Kapalbhati Benefits: Weight Loss Karne Mai Sahayak

Kapalbhati yeh ek Sanskrit shabd hai. Kapal matlab matha (Forhead) aur Bhati matlab prakash (Light) hota hai. Roz niyamit kapalbhati karne se vyakti ka matha/chehra par kanti ya chamak aati hai. Chehre par chamak hona swasth aur nirogi vyakti ki pehchan hoti hai. Vyayam ke madhyam se aasani se vajan kam kiya ja sakta hai. To aaiye jante hai Kapalbhati Benefits for Weight Loss.

Adhunik jivan shaily mai jyadatar log motape se pareshan hote hai. Aaj ki jivan shaily mai motape se bahut si bayawah bimariyo ka khatra rehta hai. Motape ko jald se jald kam karne aur motape par niyantran karne ke liye jaruri hai jivan shaily mai badlav lana.

Kapalbhati ki madad se vajan ghatana kafi aasan hota hai. Niyamit roop se subah-subah kapalbhati karne se kuch hi dino mai aapko fark mahsoos hone lagega.

Swasth aur nirogi rehne ke liye yoga se acchya aur koi pranayam nahi hai. Yoga aur pranayam ki madad se aap atyant kam kharch aur samay mai weight loss kar sukhi jivan vyatit kar sakte hai.

You may also like:- Motapa Kam Karne ke Gharelu Nuskhe: Wazan Kam Karna

Janiye Kapalbhati Kis Prakar Vajan Ghatane Mai Madadgar Hai

  • Motapa ghatane ke liye yoga kriya aasan aur saral upay hai. Aisi hi ek kriya hai kapalbhati, jisse nischit tour par motape par niyantran paya ja sakta hai.
  • Kapalbhati kriya ko khade hokar ya baithkar dono tarah se kiya ja sakta hai. Iss kriya mai saans lene aur chhodne ki gati jitni tez hoti hai, uska itna hi adhik laabh milta hai.
  • Kapalbhati ke nirantar abhyaas se motapa ghatane mai jo madad milti hai saath hi pet ke aas paas ki adhik charbi bhi kam hoti hai.

Kapalbhati Benefits: Janiye Iske Aneko Laabh

Kapalbhati Benefits for Weight Loss

  1. Vajan kam hota hai. Bharat mai aise kai log hai jinhone Kapalbhati se apna 30 se 40 kg vajan kam kiya hai.
  2. Pet ki badhi hui atirikt charbi kam hone mai sahayak hai. Yeh aapke kamar ke aakar ko phir se samanya aakar mai lane mai madad karti hai.
  3. Chehre ki jhurriya aur aankho ke niche ka kalapan sur kar chehre ki chamak phir se loutane mai madad karta hai.
  4. Gas, kabj aur acidity ki samasya ko dur bhagata hai.
  5. Sharir aur mann ke saare nakaratmak tatva aur vicharo ko mita deta hai.
  6. Sharir ko detox karta hai.
  7. Memory ko badhata hai.
  8. Cough vikaar nasth hote hai aur swashan nail ki safai acche se hoti hai.
  9. Iss kriya se rakt dhamni ki karya kshamta badhati hai aur badha huya cholesterol ko kam karne mai madad karti hai.
  10. Kapalbhati karte waqt pasina adhik aata hai jisse sharir swacch hota hai.

Kapalbhati Pranayam Procedure: Iss Asana ko Karne ki Vidhi

Kapalbhati Benefits in Hindi

  • Ek saman, sapat aur swacch jagah par jaha par swacch hawa ho waha par kapda bichakar baith jaye.
  • Aap siddhasana, padmasana ya Vajrasana mai baith sakte hai. Aap chahe to jo asana easy lage jese niche jamin par baithte hai uss tarah baith jaye.
  • Baithne ke baad apne pet ko dhila chhod de.
  • Ab apne naak se saans ko bahar nikalne ki kriya kare. Saans ko bahar chhodte samay pet ko andar ki aur dhakka de.
  • Saans andar lene ki kriya karne ki jarurat nahi hai. Iss kriya mai saans apne aap andar liya jata hai.
  • Lagatar jitney samaytak aap aasani se kar sakte hai tab tak naak se saans bahar nikale aur pet ko andar dhakka dene ki kriya ko karte rahe.
  • Shuruaat mai 10 baar aur dhire-dhire badhate huye ek baar mai 60 baar tak yeh kriya kare.
  • Aap chahe to bich mao kuch samay ka aaram lekar bhi iss kriya ko kar sakte hai.

You may also like:- Weight Loss Tips in Hindi: Vajan Kam Karne ke Upay

Kapalbhati Precautions: Janiye Iss Yoga ki Savdhaniya

  • Kapalbhati subah ke samay khali pet ya phir pet saaf hone ke baad hi kare.
  • Agar khana khane ke baad iss pranayam ko karns hai to khane ke 5 ghante baad ise kare.
  • Kapalbhati karne ke baad 30 minutes tak kuch na khaye. Aap chahe to thoda pani le sakte hai.
  • Shuruaat mai kapalbhati kisi yoga ki jankar ke dekhrekh mai hi kare.
  • Garbhavati mahila, gastric ulcer, epilepsy, hernia ke rogi iss kriya ko na kare.
  • Hypertension aur heart disease apne doctor ki salah lekar hi iss kriya ko kare.
  • Aisi to kapalbhati kriya ke koi dushparinam nahi hai phir bhi kapalbhati karte waqt chakkar aana ya ji machalna jesi koi pareshani hone par apne doctor se sampark kare.

Upar aapne jane Kapalbhati Benefits for Weight Loss. To agar aap apna vajan kam karna chahte hai to iss pranayam ko apne daily schedule mai kare aur swasth rahe.

Kapalbhati ke weight loss ke alawa bhi kai anya mahatva purna fayde se ab tak aap parichit ho chuke hai. Aaj se hi weight loss karne ke liye santulit aahar aur vyayam ke saath ise apne dincharya ka hissa banakar swasth aur behtar jivan jine ki taraf apna kadam badhaye.

Jinn logo ka vajan samanya ya controlled hai wah bhi kapalbhati ke anya laabh ke liye iss kriya ko kar sakte hai.

Kapalbhati for Weight Loss se sambhandhit adhik jankari ke liye yaha jaye Weight Loss.

Loading...

You may also like...