  3. Yadi khali pet aur bhukh ke chalte jee machal raha ho to dudh ke sath bread khaye. Lekin yadi aapko gas ho rahi hai to yeh upchar na kare.
  4. Yadi aapko jee michlane ke sath sath ultiya bhi ho rahi hai to burf ke tukde ko chuse. Isse kaafi rahat milti hai.
  5. Pet mai ho rahi acidity ke chalte ulti jaisa lagta hai. Aesi condition mai elaichi ke dane chuse. Isse pet ki acidity shant ho jati hai.
  6. Chawal ko pani mai dalkar ubale, ab chawal aur pani alag karle. Pani ko chankar thana karke piye, isse acidity se chutkara milega.

 
Upar aapne jana Home Remedies for Nausea in Hindi. Jab bhi aapko jee michlane ki samasya ho rahi ho to aap upar bataye gaye upcharo ko apna sakti hai. lekin yadi samasya lagatar bani hui hai to bina der kiye chikitsak se sampark kare. Yadi pregnancy ya fir kisi bimari ke chalte samasya ho rahi hai to gharelu upchar apnane se pehle bhi doctor se puch lena chahiye.

Loading...

You may also like...